aey neend aaja ke ab koi paas nahi mere

aey neend aaja ke ab koi paas nahi mere,

ke jis k liye tujhe choda tha wo mujhe kab ka chodd gaya...!!!

Mujhy "Hasna" Nhi Aata Jahan Per "TUM" Nahi Hote........

Wahan Na Phool Khilte Hain Na Hi Mosam Badalte Hain
Wahan To Kuch Nahi Hota Jahan Par TUM Nahi Hote

Yahan Wese To Her Sogaat Aasani Se Milti Hay
Pr Mera Dil Nhi Lagta Jahan Par TUM Nahi Hote

Yahan To Luog Sadiyon Ko B Lamhon Me Badalte Hain
Mera Ik Pal Nahi Kat'ta Jahan Par TUM Nahi Hote

Sabab Toney Ka WO Pochain To Qasiden Itna Keh Dena
Mujhy "Hasna" Nhi Aata Jahan Per "TUM" Nahi Hote........

tum mere baaki sab tumhare...

chalo aao kaayinaat baant lete hain hum,

tum mere baaki sab tumhare...!!!!

mar gaya kab ka tera naaz uthane wala

Hosla chor gaya tha sath nibhane wala

jane kis simat gaya ajj wo jane wala

ajj phir ankh main hain hazarun ansoo

ajj phir wo yad aya bhulane wala

ab kahien ja k mere zakham bhare han

daikhu ab kahien lout k a jae na jane wala

Ay "KHUDA"

us ka har khuab salamat rakhna

ghum na daikhe wo mera khuab jalane wala

ab kahien rah main mil jae to itna khena

mar gaya kab ka tera naaz uthane wala


ek lafz mohabbat hai es se kar k dekho

ek lafz mohabbat hai es se kar k dekho
tum barbad na ho jato to mera naam badal dena
ek lafz muqadar hai, es se lar k dekho
tum haar na jao to mera naam badal dena,
ek lafz wafa ka hai, zamane main nahi milta,
kahain se dhoond kar lao to mera naam badal dena,
ek lafz aansu hai, es se dil main chupa kar dekho,
tum aankhon se na bah jaye to mera naam badal dena,
ek lafz
judai hai, es se seh kar to dekho,
tum toot kar na bikhar jao to mera
naam badal dena

Meri Zindagi Un Khubsurat Mehlon Ki Tarah Hai Faraz

Meri Zindagi Un Khubsurat Mehlon Ki Tarah Hai Faraz,

Jo door se bohut khush'gawar magar andar se sunsaan hote hain.

Chand Bhi Apse Jalta Hoga

Chand Bhi Apse Jalta Hoga,

Jab khabhi app ki hansi ko dekta hoga,

Kitni Pyari jheel Si Ankhen Hain App Ki,

Badnaseeb hai wo katra-e-Ansu,

Jo En Pyari Aankhon Se Girta Hoga...!!!!

Kash ke mil jaye mujhe muqaddar ki wo siyaahi

Kash ke mil jaye mujhe muqaddar ki wo siyaahi aur qalam,

lamhey lamhey ki khushi likh dun sirf tere naam...!!!


Teri Muhabbat to muqaddar hai mile na mile

Teri Muhabbat to muqaddar hai mile na mile,

raahat zuroor mil jaati hai tujhe yaad karne se...!!!

talash Kar Meri Kami ko Apne Dil Mein Faraz,

talash Kar Meri Kami ko Apne Dil Mein Faraz,

Dard H0 T0 Samjh Lena k Muhabbat Ab Bhi Baki Hai


Ek tamanna si hai iss maayoos dil ki kash…

Ek tamanna si hai iss maayoos dil ki kash…
Aaj aansoo ke sath har khwaab bhi beh jaye…

Guzar hi jaye gi tere bagair bhi lekin

Guzar hi jaye gi tere bagair bhi lekin
buhat udas buhat be qarar guzry gi…….!


Tu wo zaalim hai

Tu wo zaalim hai Jo Dil mn reh kr b mera na ban Saka “Ghalib”
Aur Dil wo kafir Jo mujh mn reh kr b tera hogaya…



Kitnay Tofan Uthaye Aankhon Nay ..

Kitnay Tofan Uthaye Aankhon Nay ..
Kashti Yadon Ki Doobti Hee Nahi…!! 


Chup Chaap Guzar jaa meri Dehleez se waapis,.

Chup Chaap Guzar jaa meri Dehleez se waapis,.
Dastak tere Hathon ki mera, gharr ne jalaa de...!!!


K Mujh main Sirf tu he to Basa Karta hai…

Kya Bataon Tujhe aur Kya Bataon Duniya ko….

K Mujh main Sirf tu he to Basa Karta hai…



Kasam Tootay Hovay Dil Ki Tumhain Khud Se Juda Ker Kay

Kasam Tootay Hovay Dil Ki Tumhain Khud Se Juda Ker Kay,,

Jahan Tak Hum Ne Daikha Hay Wahaaan Tak Tum Nazer Aaye…!

Mix Shayri's 3

Hamne mita diya jahan bhi likha naam tera,
Apne Dil se mitana bhool gaye,
Tum Juda hue hamse muskurate hue,
Par Palkon Se aanso hatana bhool Gaye.

~~~~~~~~

Hakikat ke roop me khwab banta gaya,
Jaise jaise wo chehra kitab banta gaya,
Usne kaha paani accha lagta hai,
Fir mere ashqo ka talaab banta gaya

~~~~~~~~

Raat chup hai magar chand khamosh nahi,
Kaise kahu aaj phir hosh nahi,
Aisa duba hoon teri yaadon ki gehari me,
Hath me jam hai aur pine ka hosh nahi.

~~~~~~~~

Hamne tanhai me janjeer se baaten ki hai,
Apni soi hui takdeer se baaten ki hai,
Aapke didar ki khak tamanna hogi,
Jindagi bhar aapki tasveer se baaten ki hai.

~~~~~~~~

Teri yaad bhi sanam kamala karti hai,
Jo har pal dard banker dil ke pas rehti hai,
Jeete ji to jeene na diya isne,
Par ab marne par bhi kabar me rula deti hai.

~~~~~~~~

Tu awaaj de main chala aaonga,
Tu saaj de main chala aaonga,
Kya kahun fitrat kya hai is dil ki,
Tu saans le main chala aaonga.

~~~~~~~~

Zindagi meri aansuon me dhal gayi,
Saare zamane ki mujhse nazar badal gayi,
Waqt ne aisa sitam kiya hai yaaron,
Ki har aarzoo mere haathon si fisal gayi.

~~~~~~~~

Muddat se thi kisi se milne ki aarzoo,
Khwahishe didaar ne sab kuch gawan diya,
Kisi ne di khabar ki wo aaenge raat ko,
Itna kiya ujaala ki ghar tak jala diya.

~~~~~~~~

Kisi se baat karma ya bolna accha nahi lagta,
Tujhe dekha jab se doosra accha nahi lagta,
Tere bare mein sochta rehta hoon,
Par tere bare mein kisi se bolna accha nahi lagta.

~~~~~~~~

Hoti hai surkh agar aankhen to hone de,
Ji bhar ke aaj mujhe tu rone de,
Socha na tha bin tere bhi jina padega,
Kho gaye saare khwab to khone de.

