MIX Shayri's Collection

Tanhai jab muqaddar me likhi thi,
To kya shikayat apne aur begane se,
Hum mit gaye jinki chahat me,
Wo baaz nahi aate hame aazmane se,
Humne duniya chhod di unki khatir,
Or wo inkar kar gaye hume apnane se,
Agar mile khuda to ek dua maang lu us se,
Jab nahi milana kisi ko kisi se to,
Mohabbat mita de is jamane se,
Zinda laash kabhi dard mehsus nahi karti,
Chalti thi saanse meri uske aane se,
"
Pawan" ne kabhi nai likha tha shonk se,
Bas kalam chal padi uska khyaal aane se.
~~~~~~~
Mila ke nazar-nazar loot lenge,
Ye bewafa jalwe jigar loot lenge,
Hasino pe hargiz bharosa na karna,
Khuda ki kasam ghar ke ghar loot lenge.
~~~~~~~
Apne karam se wo mera muqaddar bana gaye,
Katre ko ik pal me samundar bana gaye,
Phoolon se nazuk tha ye dil mera,
Itna tadpaya ki patthar bana gaye.
~~~~~~~
Do baatein unse ki dil ka dard kho gaya,
Logon ne pucha aaj tumhe kya ho gaya,
Hum bekarar aankhon se sirf hans paaye,
Ye na keh paaye ki hame unse pyaar ho gaya.
~~~~~~~
Hasraton ke jahan se phir dhuwan uthne laga,
Pyaar mein nakaam dil jalne laga,
Kya khoob sajaya logon ne janaja mera ki,
Ab to janaje me bhi dum ghutne laga.
~~~~~~~
uski chahat ne aansuon ke tohfe diye,
Uski baton ne yaadon ke tohfe diye,
Isliye andheron se lipat ke ro pade hum,
Kyonki UJALON ne bahut se dhoke diye.
~~~~~~~
Raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya,
Dil ko bahut jala ke dekh liya,
Aur kya dekhne ko baaki hai,
Aapse dil laga ke dekh liya.
~~~~~~~
Humse puncho dosti ka sila, Dushmano ka bhi DIL hila dega,
Ishq ka Zehar pee liya "Pawan", Ab masihaa bhi kya dawa dega.
~~~~~~~
Mujhse jitne rothe the sab laut aaye,
Us se kaho ik umer hui hai ab laut aaye,
Maine to usko itni mohlat di thi "Pawan",
Ki jab wo tanha rah jaye to laut aaye.
~~~~~~~
Aana mere zanaje me leke use,
Mei mohabbat se ek haseen baat hogi,
Mere jism me jaan beshak na ho,
Meri jaan mere jism ke saath to hogi.
~~~~~~~
Tu yaad bahut aaya har sham ke baad,
Kabhi aaghaz se pehle kabhi anjam ke baad,
Is doobte suraj ki Kasam iss dil pe,
Koi naam nahi likha tere naam ke baad.
~~~~~~~
Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha,
Aankhon me raha dil me utar kar nahi dekha,
Patther samajhti thi wo mujhko kabhi,
Par MOM tha main usne kabhi chukar nahi dekha.
~~~~~~~
Nazron se nazre mili to bura maan gaye,
Hamne aankhon se isharaa kiya to bura maan agye,
Baat-baat par muskurana unki aadat thi,
Zara sa hamne jo hansaya to bura maan gaye.
~~~~~~~
Ye gham ke pyaale hame na do,
Hum to ghamo ka samundar liye baithe hain,
Hame bas tere pyaar ki kami hai,
Warna hum bhi duniya ke sikandar bane baithe hain.
~~~~~~~
Aur koi gham nahi ek teri judai ke siwa,
Mere hisse me kya aaya tanhayi ke siwa,
Yun to milan ki raatein mili beshumar,
Pyaar me sab kuch mila shehnai ke siwa.
~~~~~~~
Main apne zuban se dil ki gawahi doonga,
Itna rounga ki aansuo me dikhai doonga,
Yun na rutha karo mujhse baat-baat par,
Main jo rutha to sadiyon ki judai doonga.
