Mix Shayri's Collection 2

Zinda the to kisi ne pass bhi nahi bithaya,
Ab sabhi mere pass baithe ja rahe the,
Pehle kisi ne rumal bhi bhent nahi kiya,
Ab kapde udhaye ja rahe the,
Sabko pata hai ki ab unke kaam ka nahi main,
Phir bhi bechare duniyadaari nibhaye ja rahe the,
Jinda tha to kisi ne kadar bhi nahi ki,
Ab mere mooh mein ghee dale ja rahe the,
Jindagi me ek kadam saath na chala koi,
Ab phoolon se sajakar kandho pe leja rahe the,
Aaj pata chala maut jindagi se kitni behtar hai,
Arre hum to yun he jiye ja rahe the.
~~~~~~~~
Apna pan sikha kar juda ho gayi,
Na socha na samjha khafa ho gayi,
Duniya me ab hum kisko apna kahenge,
Woh bhi auron ki tarha bewafa ho gayi.
~~~~~~~~
Haasil-e-Ishq farqat dard hai,
Aaye kash pehle he bata deta koi,
Taqdeer nahi thi agar aasma chhune ki,
Khaq mein he mila deta koi.
~~~~~~~~
Mohabbat ki shama jalake to dekho,
Zara dil ki duniya saja kar to dekho,
Tumhe ho na jaye mohabbat to kehna,
Zara humse nazrein mila ke to dekho.
~~~~~~~~
Khoon ke saagar udhelta hoon main,
Dard aur teer dil par Jhelta hoon main,
Tum samajhte ho sher likhta hoon main,
Ye to apne zakhmon se khelta hoon main.
~~~~~~~~
Wo kahkar chal diye itni mulakaat bahut hai,
Hamne kaha ruk jao abhi raat bahut hai,
Tham jaye mere aansoo to shauk se jana,
Aise me kahan jaoge barsaat bahut hai.
~~~~~~~~
Kaanton se daaman uljhana meri aadat hai,
Dil me paraya dard basana meri aadat hai,
Jin ko duniya ne thukraya ho,
Aise logon ko apnana meri aadat hai.
~~~~~~~~
Na kabhi ye chupaya ki pyaar kitna hai,
Na kabhi ye jataya ki dard kitna hai,
Bas ek hame aur us khuda ko hai maloom,
Tujhse mulakat ka intezaar kitna hai.
~~~~~~~~
Mohabbat meri unko bekrar karegi,
Har dhadkan unka hi intezaar karegi,
Hamne to unse aisa pyaar kiya hai,
Ki bewafai bhi 100 janmo tak intezar karegi.
~~~~~~~~
Us se milke bichadna to dastur ho gaya,
Yadon mein uski ye dil majbur ho gaya,
Kasoor nahi isme kuch bhi uska,
Hamari chahat he itni thi ki usse garoor ho gaya.
~~~~~~~~
Hum ghajal me tera charcha nahi hone dete,
Teri yaadon ko bhi rusva nahi hone dete,
Kuch hum bhi nahi chahte shohrat apni,
Kuch log bhi aisa hone nahi dete.
~~~~~~~~
Kuch adhure khwab aankhon me saja kar so gaya,
Baant di khushiyan sabhi me ashqon ko chupa kar so gaya,
Har koi meri hansi ko dekh kar hans leta hai,
Main to patthar tha ghamo ko bhi rula kar so gaya.
~~~~~~~~
Meri zindagi ka sahara nahi hai,
Is jahan me koi hamara nahi hai,
Pakda unka daaman to wo hanskar bole,
Chhodo daaman ye tumhara nahi hai.
~~~~~~~~
Koi mere saath is tarah adawat to karta,
Qaid kar leta mujhko aur hakumat to karta,
Maine yeh kab kaha tha ki wo sab ko chor de,
Wo apney andaaz se karta par mohabbat to karta.
~~~~~~~~
Ajab baat hai wo mujhse khafa bhi raha,
Wo doston se mera haal puchta bhi raha,
Ajeeb rang me ki usne guftagu mujhse,
Labon pe chuppi thi nigahon se bolta bhi raha.
~~~~~~~~
Sochta hun kya use neend bhi aati hogi,
Ya meri tarah faket ashk bahati hogi,
Wo meri shakal mera naam bhulane wali,
Apni tasveer se kya aankh milati hogi ?