~~~~~~~~

Hamari muskaan dekh ke duniya ne socha ki hum gum se khali hain,
Par unhe kya pata ki jis gum ke bag me duniya rehti hai hum us bag ke maali hain.

~~~~~~~~

Kisi nu dukh deke sukh paya te ki paya,
Kise da husn dekh ke chaheya ta ki chaheya,
Pyaar karde ho kise nu tan karde raho,
Par kisi hor da kho ke paya tan ki paya.

~~~~~~~~

Mitti ke putlon me DIL nahi hota,
Har maut ke piche Qatil nahi hota,
Har dil jeetne ki kabliyat rakhta hoon,
Par na jaane kyo sanam ka he dil hasil nahi hota.

~~~~~~~~

Wo hamare nahi hain to kya ghum hai,
Hum toh unke he hain ye kya kam hai,
Na gham kam hai na aansu kam hai,
Dekhte hain rulane waale me kitna dam hai.

~~~~~~~~

Mix Shayri's Collection 2

Zinda the to kisi ne pass bhi nahi bithaya,
Ab sabhi mere pass baithe ja rahe the,
Pehle kisi ne rumal bhi bhent nahi kiya,
Ab kapde udhaye ja rahe the,
Sabko pata hai ki ab unke kaam ka nahi main,
Phir bhi bechare duniyadaari nibhaye ja rahe the,
Jinda tha to kisi ne kadar bhi nahi ki,
Ab mere mooh mein ghee dale ja rahe the,
Jindagi me ek kadam saath na chala koi,
Ab phoolon se sajakar kandho pe leja rahe the,
Aaj pata chala maut jindagi se kitni behtar hai,
Arre hum to yun he jiye ja rahe the.
~~~~~~~~
Apna pan sikha kar juda ho gayi,
Na socha na samjha khafa ho gayi,
Duniya me ab hum kisko apna kahenge,
Woh bhi auron ki tarha bewafa ho gayi.
~~~~~~~~
Haasil-e-Ishq farqat dard hai,
Aaye kash pehle he bata deta koi,
Taqdeer nahi thi agar aasma chhune ki,
Khaq mein he mila deta koi.
~~~~~~~~
Mohabbat ki shama jalake to dekho,
Zara dil ki duniya saja kar to dekho,
Tumhe ho na jaye mohabbat to kehna,
Zara humse nazrein mila ke to dekho.
~~~~~~~~
Khoon ke saagar udhelta hoon main,
Dard aur teer dil par Jhelta hoon main,
Tum samajhte ho sher likhta hoon main,
Ye to apne zakhmon se khelta hoon main.
~~~~~~~~
Wo kahkar chal diye itni mulakaat bahut hai,
Hamne kaha ruk jao abhi raat bahut hai,
Tham jaye mere aansoo to shauk se jana,
Aise me kahan jaoge barsaat bahut hai.
~~~~~~~~
Kaanton se daaman uljhana meri aadat hai,
Dil me paraya dard basana meri aadat hai,
Jin ko duniya ne thukraya ho,
Aise logon ko apnana meri aadat hai.
~~~~~~~~
Na kabhi ye chupaya ki pyaar kitna hai,
Na kabhi ye jataya ki dard kitna hai,
Bas ek hame aur us khuda ko hai maloom,
Tujhse mulakat ka intezaar kitna hai.
~~~~~~~~
Mohabbat meri unko bekrar karegi,
Har dhadkan unka hi intezaar karegi,
Hamne to unse aisa pyaar kiya hai,
Ki bewafai bhi 100 janmo tak intezar karegi.
~~~~~~~~
Us se milke bichadna to dastur ho gaya,
Yadon mein uski ye dil majbur ho gaya,
Kasoor nahi isme kuch bhi uska,
Hamari chahat he itni thi ki usse garoor ho gaya.
~~~~~~~~
Hum ghajal me tera charcha nahi hone dete,
Teri yaadon ko bhi rusva nahi hone dete,
Kuch hum bhi nahi chahte shohrat apni,
Kuch log bhi aisa hone nahi dete.
~~~~~~~~
Kuch adhure khwab aankhon me saja kar so gaya,
Baant di khushiyan sabhi me ashqon ko chupa kar so gaya,
Har koi meri hansi ko dekh kar hans leta hai,
Main to patthar tha ghamo ko bhi rula kar so gaya.
~~~~~~~~
Meri zindagi ka sahara nahi hai,
Is jahan me koi hamara nahi hai,
Pakda unka daaman to wo hanskar bole,
Chhodo daaman ye tumhara nahi hai.
~~~~~~~~
Koi mere saath is tarah adawat to karta,
Qaid kar leta mujhko aur hakumat to karta,
Maine yeh kab kaha tha ki wo sab ko chor de,
Wo apney andaaz se karta par mohabbat to karta.
~~~~~~~~
Ajab baat hai wo mujhse khafa bhi raha,
Wo doston se mera haal puchta bhi raha,
Ajeeb rang me ki usne guftagu mujhse,
Labon pe chuppi thi nigahon se bolta bhi raha.
~~~~~~~~
Sochta hun kya use neend bhi aati hogi,
Ya meri tarah faket ashk bahati hogi,
Wo meri shakal mera naam bhulane wali,
Apni tasveer se kya aankh milati hogi ?
~~~~~~~~
Wo ajnabi hai jane kab chhor de,
Hawa ka kya pata kab rukh mod de,
Hum to dusro ka dil khush rakhte hain,
Magar dusre ka kya pata kab hamara dil tod de.
~~~~~~~~
Hum yaad rahe to theek warna bhula dena,
Hui ho koi khata hamse to saza dena,
Waise to hum hain khaali kagaj ki tarah,
Likha jaye to thik warna jala dena.
~~~~~~~~
Har kisi ko pyar mile to kaisa ho,
Har dil me pyaar ho to kaisa ho,
Barso se pyaar ki misaal deta hai TAJ MAHAL,
Har gali mein Taj Mahal ho to kaisa ho.
~~~~~~~~
Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Tab dil se main naraaj tha,
Phir socha dil se tumhe nikaal doon,
Par kambakht dil bhi tumhare paas tha.
~~~~~~~~
Kabhi woh samne aa kar mujhe mila bhi nahi,
Main us se baat karun itna hausla bhi nahi,
Woh mangta hai sitaron ki roshni lekin,
Mere pass to mitti ka diya bhi nahi.
~~~~~~~~
Har najar ko ek nigah ka haq hai,
Har nur ko ek aah ka haq hai,
Hum bhi dil lekar aaye hain is duniya mein,
Hame bhi to ek gunah karne ka haq hai.
~~~~~~~~
Mohabbat mukaddar hai koi khwab nahi,
Ye wo ada hai jisme hai sab kamyaab nahi,
Jinhe panah mili unhe ungliyon par gin lo,