~~~~~~~
Khul ke dil se milo to saza dete hain log,
Sache jajbaat bhi thukra dete hain log,
Dekh nahi sakte do insaano ko milte,
Baithe hue do parindo ko bhi uda dete hain log.
~~~~~~~
Itni shiddat se to barsaat bhi kam kam barse,
Jis tarah aankh teri yaad me cham cham barse,
Minatein kare ek gharondey ke liye,
Keh do baadal se barasta hai to jam jam barse.
~~~~~~~
Na parbat na pahaad ki unchai se darte hain,
Na Sajar na sakh ki lambai se darte hain,
Samandar ki gehrai ko napna meri chutki ka kaam hai,
Lekin hum teri jheel si aankhon ki gehrai se darte hain.
~~~~~~~
Kash ke ham unke dil par raj karte,
Jo ki thi wo mohabbat aaj karte,
Hame gum nahi unki bewafai ka,
Arman tha hum bhi apni mohabbat pe naaz karte.
~~~~~~~
Hausle zindagi ke dekhte hain,
Chalo kuch roz jee ke dekhte hain,
Baarishon se to pyaas bujhti nahin,
Aao ab zehar pee ke dekhte hain.
~~~~~~~
Roti hui aankhon se tujhe muskaan kaise doon,
Anjaan hoon khud se tujhe pehchan kaise doon,
Tu he to hai ek JAAN meri,
Tu he bata tujhe apni JAAN kaise doon.
~~~~~~~
Bina kisi aas ke dil laga baithe,
Parchaiyon ke peeche hosh gawa baithe,
Deewangi isse badhkar kya hogi,
Jo dil ke saath ghar bhi jala baithe.
~~~~~~~
Ab zamane me na sahara nazar aaya,
Bas tuhi ek hamara nazar aaya,
Hum tere ishq me is kadar bahte rahe,
Na tufaan nazar aaya na kinara nazar aaya.
~~~~~~~
Is dil ki berukhi ki wajah hamse puchiye,
Mohabbat me mil rahi saza hamse puchiye,
Kyun ho udaas tum gham ki talaash mein,
Gham ki har gali ka raasta hamse puchiye.
~~~~~~~
Hum laga baithe the dil pathar se,
Toot gaya yeh khuda ki raza hai,
Unglian doobi hain apne he khoon mein,
Yeh kaanch ke tukde uthane ki saza hai.
~~~~~~~
Mar jaonga magar bakhshish ki duhai nahi doonga,
Sachai ka muzrim hoon safai nahi doonga,
Mar ke bhi meri rooh tere pass rahegi,
Main saamne aa ke bhi dikhai nahi doonga.
~~~~~~~
Badla jo waqt, Gehri dosti badal gayi,
Suraj dhala to saaye ki surat badal gayi,
Ik umar tak main uski zaroorat bana raha,
Phir yun hua ki uski zaroorat badal gayi.
~~~~~~~
Dil ke kehne pe dil ki duniya chhod aaye,
Sabhi rishton nato se muh mod aaye,
Hamse na mangna hisab wafai-ka-ae-yaaro,
Unki chahat me na jaane kitno ke dil tod aaye.
~~~~~~~
Aankhon me aansoo ki chamak aaj bhi hai,
Usko mere pyaar par shaq aaj bhi hai,
Naav me haath dhoye the kabhi usne,
Saare talaab me mehndi ki mahak aaj bhi hai.
~~~~~~~
Jekar hunde asin ik panchhi, Tere aan chubare beh jande,
Kujh tere dil di asin sunde, Kujh apne dil di keh jande,
Tere vehre chugde chog sada, Teri matkyon pani pee jande,
Dum tut janda teri jholi vich, Ya tere hathon kabri pe jande.
~~~~~~~
Shama jalti hai parwane chale aate hain,
Ishq me sir ke bal deewane chale aate hain,
Ab to aaja meri jaan janaza uthne ko hai,
Log to gairon ko bhi dafnane chale aate hain.
~~~~~~~
Benam sa yeh dard thehar kyon nahi jaana,
Jo dur hai dil se utar kyon nahi jaata,
Ek chehra jo barson se hai ajnabi,
Woh khwaab hai to phir bikhar kyon nahi jaata.