~~~~~~~~
Wo ajnabi hai jane kab chhor de,
Hawa ka kya pata kab rukh mod de,
Hum to dusro ka dil khush rakhte hain,
Magar dusre ka kya pata kab hamara dil tod de.
~~~~~~~~
Hum yaad rahe to theek warna bhula dena,
Hui ho koi khata hamse to saza dena,
Waise to hum hain khaali kagaj ki tarah,
Likha jaye to thik warna jala dena.
~~~~~~~~
Har kisi ko pyar mile to kaisa ho,
Har dil me pyaar ho to kaisa ho,
Barso se pyaar ki misaal deta hai TAJ MAHAL,
Har gali mein Taj Mahal ho to kaisa ho.
~~~~~~~~
Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Tab dil se main naraaj tha,
Phir socha dil se tumhe nikaal doon,
Par kambakht dil bhi tumhare paas tha.
~~~~~~~~
Kabhi woh samne aa kar mujhe mila bhi nahi,
Main us se baat karun itna hausla bhi nahi,
Woh mangta hai sitaron ki roshni lekin,
Mere pass to mitti ka diya bhi nahi.
~~~~~~~~
Har najar ko ek nigah ka haq hai,
Har nur ko ek aah ka haq hai,
Hum bhi dil lekar aaye hain is duniya mein,
Hame bhi to ek gunah karne ka haq hai.
~~~~~~~~
Mohabbat mukaddar hai koi khwab nahi,
Ye wo ada hai jisme hai sab kamyaab nahi,
Jinhe panah mili unhe ungliyon par gin lo,
Jo barbaad hue unka hisab nahi.
~~~~~~~~
Tanha chhod kar humko hosla bhi dete ho,
Saans chhin kar jine ki dua bhi dete ho,
Ek taraf judai ka ghum bhi jaari hai,
Aur muskurane ka mashwra bhi dete ho.
~~~~~~~~
Wada na karo agar tum nibha na sako,
Chaho na usko jise tum pa na sako,
Dost to duniya me bahot hote hai,
Par ek khas rakho jiske bina tum muskura na sako.
~~~~~~~~
Rutha ke hummse khus, Tum bhi na rah paoge,
Jaan to jaegi hamari, Saans tum bhi na le paoge.
~~~~~~~~
Tumse phele is duniya se main chala jaunga,
Asman pe jakar ek ghar banaunga,
Sitare aur chand tumhara kahna manenge,
Waha main tumahare pyaar ki duniya sajaunga.
~~~~~~~~
Aap ke liye hum aansoon baha sakte hai,
Chahe to duniya ki sari hadae tod sakte hai,
Ab sirf yahi hai hamare dil ka kehna,
Ki aap bas hamesha hamare paas rehna.
~~~~~~~~
Zindagi ki rahon mein jab aage aage jaoge,
Peeche ek saya tum har dum paoge,
Mudke dekhoge to tanhai hogi,
Agar mehsoos karoge to hum ko paoge.
~~~~~~~~
Guldasta banana chaaha, Par gul hi na mile.
Gul ki parwah na ki hamne, Aap ke liye apna dil rakh diye
~~~~~~~~
If missing U is a crime, I’m in the death row,
If caring 4 U is a disease, I’m in ICU and,
If liking is a sin, I just bought 1st ticket to hell.
~~~~~~~~
Tere intezaar mein hui subah se shaam,
Teri chahat mein hua ye dil belagaam,
Tujhe paane ki aarzoo meri jald ho poori,
Ki hothon pe aata hai sirf tera hi naam.
~~~~~~~~
Aap ko dekh kar yeh nigah jhuk jaegi,
Khamoshi ab har bat keh jaegi,
Padh lijiye en ankhon mein apni mohabat ko,
Aapki kasam saari jannat wahin ruk jaegi.
~~~~~~~~
Apko bina dekhe apke dil ka hal bata denge,
Bina sune apke dil ki baat bata denge,
Mere pyaar ka imtihan mat lena warna,
Bina nazare milaye hi, Apki ankho se aansoo nikal denge.
~~~~~~~~
Likh sakte kisi ki taqdir agar hum,
Aapki taqdir mein har khushi likh dete.
Jo mod aapko kamyabi dilaye,
Har lakeer ko ussi taraf mod dete.