Jo barbaad hue unka hisab nahi.
~~~~~~~~
Tanha chhod kar humko hosla bhi dete ho,
Saans chhin kar jine ki dua bhi dete ho,
Ek taraf judai ka ghum bhi jaari hai,
Aur muskurane ka mashwra bhi dete ho.
~~~~~~~~
Wada na karo agar tum nibha na sako,
Chaho na usko jise tum pa na sako,
Dost to duniya me bahot hote hai,
Par ek khas rakho jiske bina tum muskura na sako.
~~~~~~~~
Rutha ke hummse khus, Tum bhi na rah paoge,
Jaan to jaegi hamari, Saans tum bhi na le paoge.
~~~~~~~~
Tumse phele is duniya se main chala jaunga,
Asman pe jakar ek ghar banaunga,
Sitare aur chand tumhara kahna manenge,
Waha main tumahare pyaar ki duniya sajaunga.
~~~~~~~~
Aap ke liye hum aansoon baha sakte hai,
Chahe to duniya ki sari hadae tod sakte hai,
Ab sirf yahi hai hamare dil ka kehna,
Ki aap bas hamesha hamare paas rehna.
~~~~~~~~
Zindagi ki rahon mein jab aage aage jaoge,
Peeche ek saya tum har dum paoge,
Mudke dekhoge to tanhai hogi,
Agar mehsoos karoge to hum ko paoge.
~~~~~~~~
Guldasta banana chaaha, Par gul hi na mile.
Gul ki parwah na ki hamne, Aap ke liye apna dil rakh diye
~~~~~~~~
If missing U is a crime, I’m in the death row,
If caring 4 U is a disease, I’m in ICU and,
If liking is a sin, I just bought 1st ticket to hell.
~~~~~~~~
Tere intezaar mein hui subah se shaam,
Teri chahat mein hua ye dil belagaam,
Tujhe paane ki aarzoo meri jald ho poori,
Ki hothon pe aata hai sirf tera hi naam.
~~~~~~~~
Aap ko dekh kar yeh nigah jhuk jaegi,
Khamoshi ab har bat keh jaegi,
Padh lijiye en ankhon mein apni mohabat ko,
Aapki kasam saari jannat wahin ruk jaegi.
~~~~~~~~
Apko bina dekhe apke dil ka hal bata denge,
Bina sune apke dil ki baat bata denge,
Mere pyaar ka imtihan mat lena warna,
Bina nazare milaye hi, Apki ankho se aansoo nikal denge.
~~~~~~~~
Likh sakte kisi ki taqdir agar hum,
Aapki taqdir mein har khushi likh dete.
Jo mod aapko kamyabi dilaye,
Har lakeer ko ussi taraf mod dete.
~~~~~~~~
A kiss is just a kiss, Till U find the one U love,
A hug is just a hug, Till U find the one, You are always thinking of,
A dream is just a dream, Till it comes true,
Love was just a word, Till I heard it from U.
~~~~~~~~
Kya mangu khuda se tumhe paane ke baad,
Kiska karu intezar zindagi main tere aane ke baad,
Kyun pyaar me jaan luta dete hain log,
Mujhe maloom hua tumhe apna banane ke baad.
~~~~~~~~
Hoton se pyaar ke fasane nahi aate,
Sahil pe samandar ke moti nahi aate,
Lelo abhi zindagi mein DOSTI ka maza,
Phir laut ke hum jaise Deewane nahi aate…
~~~~~~~~
Har kadam pe aapka ehsaas chahiye,
Mujhe aapka saath apne paas chahiye,
Khuda bhi ro pade hamari judai se,
Aisa ek rista khaas chahiye...
~~~~~~~~
Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.
~~~~~~~~
Ye mera koi khwab tha ya tera khayaal tha,
Ye tera koi jawaab tha, ke mera sawaal tha,
Shareeq-e-mehfil-e-yaar ho gaye the hum Wo,
Jo aalam tha, woh bemisaal tha.
Har zarre se aa rahi thi khushbu-e-muhabbat,
Ye muzpe hua asar tha ke tera kamaal tha,
Yu to aasmaani roshni se tha roshan hua sama,
Jisse roshan hue the dil wo tera jamaal tha,
Khuda bhi na kabhi tha is qadar khush hua,
Ashq-e-khushi se hua ek chaman khush-haal tha,
The aasma pe baadal, par dil the sabhi yaqeeni,
Na kisi se tha koi shikva, na kisika malaal tha,
Yaad aa gaye the zindagi ke pech tab muze,
Bikhra khuli hawaa pe jo kisika baal tha
Us raah ka har mod is zindagi se milta laga,
Ke dekhnewale the hass rahe, raahi behaal tha,
Is pal ko chhupa dil mein pawan ye hai saboot,
Ke tera dil bhi kabhi muhabbat ka yarghmaal tha.....
~~~~~~~~
Bandisha-e-mohabbat na ker dil-a-nadan,
Jor ajmaish k liya nafrat ki diwar he kafi hain,
Khuda ki di hui maut kafi na thi mernai k liya,
Jo ker betha mohabbat us husan-e-kattil sai.
~~~~~~~~
Humne mita diya jahan bhi likha naam tera,
Apne dil se mitana bhool gaye,
Tum juda huye humse muskurate hue,
Par palkon se aansoo hatana bhool gaye.
~~~~~~~~
Hakikat ke roop me khwaab banta gaya,
Jaise-jaise wo chehra kitab banta gaya,
Usne humse kaha paani accha lagta hai,
Phir mere ashqoon (Aansoo) ka talaab banta gaya.
~~~~~~~~
Kahan the hum hosh me jo kisi ko sahara dete,
Yahi bahut tha ki har gam par muskura dete,
Agar chehre par bhi hote jakhm dil ke,
To kasam se hum aaino ko bhi rula dete.
~~~~~~~~
SAD LINES BUT FACT :-
Kaun deta hai umar bhar ka sahara ae dost,
Log to zanaje mein bhi kandha badalte rahte hain.
~~~~~~~~
Majboor the halaton se pyaar jata na sake,
Khaate rahe zakhm magar kisi ko bata na sake,
Chahton ki had se bhi jyaada chaha use,
Sirf apna dil nikal kar dikha na sake.
~~~~~~~~
Khuda ki di hui maut to har koi merta hain
Koi is pyar per mer ker to dikhaye,
Mohabbat ka danka to her koi bherta,
Hain
koi is nafrat per mer ker to dikhai,
dhan dholat , aisho aram ki farmaish kerta to her koi hain,
Koi nafrato ki raah mai pyar ki farmish ker to dikhai.
~~~~~~~~