~~~~~~~
Dard Kaafi hai bekhudi K liye,
Maut Zaruri hai Zindagi K liye,
Kaun marta hai Kisi K Liye,
Hum to Zinda hai sirf aap ki Dosti K liye...
~~~~~~~
Chandi raat me barsat buri lagti hai,
ghar me ho lash to Barat buri lagti hai,
Khushi me mere dost kuch bhi kah dal,
gam me to har bat buri lagti hai.

~~~~~~~
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi..
~~~~~~~

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida
~~~~~~~
Tere hothon se lag kar yeh hawa sharab ban gayi
aankhon se lag kar yeh hijaab ban gayi
aur gaalon se lag kar yeh gulab ban gayi.
sach hi kahti hai yeh duniya jaaneman
ki mujh se mil kar tu laajawaab ho gayi....

~~~~~~~
Mujh Se Mat Punch, Mere Dil Ki Kahani O Hum-Dum
Is Main Kuch Parda-Nashinon Ke Bhi Naam Aate Hain.
~~~~~~~
Jab Kishti Sabit Salim Thee,
Sahil Ki Tamanna Kis Ko Thi,
Ab Aise Shikasta Kishti Main,
Sahil Ki Tamanna Kaun Karey.
~~~~~~~
Mausam Hai Mausam, Khushbu Aapke Zulfon Ka Naam,
Mausam-E-Gul Hai, Aapke Baag Main Aa Jaane Ka Naam.
~~~~~~~
In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain,
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain.
~~~~~~~
Tasalli Ho Jayegi, Zara Itna To Bata Do,
Tumhe Bhi Hitchkiyan Aati hain Jab Hum Yad Karte Hain.
~~~~~~~
Manzil ko paane ke liye Saahil ko paar karna padta hai,
Mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna parta hai...
~~~~~~~
Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain
~~~~~~~
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
~~~~~~~
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De,
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De,
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko,
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De.
~~~~~~~
Yeh Bhi Aadab Hamare Hai, Tumhain Kya Malum,
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum,
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna,
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum.
~~~~~~~
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha,
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha,
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed,
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha.
~~~~~~~
Kalam uthai hai lafz nahi milta,
Jisko dhund rahe hai wo shakhs nahi milta,
Firte hai wo zamane ki talash me,
Bus hamare liye he unhe waqt nahi milta .
~~~~~~~
Chirag se andhere door ho jate,
to chand ki chahat kise hoti,
kat sakti akele yen zindagi to
dosti naam ki ye cheez hi kyo hoti?
~~~~~~~
Ek din hamare aansoo hum se pooch baithe,
hame roz roz kyu bulate ho?
Humne kaha, hum yaad unhe karte hai,
tum kyo chale ate ho?
~~~~~~~

Zindagi ek chahat ka silsila hai,
koi mil gaya to koi bichad gaya,
jinhe manga tha duvao mein,
voh kisi ko bina maange mil gaya.
~~~~~~~

Ankhon ki zuban woh samajh nahi pate,
hooton se hum bhi kuch keh nahi pate,
Apni bebasi hum kis tarah kahe,
koi hai jiske bina hum reh nahi pate.
~~~~~~~

Aasu ko aankhon ki dehliz par laya na karo,
Aapne dil ka hal kisiko bataya na karo,
Log muthi mein namak liye goom rahe hai,
Apne zakhm kisiko bataya na karo.
~~~~~~~
Aankhe kholun to chehra uska ho,
Aankhe band karu to sapna uska ho,
mar bhi jaau to koi gam nahi,
Agar kafan ke badle dupatta uska ho!!!
~~~~~~~
Tu door sahi par tera aahsas he,
teri aawaz na sahi par tera aagaz he,
tu har pal mere saath he,
tuze bhulana shayad mumkin nahi,
kyunki tu har waqt dil ke pass hai!!!