~~~~~~~~
A kiss is just a kiss, Till U find the one U love,
A hug is just a hug, Till U find the one, You are always thinking of,
A dream is just a dream, Till it comes true,
Love was just a word, Till I heard it from U.
~~~~~~~~
Kya mangu khuda se tumhe paane ke baad,
Kiska karu intezar zindagi main tere aane ke baad,
Kyun pyaar me jaan luta dete hain log,
Mujhe maloom hua tumhe apna banane ke baad.
~~~~~~~~
Hoton se pyaar ke fasane nahi aate,
Sahil pe samandar ke moti nahi aate,
Lelo abhi zindagi mein DOSTI ka maza,
Phir laut ke hum jaise Deewane nahi aate…
~~~~~~~~
Har kadam pe aapka ehsaas chahiye,
Mujhe aapka saath apne paas chahiye,
Khuda bhi ro pade hamari judai se,
Aisa ek rista khaas chahiye...
~~~~~~~~
Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.
~~~~~~~~
Ye mera koi khwab tha ya tera khayaal tha,
Ye tera koi jawaab tha, ke mera sawaal tha,
Shareeq-e-mehfil-e-yaar ho gaye the hum Wo,
Jo aalam tha, woh bemisaal tha.
Har zarre se aa rahi thi khushbu-e-muhabbat,
Ye muzpe hua asar tha ke tera kamaal tha,
Yu to aasmaani roshni se tha roshan hua sama,
Jisse roshan hue the dil wo tera jamaal tha,
Khuda bhi na kabhi tha is qadar khush hua,
Ashq-e-khushi se hua ek chaman khush-haal tha,
The aasma pe baadal, par dil the sabhi yaqeeni,
Na kisi se tha koi shikva, na kisika malaal tha,
Yaad aa gaye the zindagi ke pech tab muze,
Bikhra khuli hawaa pe jo kisika baal tha
Us raah ka har mod is zindagi se milta laga,
Ke dekhnewale the hass rahe, raahi behaal tha,
Is pal ko chhupa dil mein pawan ye hai saboot,
Ke tera dil bhi kabhi muhabbat ka yarghmaal tha.....
~~~~~~~~
Bandisha-e-mohabbat na ker dil-a-nadan,
Jor ajmaish k liya nafrat ki diwar he kafi hain,
Khuda ki di hui maut kafi na thi mernai k liya,
Jo ker betha mohabbat us husan-e-kattil sai.
~~~~~~~~
Humne mita diya jahan bhi likha naam tera,
Apne dil se mitana bhool gaye,
Tum juda huye humse muskurate hue,
Par palkon se aansoo hatana bhool gaye.
~~~~~~~~
Hakikat ke roop me khwaab banta gaya,
Jaise-jaise wo chehra kitab banta gaya,
Usne humse kaha paani accha lagta hai,
Phir mere ashqoon (Aansoo) ka talaab banta gaya.
~~~~~~~~
Kahan the hum hosh me jo kisi ko sahara dete,
Yahi bahut tha ki har gam par muskura dete,
Agar chehre par bhi hote jakhm dil ke,
To kasam se hum aaino ko bhi rula dete.
~~~~~~~~
SAD LINES BUT FACT :-
Kaun deta hai umar bhar ka sahara ae dost,
Log to zanaje mein bhi kandha badalte rahte hain.
~~~~~~~~
Majboor the halaton se pyaar jata na sake,
Khaate rahe zakhm magar kisi ko bata na sake,
Chahton ki had se bhi jyaada chaha use,
Sirf apna dil nikal kar dikha na sake.
~~~~~~~~
Khuda ki di hui maut to har koi merta hain
Koi is pyar per mer ker to dikhaye,
Mohabbat ka danka to her koi bherta,
Hain
koi is nafrat per mer ker to dikhai,
dhan dholat , aisho aram ki farmaish kerta to her koi hain,
Koi nafrato ki raah mai pyar ki farmish ker to dikhai.
~~~~~~~~

1 comment:

  1. Aesome Post Join Us For mOre Poetrys
    Www.Pakistanirox.com

    ReplyDelete

Facebook Like Box Widget