MIX Shayri's Collection

Tanhai jab muqaddar me likhi thi,
To kya shikayat apne aur begane se,
Hum mit gaye jinki chahat me,
Wo baaz nahi aate hame aazmane se,
Humne duniya chhod di unki khatir,
Or wo inkar kar gaye hume apnane se,
Agar mile khuda to ek dua maang lu us se,
Jab nahi milana kisi ko kisi se to,
Mohabbat mita de is jamane se,
Zinda laash kabhi dard mehsus nahi karti,
Chalti thi saanse meri uske aane se,
"
Pawan" ne kabhi nai likha tha shonk se,
Bas kalam chal padi uska khyaal aane se.
~~~~~~~
Mila ke nazar-nazar loot lenge,
Ye bewafa jalwe jigar loot lenge,
Hasino pe hargiz bharosa na karna,
Khuda ki kasam ghar ke ghar loot lenge.
~~~~~~~
Apne karam se wo mera muqaddar bana gaye,
Katre ko ik pal me samundar bana gaye,
Phoolon se nazuk tha ye dil mera,
Itna tadpaya ki patthar bana gaye.
~~~~~~~
Do baatein unse ki dil ka dard kho gaya,
Logon ne pucha aaj tumhe kya ho gaya,
Hum bekarar aankhon se sirf hans paaye,
Ye na keh paaye ki hame unse pyaar ho gaya.
~~~~~~~
Hasraton ke jahan se phir dhuwan uthne laga,
Pyaar mein nakaam dil jalne laga,
Kya khoob sajaya logon ne janaja mera ki,
Ab to janaje me bhi dum ghutne laga.
~~~~~~~
uski chahat ne aansuon ke tohfe diye,
Uski baton ne yaadon ke tohfe diye,
Isliye andheron se lipat ke ro pade hum,
Kyonki UJALON ne bahut se dhoke diye.
~~~~~~~
Raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya,
Dil ko bahut jala ke dekh liya,
Aur kya dekhne ko baaki hai,
Aapse dil laga ke dekh liya.
~~~~~~~
Humse puncho dosti ka sila, Dushmano ka bhi DIL hila dega,
Ishq ka Zehar pee liya "Pawan", Ab masihaa bhi kya dawa dega.
~~~~~~~
Mujhse jitne rothe the sab laut aaye,
Us se kaho ik umer hui hai ab laut aaye,
Maine to usko itni mohlat di thi "Pawan",
Ki jab wo tanha rah jaye to laut aaye.
~~~~~~~
Aana mere zanaje me leke use,
Mei mohabbat se ek haseen baat hogi,
Mere jism me jaan beshak na ho,
Meri jaan mere jism ke saath to hogi.
~~~~~~~
Tu yaad bahut aaya har sham ke baad,
Kabhi aaghaz se pehle kabhi anjam ke baad,
Is doobte suraj ki Kasam iss dil pe,
Koi naam nahi likha tere naam ke baad.
~~~~~~~
Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha,
Aankhon me raha dil me utar kar nahi dekha,
Patther samajhti thi wo mujhko kabhi,
Par MOM tha main usne kabhi chukar nahi dekha.
~~~~~~~
Nazron se nazre mili to bura maan gaye,
Hamne aankhon se isharaa kiya to bura maan agye,
Baat-baat par muskurana unki aadat thi,
Zara sa hamne jo hansaya to bura maan gaye.
~~~~~~~
Ye gham ke pyaale hame na do,
Hum to ghamo ka samundar liye baithe hain,
Hame bas tere pyaar ki kami hai,
Warna hum bhi duniya ke sikandar bane baithe hain.
~~~~~~~
Aur koi gham nahi ek teri judai ke siwa,
Mere hisse me kya aaya tanhayi ke siwa,
Yun to milan ki raatein mili beshumar,
Pyaar me sab kuch mila shehnai ke siwa.
~~~~~~~
Main apne zuban se dil ki gawahi doonga,
Itna rounga ki aansuo me dikhai doonga,
Yun na rutha karo mujhse baat-baat par,
Main jo rutha to sadiyon ki judai doonga.
~~~~~~~
Khul ke dil se milo to saza dete hain log,
Sache jajbaat bhi thukra dete hain log,
Dekh nahi sakte do insaano ko milte,
Baithe hue do parindo ko bhi uda dete hain log.
~~~~~~~
Itni shiddat se to barsaat bhi kam kam barse,
Jis tarah aankh teri yaad me cham cham barse,
Minatein kare ek gharondey ke liye,
Keh do baadal se barasta hai to jam jam barse.
~~~~~~~
Na parbat na pahaad ki unchai se darte hain,
Na Sajar na sakh ki lambai se darte hain,
Samandar ki gehrai ko napna meri chutki ka kaam hai,
Lekin hum teri jheel si aankhon ki gehrai se darte hain.
~~~~~~~
Kash ke ham unke dil par raj karte,
Jo ki thi wo mohabbat aaj karte,
Hame gum nahi unki bewafai ka,
Arman tha hum bhi apni mohabbat pe naaz karte.
~~~~~~~
Hausle zindagi ke dekhte hain,
Chalo kuch roz jee ke dekhte hain,
Baarishon se to pyaas bujhti nahin,
Aao ab zehar pee ke dekhte hain.
~~~~~~~
Roti hui aankhon se tujhe muskaan kaise doon,
Anjaan hoon khud se tujhe pehchan kaise doon,
Tu he to hai ek JAAN meri,
Tu he bata tujhe apni JAAN kaise doon.
~~~~~~~
Bina kisi aas ke dil laga baithe,
Parchaiyon ke peeche hosh gawa baithe,
Deewangi isse badhkar kya hogi,
Jo dil ke saath ghar bhi jala baithe.
~~~~~~~
Ab zamane me na sahara nazar aaya,
Bas tuhi ek hamara nazar aaya,
Hum tere ishq me is kadar bahte rahe,
Na tufaan nazar aaya na kinara nazar aaya.
~~~~~~~
Is dil ki berukhi ki wajah hamse puchiye,
Mohabbat me mil rahi saza hamse puchiye,
Kyun ho udaas tum gham ki talaash mein,
Gham ki har gali ka raasta hamse puchiye.
~~~~~~~
Hum laga baithe the dil pathar se,
Toot gaya yeh khuda ki raza hai,
Unglian doobi hain apne he khoon mein,
Yeh kaanch ke tukde uthane ki saza hai.
~~~~~~~
Mar jaonga magar bakhshish ki duhai nahi doonga,
Sachai ka muzrim hoon safai nahi doonga,
Mar ke bhi meri rooh tere pass rahegi,
Main saamne aa ke bhi dikhai nahi doonga.
~~~~~~~
Badla jo waqt, Gehri dosti badal gayi,
Suraj dhala to saaye ki surat badal gayi,
Ik umar tak main uski zaroorat bana raha,
Phir yun hua ki uski zaroorat badal gayi.
~~~~~~~
Dil ke kehne pe dil ki duniya chhod aaye,
Sabhi rishton nato se muh mod aaye,
Hamse na mangna hisab wafai-ka-ae-yaaro,
Unki chahat me na jaane kitno ke dil tod aaye.
~~~~~~~
Aankhon me aansoo ki chamak aaj bhi hai,
Usko mere pyaar par shaq aaj bhi hai,
Naav me haath dhoye the kabhi usne,
Saare talaab me mehndi ki mahak aaj bhi hai.
~~~~~~~
Jekar hunde asin ik panchhi, Tere aan chubare beh jande,
Kujh tere dil di asin sunde, Kujh apne dil di keh jande,
Tere vehre chugde chog sada, Teri matkyon pani pee jande,
Dum tut janda teri jholi vich, Ya tere hathon kabri pe jande.
~~~~~~~
Shama jalti hai parwane chale aate hain,
Ishq me sir ke bal deewane chale aate hain,
Ab to aaja meri jaan janaza uthne ko hai,
Log to gairon ko bhi dafnane chale aate hain.
~~~~~~~
Benam sa yeh dard thehar kyon nahi jaana,
Jo dur hai dil se utar kyon nahi jaata,
Ek chehra jo barson se hai ajnabi,
Woh khwaab hai to phir bikhar kyon nahi jaata.
~~~~~~~
Dard Kaafi hai bekhudi K liye,
Maut Zaruri hai Zindagi K liye,
Kaun marta hai Kisi K Liye,
Hum to Zinda hai sirf aap ki Dosti K liye...
~~~~~~~
Chandi raat me barsat buri lagti hai,
ghar me ho lash to Barat buri lagti hai,
Khushi me mere dost kuch bhi kah dal,
gam me to har bat buri lagti hai.

~~~~~~~
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi..
~~~~~~~

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida
~~~~~~~
Tere hothon se lag kar yeh hawa sharab ban gayi
aankhon se lag kar yeh hijaab ban gayi
aur gaalon se lag kar yeh gulab ban gayi.
sach hi kahti hai yeh duniya jaaneman
ki mujh se mil kar tu laajawaab ho gayi....