~~~~~~~
Aai jo teri yaad to aankh bhar aai hai,
tu palkon se ban ke ashq chalak aai hai.
jee chahta hai tere un khaton ko choom loon,
jisme tere hanthon ki khushbu-e-hina samai hai.
khudaya ye kaisa qahar hai mujh par aaya,
mahboob ke aangan baji gair ki shahnaai hai.
aaj jo teri tasveer maine rubaroo rakh lee,
bosaa lene ko chandni mere ghar utar aai hai.
aankhon ke saagar ko ba ek parde se dhak liya,
tu kahin doob na jaae mere pyar ki gahraai hai.
dekh tere labon ke surkh gulaabon ki kasam,
khune-yaar se tune ghazab qayamat dhaai hai.
kismat ne muh moda to tune bhi hath chod diya,
raahe-wafa me dost tune khoob dosti nibhai hai...

~~~~~~~
Jahan me chai hui gham ki ghata ho jaise,
Dard me dubi saari fiza ho jaise,
Bhari mehfil me bhi tanha tha,
Ab teri yaad ne bhi saath chhoda ho jaise.
~~~~~~~
Wo ki har baat me mukarta jaye,
Dil wo ZAALIM ki usi shaks pe marta jaye,
Mere pehle mein wo aaye to bhi Khushbu ki tarah,
Main usse jitna sametoon wo bikharta jaye.
~~~~~~~
Maine tujhe chaha kya yehi meri khata hai,
Meri chahat ki kya yehi saza hai,
Ek lamhe me badal daali nigahen tumne,
Bas itni si mohabbat teri itni si wafa hai.
~~~~~~~
Tanha tanha mat socha kar, Mar jayega mat socha kar,
Jis ki fitrat mein dasna ho, Woh to dasega mat socha kar,
Pyaar ghari bhar ka he bahut hai, Jhoota, Sacha, mat socha kar.
~~~~~~~
Zindagi se puchi ye kya chahti hai,
Bus ek usi ki wafa chahti hai,
Kitni maasoom or naadan hai Zindagi,
Khud bewafa hai or WAFA chahti hai.
~~~~~~~
Raat bhi gehri thi hum darr bhi sakte they,
Hum jo kehte they kar bhi sakte they,
Woh jo bichra to yeh bhi na socha hoga,
Hum to pagal they mar bhi sakte they.
~~~~~~~
Rona bhi chaho to wo rone nahi deti,
Wo shaks to palke bhi bhigone nahi deti,
Aati hai khayalon me kaun ye aksar,
Jo mujhko kisi aur ka hone nahi deti.
~~~~~~~
Dard bhi de gaye Sitam bhi de gaye,
Zakhm ke saath-saath mujhe marham bhi de gaye,
Do lafjo se kar gaye wo apna mann halka,
Hum ko na rone ki kasam bhi de gaye.
~~~~~~~
Kisi ke hijar ka phir imtihan toot pada,
Hamare dil mein koi makaan toot pada,
Bas ek lamhe ko kamzor pad gaye the hum,
Us ek lamhe mein sara jahan toot pada.
~~~~~~~
Hijar ke mausam mein ye baarish ka barasna kaisa,
Ik sehraa se samandar ka guzarna kaisa,
Aaye mere dil na pareshan ho tanha hokar,
Woh tere saath chala he kab tha to bichadna kaisa.
~~~~~~~
Wo jaaye to sahi hum aane ka waada karte hain,
Wo roothe to sahi hum manaane ka wada karte hain,
Dil todna hai to beshaq tod de wo,
Is dil ke bina bhi hum usko chahne ka wadaa karte hain.
~~~~~~~
Meri wafa ke qabil nahin ho tum
Pyar mile aise insaan nahin ho tum
Dil kyon tum par aitabaar kare
Pyar main dhoka de aise bewafa ho tum..
~~~~~~~
Main kitna chahta hoon, ye kaise bataoon tumhein...
Main kitna chahta hoon, ye kaise bataoon tumhein...
Dar hai us khuda ka nahi to poojta tumhein...!!!
~~~~~~~
Mera har iqraar, tere har inkaar se achha hoga.
Mera har din, teri har raat se acha hoga.
Yaqeen na aaye, to apni doli se jhaank lena.
Meri maiyat ka janaaza, teri doli se achha hoga!!!

**********************************************

2 comments:

Facebook Like Box Widget