~~~~~~~
Mujh Se Mat Punch, Mere Dil Ki Kahani O Hum-Dum
Is Main Kuch Parda-Nashinon Ke Bhi Naam Aate Hain.
~~~~~~~
Jab Kishti Sabit Salim Thee,
Sahil Ki Tamanna Kis Ko Thi,
Ab Aise Shikasta Kishti Main,
Sahil Ki Tamanna Kaun Karey.
~~~~~~~
Mausam Hai Mausam, Khushbu Aapke Zulfon Ka Naam,
Mausam-E-Gul Hai, Aapke Baag Main Aa Jaane Ka Naam.
~~~~~~~
In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain,
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain.
~~~~~~~
Tasalli Ho Jayegi, Zara Itna To Bata Do,
Tumhe Bhi Hitchkiyan Aati hain Jab Hum Yad Karte Hain.
~~~~~~~
Manzil ko paane ke liye Saahil ko paar karna padta hai,
Mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna parta hai...
~~~~~~~
Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain
~~~~~~~
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
~~~~~~~
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De,
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De,
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko,
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De.
~~~~~~~
Yeh Bhi Aadab Hamare Hai, Tumhain Kya Malum,
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum,
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna,
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum.
~~~~~~~
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha,
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha,
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed,
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha.
~~~~~~~
Kalam uthai hai lafz nahi milta,
Jisko dhund rahe hai wo shakhs nahi milta,
Firte hai wo zamane ki talash me,
Bus hamare liye he unhe waqt nahi milta .
~~~~~~~
Chirag se andhere door ho jate,
to chand ki chahat kise hoti,
kat sakti akele yen zindagi to
dosti naam ki ye cheez hi kyo hoti?
~~~~~~~
Ek din hamare aansoo hum se pooch baithe,
hame roz roz kyu bulate ho?
Humne kaha, hum yaad unhe karte hai,
tum kyo chale ate ho?
~~~~~~~

Zindagi ek chahat ka silsila hai,
koi mil gaya to koi bichad gaya,
jinhe manga tha duvao mein,
voh kisi ko bina maange mil gaya.
~~~~~~~

Ankhon ki zuban woh samajh nahi pate,
hooton se hum bhi kuch keh nahi pate,
Apni bebasi hum kis tarah kahe,
koi hai jiske bina hum reh nahi pate.
~~~~~~~

Aasu ko aankhon ki dehliz par laya na karo,
Aapne dil ka hal kisiko bataya na karo,
Log muthi mein namak liye goom rahe hai,
Apne zakhm kisiko bataya na karo.
~~~~~~~
Aankhe kholun to chehra uska ho,
Aankhe band karu to sapna uska ho,
mar bhi jaau to koi gam nahi,
Agar kafan ke badle dupatta uska ho!!!
~~~~~~~
Tu door sahi par tera aahsas he,
teri aawaz na sahi par tera aagaz he,
tu har pal mere saath he,
tuze bhulana shayad mumkin nahi,
kyunki tu har waqt dil ke pass hai!!!
~~~~~~~
Aai jo teri yaad to aankh bhar aai hai,
tu palkon se ban ke ashq chalak aai hai.
jee chahta hai tere un khaton ko choom loon,
jisme tere hanthon ki khushbu-e-hina samai hai.
khudaya ye kaisa qahar hai mujh par aaya,
mahboob ke aangan baji gair ki shahnaai hai.
aaj jo teri tasveer maine rubaroo rakh lee,
bosaa lene ko chandni mere ghar utar aai hai.
aankhon ke saagar ko ba ek parde se dhak liya,
tu kahin doob na jaae mere pyar ki gahraai hai.
dekh tere labon ke surkh gulaabon ki kasam,
khune-yaar se tune ghazab qayamat dhaai hai.
kismat ne muh moda to tune bhi hath chod diya,
raahe-wafa me dost tune khoob dosti nibhai hai...

~~~~~~~
Jahan me chai hui gham ki ghata ho jaise,
Dard me dubi saari fiza ho jaise,
Bhari mehfil me bhi tanha tha,
Ab teri yaad ne bhi saath chhoda ho jaise.
~~~~~~~
Wo ki har baat me mukarta jaye,
Dil wo ZAALIM ki usi shaks pe marta jaye,
Mere pehle mein wo aaye to bhi Khushbu ki tarah,
Main usse jitna sametoon wo bikharta jaye.
~~~~~~~
Maine tujhe chaha kya yehi meri khata hai,
Meri chahat ki kya yehi saza hai,
Ek lamhe me badal daali nigahen tumne,
Bas itni si mohabbat teri itni si wafa hai.
~~~~~~~
Tanha tanha mat socha kar, Mar jayega mat socha kar,
Jis ki fitrat mein dasna ho, Woh to dasega mat socha kar,
Pyaar ghari bhar ka he bahut hai, Jhoota, Sacha, mat socha kar.
~~~~~~~
Zindagi se puchi ye kya chahti hai,
Bus ek usi ki wafa chahti hai,
Kitni maasoom or naadan hai Zindagi,
Khud bewafa hai or WAFA chahti hai.
~~~~~~~
Raat bhi gehri thi hum darr bhi sakte they,
Hum jo kehte they kar bhi sakte they,
Woh jo bichra to yeh bhi na socha hoga,
Hum to pagal they mar bhi sakte they.
~~~~~~~
Rona bhi chaho to wo rone nahi deti,
Wo shaks to palke bhi bhigone nahi deti,
Aati hai khayalon me kaun ye aksar,
Jo mujhko kisi aur ka hone nahi deti.
~~~~~~~
Dard bhi de gaye Sitam bhi de gaye,
Zakhm ke saath-saath mujhe marham bhi de gaye,
Do lafjo se kar gaye wo apna mann halka,
Hum ko na rone ki kasam bhi de gaye.
~~~~~~~
Kisi ke hijar ka phir imtihan toot pada,
Hamare dil mein koi makaan toot pada,
Bas ek lamhe ko kamzor pad gaye the hum,
Us ek lamhe mein sara jahan toot pada.
~~~~~~~
Hijar ke mausam mein ye baarish ka barasna kaisa,
Ik sehraa se samandar ka guzarna kaisa,
Aaye mere dil na pareshan ho tanha hokar,
Woh tere saath chala he kab tha to bichadna kaisa.
~~~~~~~
Wo jaaye to sahi hum aane ka waada karte hain,
Wo roothe to sahi hum manaane ka wada karte hain,
Dil todna hai to beshaq tod de wo,
Is dil ke bina bhi hum usko chahne ka wadaa karte hain.
~~~~~~~
Meri wafa ke qabil nahin ho tum
Pyar mile aise insaan nahin ho tum
Dil kyon tum par aitabaar kare
Pyar main dhoka de aise bewafa ho tum..
~~~~~~~
Main kitna chahta hoon, ye kaise bataoon tumhein...
Main kitna chahta hoon, ye kaise bataoon tumhein...
Dar hai us khuda ka nahi to poojta tumhein...!!!
~~~~~~~
Mera har iqraar, tere har inkaar se achha hoga.
Mera har din, teri har raat se acha hoga.
Yaqeen na aaye, to apni doli se jhaank lena.
Meri maiyat ka janaaza, teri doli se achha hoga!!!

**********************************************

Dard Bhi De Gaye


NE TERA QURB NA BADAA HAi KIA KIA JAYAE

NE TERA QURB NA BADAA HAi KIA KIA JAYAE
PHIR AAJ DUKH BHEE ZIADA HAI KIA KIA JAYAE

HAMAIN BHEE ARZ-E-TAMANA KA DHAB NAHIN AATA
MIZAAJ-E-YAAR BHEE SADAA HAI KIA KIA JAYAE

KUCH APNAY DOST BHEE TARKASH BADOOSH PHIRTAY HAIN
KUCH APNA DIL BHEE KUSHADA HAI KIA KIA JAYAE

WO MEHRBAA'N HAI MAGAR DIL KEE HERS BHEE KUM HO
TALAB...KARAM SAY ZIADA HAI KIA KIA JAYAE

NA US SAY TARQ-E-TALAUQ KEE BAAT KAR PAI'N
NA HAMDAMEE KA IRADA HAI KIA KIA JAYAE

SALOOK-E-YAAR SAY DIL DOOBNAY LAGA HAI FARAZ
MAGAR YEH MEHFIL-E-AA'DAA HAI KIA KIA JAYAE


Root ke muje se koi mosam na raas aaya tu kia karo ge

Root ke muje se koi mosam na raas aaya tu kia karo ge
Ju sard raaton ki barishon ne tum he rulaya tu kia karo ge

Abi baharon ke sang awo nayi raaton ke gulab ban kar
Udaas mosam tumhare sang main lout aaya tu kia karo ge

Khaton ko bi tum jala rahe ho naqsh har aik tum mita rahe ho
Abi tu khud hi bhula rahe ho main yaad aaya tu kia karo ge

Tumhe mubarik ujhale sare ye teergi hai naseeb apna
Nayi raaton main mere siwa koi nazar na aaya tu kia karo ge

Ju toot gaye ab tu bikar jayen ge ham tum

Ju toot gaye ab tu bikar jayen ge ham tum
Shabnam ki tarah dhoop main mar jayen he ham tum

Raaste main na aaye ga ye chahat ka nagar phir
Ye soch ke phir kon se ghar jayen ge ham tum

Jimson ka madawa hi tu roohon ka safar hai
Is aag ke darya main uthar jayen ge ham tum

Khusbon tera chehra mere infaas ki le par
Darya hai tu darya main tehar jayen ge ham tum

Hoti hai tu ho wisal ki manzil bi garezan
Dunya main chalon naam tu kar jayen ge ham tum

Ye gardish halaat ke charta howa suraj
Kia waqt ki lehron main sanwar jayen ge ham tum

Viraani ehsaas darati hai hame kio
Kia hijar ki aseeb se dar jayen ge ham tum

Teri chah main had say guzar jaon ga ek din

Teri chah main had say guzar jaon ga ek din
piyar hota hai kia yeh dikhaon ga ek din

teri sang dili ko sehtay sehtay
main jaan say apni guzar jaon ga ek din

apni sari chahtain tujh pay war kay
piyar karna tujhay bhee sikhaon ga ak din

jee na pay ga tu bhee ho kay juda mujh say
aisa piyar tujh say kar jaon ga ekdin

andhairon main hi dhoondhta reh jay ga mujh ko
aisi bay rukhi dikhlaon ga ek din

kho kay mujh ko pachtao gay bohat sanam tum
wafa aisi tum say kar jaon ga ek din

aisi deewangi say chahon ga tujhay
bhool jao gay tum bhee sara jahan ek din

jaan teri bhee labon pay aa jay ga
ban kay khak jab matti main mil jaon ga ek din


Jahan phoolon ka khilna tha wahi khilte tu acha tha

Jahan phoolon ka khilna tha wahi khilte tu acha tha
Tumhi ko ham ne chaha tha tuhme milte tu acha tha

Koi aa kar hame pouche tuhme kaise bhulaya tha
Tumhare khat ko aashkon se shab-e-gham main jalaya tha

Hazaron gham aise hai agar silte tu acha tha
Tumhi ko ham ne chaha tha tumhi milte tu ahca tha

Tumhe jitna bhulaya hai tumhari yaad aayi hai
Bahaar-e-noo ju aayi hai wahi khusboon layi hai

Tumhare lab meri khatir agar hilte tu kitna acha tha
Tumhi ko ham ne chaha tha

Mila hai lutf bi ham ko haseen yaadon ki jilmil main
Kati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil main

Agar aaye hote tu acha tha agar milte tu acha tha
Tumhi ko ham ne chaha tha tumhi milte tu acha tha

'nah ho marna to jeene ka maza kya

kalee ko choo ke aiye he saba kya
muhabbat ka meri woh gul khilla kya

nahin hakim hee jab munsif, gila kya
ke haq mangeN to hotee saza kya

mere dil se uthee he ye sada kya
kisee ne yad mujh ko he kiya kya

hasare zaat men hum hain muqaid
humaree zindagi he maqbara kya

jo shok-e-khud sataish he adab men
na jaane in adeeboN ko hua kya

guzaree umr men ne hijraton men
meri manzil ka he aakhir pata kya

ujaRa he baharon ne chaman ko
khizan se kijiye ga ab gilah kya

andheron men jo suraj chup gaiya he
naiye suraj ke phir he ibtada kya

na kar peecha khialee titlion ka
kehen ge log bachpan aagaya kya

fana ho beej to banta shajar he
'nah ho marna to jeene ka maza kya

Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya

Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya
jo us k pas tha woh mujhay daan kar gaya

bichhra kuch is ada se k rut hi badal gayee
aik shakhs saray shahar ko veeran kar gaya

dilchasp waqiya hay k kal aik aziz dost
apnay mafad par mujhay qurban kar gaya

kitni sudhar gayee hay judayee main zindagi
han woh jafa se mujh pe to ehsan kar gaya

khalid main baat baat pe kehta tha jis ko jaan
woh shakhs akhir mujhay bejan kar gaya

jAb Hijr Kii Aag jAlatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin

jAb Hijr Kii Aag jAlatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin
AankhOn Mein Raakh Sajatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


YaadOn Kii Garm HawaaOn Say AankhOn Kii Kaliyaan jAltii hAin
Jab AansOo dArd Batatay hAin hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


Be dArd Hawaaien Seh Seh Kar SOoraj Kay dhAltay Saaye Mein
jAb PanChii lOat Kay Aatay hAin hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


jAb lOg Jahaan Kay QissOn Mein Dam Bhar Ka mOqa Miltay Hii
LafzOn Kay Teer Chalatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


Yeh Ishq mUhabbat Kuch Bhi Nahien fUrSat Ki Kaaristanii hAi
jAb lOg mUjhay Samjhatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


jAb Kalay Badal Ghir Aaien Aur BaariSh zOr Ki hOtii hO
Darwazay ShOr MaChatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


jAb Aangan Mein KhamOshii Apnay hOnt Pay Ungli Rakhti hO
Sanatay jAb Dhar Aatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


jAb Sard Hawa Kay BiStar hO Aur Yaad Say Is Ki Liptay hO
tAb NaGhma Sa Lehratay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


jAb Oas Kay Qatray PhOolon Par Kuch mOti Say Ban jAtay hAin
tAb hUm Bhi Ashk Bahatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


hUm Yaad Mein bUs gUm Rehtay hAin Aur Chand Ko Taktay Rehtay hAin
TaarOn Say Baat ChUpatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAinjAb Hijr Kii Aag jAlatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin
AankhOn Mein Raakh Sajatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


YaadOn Kii Garm HawaaOn Say AankhOn Kii Kaliyaan jAltii hAin
Jab AansOo dArd Batatay hAin hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


Be dArd Hawaaien Seh Seh Kar SOoraj Kay dhAltay Saaye Mein
jAb PanChii lOat Kay Aatay hAin hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


jAb lOg Jahaan Kay QissOn Mein Dam Bhar Ka mOqa Miltay Hii
LafzOn Kay Teer Chalatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


Yeh Ishq mUhabbat Kuch Bhi Nahien fUrSat Ki Kaaristanii hAi
jAb lOg mUjhay Samjhatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


jAb Kalay Badal Ghir Aaien Aur BaariSh zOr Ki hOtii hO
Darwazay ShOr MaChatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


jAb Aangan Mein KhamOshii Apnay hOnt Pay Ungli Rakhti hO
Sanatay jAb Dhar Aatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


jAb Sard Hawa Kay BiStar hO Aur Yaad Say Is Ki Liptay hO
tAb NaGhma Sa Lehratay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


jAb Oas Kay Qatray PhOolon Par Kuch mOti Say Ban jAtay hAin
tAb hUm Bhi Ashk Bahatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin


hUm Yaad Mein bUs gUm Rehtay hAin Aur Chand Ko Taktay Rehtay hAin
TaarOn Say Baat ChUpatay hAin Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin

Arsa Howa Kah Likha Nahi Hai Tum Nay Ab Tum Kese Ho

Arsa Howa Kah Likha Nahi Hai Tum Nay Ab Tum Kese Ho
Sathi Melay Hain Tumko Kesay, Kaam Jaha Per Karte Ho


Us Simt Wo Musam Aaya Hai Sawan Ka, Jo Phelay Aata Tha
Us Shaher Ke Barish Kese Hai, Jis Shaher Main Ab Tum Rahte Ho


Koee Waha Per Dost Bana Hai, Jis Say Dil Ka Haal Kaho
Usko Meri Aankhain Bakhsho, Jis Ko Tum Bhi Dekhte Ho


Koee Waha Per Easa Hai Jo Sari Doaey Tum Ko Day
Muddat Say Maloom Nahi Kuch, Likho Mujhko Aachi Ho


Jis Rishtay Say Ham Pagal Thay, Wo Nisbat Abhi Bhi Baki Hai
Mujh Ko Pagal Kahnay Wale, Tum Tu Abhi Tak Pagal Ho

6) Apna Haal Sunaoon Kia, Kuch Sunna Hai Tu Yah Sun Lo
Rasta Yoon Main Dekhta Hoon , Jesay Kah Abhi Tum Aate Ho

Suno! Naraz na ho humse

Suno! Naraz na ho humse
Suno na yun door jao mujhse
hum Khud wo hain Jin ko,
manana bhi nahi aata,
Kisi se kabhi hum ne muhabbat Jo nahi ki hai,
muhabbat kis tarha hoti hai,
Yeh jatana bhi nahin aata hume,

Suno! Naraz na humse,
Na koi Phool tum jaisa
ki mehak uthe humare deed-e-dil Jis ki Khushbo se,
Patjhar ka wo mausam tal chuka hai ab to
magar jo haar honi thi, wo to ho chuki hum se

Suno !Haare hue logon sey yon rootha nahi karte,
Suno! Is kadar naraz na ho humse.........!!!!

Haal -e- Dil Unko Jab Ham Sunanay Gay

Haal -e- Dil Unko Jab Ham Sunanay Gay
Log Apnay Gharoon Ko Bajanay Lagay


Lambay Baloon Ke Ganay Main Kia Ahmiyat
Easay Baloon Main Gaeek Zananay Lagay


Phote Kori Jo Kabhi Nekle Jeeb Say
Yaar Logo Ko Ya Bhi Khazanay Lagay


Kitne Mushkeloon Say Dil Ko Qarar Aata Hai
Kyun Hamay Aap Pher Say Satanay Lagay


Us Nay M.A Kia Beesway Saal Main
Hamko Dasween Talak Bhi Zamanay Lagay


Chaltay Chaltay Tu Hamko Hoee Thi Thakan
Aap Kyun Apnay Paoon Dabanay Lagay


Jis Dawa Say Hamay Faida Tha Fazal
Log Us Main Melawat Bharhanay Lagay

Khayal Ban Kay Utarte Hain Wahshateen Kese

Khayal Ban Kay Utarte Hain Wahshateen Kese
Bataoon Kesay Nekharte Hain Wahshateen Kese


Jo Doob Janay Ke Lazzat Main Joob Jatay Hain
Wo Jantay Hain Ubharte Hain Wahshateen Kese


Andheray Lout Kay Aayay Nahi Meray Ghar Main
Yah Wahshatoon Say Bhi Darte Hain Wahshateen Kese


Koee Tu Puchta Sehra Ke Chaandni Say Kabhi
Sanwar Sanwar Kay Sanwarte Hain Wahshateen Kese


Main Jin Ke Chunta Hoon Sahil Say Kircheyaan Akser
Yah Meray Dil Main Bekharte Hain Wahshateen Kese

Ham Sans Bhi Laynay Kay Sazawaar Na Theray

Ham Sans Bhi Laynay Kay Sazawaar Na Theray
Mazi Kay Kharabay Ke Bhi Dewaar Na Theray


So Baar Dhoowa Phool Kay Seenay Say Utha Hai
Badal Kay Qdam Baag Main Ak Baar Na Theray


Yoon Meri Umeedoo Kay Mahal Ho Gay Mismaar
Jis Tarah Koee Ratt Ke Dewaar Na Theray



Pohcha, Naey Halaat Kay Dharay Pay Safina
Mumkin Hay Meray Hath Main Pitwaar Na Theray


Chenay Liyay Jate Hai Gulistaan Ke Hawaey
Ham Barg -e- Fasurda Kay Bhi Haqdaar Na Theray


Ay Waqt Douraan Ham Hain Teray Sath Abhi Tak
Theray Jo Kahi Ham Tera Maiyaar Na Theray



Halaat Kay Cheray Pay Damakte Hai Surkhi
Rasta Howa Khoon -e- Dil -e- Funkaar Na Theray


Ay Jalwa -e- Khamosh Teray Sheesh Mahal Per
Ak Saans Ke Dastak Bhi Kahi Baar Na Theray


Maskan Mera Is Rah -e- Hawadis Main Hai Nazish
Jis Hada -e- Pur Hool Main Kohsaar Na Theray

Yah Toot-te Hoee Saansay, Yah Hurf Hurf Khayal

Yah Toot-te Hoee Saansay, Yah Hurf Hurf Khayal
Main Sochta Hoon Kah Is Baar Kis Kay Naam Karoon ?


Tarashay Hain Sab He Zakham Apnay Apnay....... Sukhan !!
Kesay Sakoot Pay Karhoon , Kesay Kalam Karoon



Hazaar Shakal Ubharte Hai Teri Yaad Kay Sath
Kesay Matah -e- Safer Kis Ko Husan -e- Shaam Karoon


Bagawatoon Pay Uter Aaein Khowahishain Meri
Kesay Rehahee Doon , Kis Ko Aseer Daam Karoon


Tujhay Tu Khair Sanwarnay Ko Aainay Hain Bohat
Mager Main Apni Gazal Kis Tarah Tamam Karoon ??


Waqt aaraha hai ab judai ka,

Waqt aaraha hai ab judai ka,
nata hoga khatam ab shanasai ka,

beetay din gaye mausam say beet gaye,
safar hoga shuroo ab tanhai ka,

bhool ker bhi tujh ko bhulana na chaheingay,
janay wo wafa ka hoga sisila ya bewafai ka,

tumhara hamara nata jo bun na saka to kiya,
jo bundhan bun gaya so wo bhi hai sachai ka,

tumhari muskurahaton ko palkon per sajaliya hum nay,
sabab wohi bun gaya apni ruswai ka,

jis ka naam ashkon say likha dil pay
ussay to rishta tha bus judai ka....

Tu meri kushion ke falak ka sitaara hai

Tu meri kushion ke falak ka sitaara hai
Tu yaar mujhko jaan se bhi pyaara hai

Tera karz hai mujh per,main bhooli nahin
Tu aaya hai,maine jab bhi pukaara hai

Teri palkon pe ansu dekh main sakti nahin
Zamaane ka mujhko har zulm gawara hai

Kasamh hai tujhko main jhukne nahin doongi
Maana ke mera dil har aik baazi haara hai

Tere daaman mein khushiyon ki kashtiyaan utaaroongi
Main ek dariya hoon,tu mera kinara hai

Main roti hoon,pardon mein moonh chupa ker
Tu jaanta hai mujhko kin ghamon ne maara hai

Mere saare sapne to toot ker bikhar gaye
Bas ab aik tu hi mere jeene ka sahara hai

Tu mere yaar mujhko jaan se bhi pyara hai

Tujh se bicchaR ke ham bhii muqaddar ke ho gaye

Tujh se bicchaR ke ham bhii muqaddar ke ho gaye
phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye

phir yuN hu�aa ke Ghair ko dil se lagaa liyaa
andar vo nafrateN thiiN ke baahar ke ho gaye

kyaa log the ke jaan se baRh kar aziiz the
ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye

ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye

samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-e-shehar
phir raftaa raftaa Khud usii kaafir ke ho gaye

ab ke na intizaar kareN chaaragar kaa ham
ab ke gaye to kuu-e-sitamgar ke ho gaye

rote ho ek jaziira-e-jaaN ko �Faraz� tum
dekho to kitne shah�r samandar ke ho gaye

Koi Baat Esi Kiya Karo, Koi Lafz Eiasaa Kaha Karo

Koi Baat Esi Kiya Karo, Koi Lafz Eiasaa Kaha Karo
Mile Jis Se Dil Ko Qaraar Sa, Koi She'r Eisa Parha Karo

Nahi Dukh Main Is Ko Rakhaa Karo, Kabhi Sukh Bhi Isko Diya Karo
Ye Udaas Hai Kayee Roz Se, Mere Dil Main Aa Ke Raha Karo

Jo Kahthin Kathin Se Hain Raaste,Ye Sabhi Hain Kyon Mere Waaste
Ye Jo Jal Rahi Hoon Main Aag Main, Kabhi Tum Bhi Es Main Jala Karo

Abhi Taq Tumhari He Aas Hai, Mere Dil Ke Ab Bhi Tu Paas Hai
Hai Ye Dil Tumhare Hisaar Main, Issey Meri Jaan Rehaa Karo

Mera Din Ho Ya Meri Raat Ho, Faqat Ek Tumhari He Baat Ho
Abhi Jese Tum Mere Saath Ho, Yunhi Mere Sath Raha Kaaro

اجنبی ہے تو میرے دل میں وہ رہتا کیوں ہے

اجنبی ہے تو میرے دل میں وہ رہتا کیوں ہے

دل میں رہتا ہے تو پھر آنکھوں سے بھتا کیوں ہے

اپنی ہر چاہ میں شامل اسے رکھا ہمیشہ

درد پھر سارے اکیلے ہی وہ سہتا کیوں ہے

Bohut mudat k bad kal shab,

Bohut mudat k bad kal shab,
kitab-e-mazi ko main nay khola,

Bohat say chehray nazar main utray,
Bohat say namon pe dil Paseeja,

Ik aisa safha bhi us main aya,
Likha hua tha jo aansoon say,

k jiska unwan "sirf tum" tha,
kuch or ansu phir us pe tupkay,

phir is say agay main parh na paya,
Kitab-e-mazi ko bund kar k,
Tumhari yadon mein kho gaya main,

Agar tum miltay tu kaisa lagta?
Inhi khayalon main so gaya main ..!

Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita

Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita
Aur maazi ki bhi parchhain nahin parne daita

Mujh se ulfat ki, woh baatain to bohat karta hai
Lekin khud ko, kabhi hud se, nahin barhne daita

Dosti mujh se woh chahta to hai lekin phir bhi
Apne raazon ko kabhi, mujh pe nahin khulne daita

Pyar dil dil main woh mujh se to bohat karta hai
Us ka izhar magar, mujh pe nahin honay daita

Mujh se milne ki woh koshish to bohat karta hai
Lekin milne pe kabhi mehsoos nahin honay daita

Zindagi us ki bhi kat jati yunhi meri tarha
Lekin woh khud ko mohabbat nahin karne daita

Phool ka kam hai khushbo se chaman ko bharna
Aur kanton ko bhi bezaar nahin honay daita

Tujhe kia kahoon main aye zindagi, teray aik pal ki khabar nahi

Tujhe kia kahoon main aye zindagi, teray aik pal ki khabar nahi
Main yaqeen karoon bhi to kis tarhan, teri shab ki koi sehar nahi

Meri khawishoon ka ye silsila hai kahan talak ye khabar nahi
Ye safar saadii pay muheet hai, meri umar aik pehar nahi

Tujhay chorna hai tou choor day, mujhay mout ka koi dar nahi
Woh andhair nagri hai gar koi, ye bhi rahaton ka dagar nahi.....!!

Aisa kyon hay

Aisa kyon hay
Keh ab insan bhi
Samjhte nahin
Ik doojay ki kahi
Aisa kyon hay
Baat Sun kar bhi
Samjhte nahin
Sun kar bhi unsuni
Aisa kyon hay
Dukh dekh kar bhi
Samjhte nahin
Madawa kartay nahi
Aisa kyon hay
Har insan nay
Gird apnay hi
Ik deewar chun li
Aisa kyon hay
Koi awaz sunta nahin
Koi bahir dekhta nahin
Koi sochta nahin
Aisa kyon hay
Kay hamaray dilon mein
Apnay siwa kisi kay liye
Koi dard nahin
Koi aas nahin
Aisa kyon hay
Kay hamari soch ka
Markaz ham hi
Aur koi fikar nahi
Aisa kyon hay
Apni awaz sunta har koi
Apni baat samjhta har koi
Apni fikar karta har koi
Aisa kyon hay
Sab ghalt hein
Dirf mein sahi
Sirf mein khara
Khota har koi
Aisa kyon hay

Sab se chupa ker dard, jo wo muskra diya,

Sab se chupa ker dard, jo wo muskra diya,
Us ki hansi ne to mujh ko rulla diya,

Lahje se uth reha tha her ik dard ka dhuwan,
Chehra bata reha tha ke kia kuch ganwa dia,

Awaz men thehrao tha, ankhoon men thi nami,
Our keh reha tha ke mene, sab kuch bhula diya,

Jane kia us ko theen logon se shikayateen,
Tanhayoon ke des men khud ko basa liya,

Khud bhi wo hum se bichar ker adhora sa hogaya,
Mujh ko bhi itne logoon men adhora bana diya

Phir Issi Rah-Guzar Pe Shayed

Phir Issi Rah-Guzar Pe Shayed
Ham Kabhi Mil Sakein Magar Shayed

Jin Ke Hum Muntazir Rahey Unko
Mil Gaye Aur Ham-safar Shayed

Jan Pehchhan Se Bhi Kya Hoga
Phir Bhi Aye Dost, Ghaur Kar Shayed

Ajnabiat Ki Dhund Chhut Jaye!
Chamak Uthey Teri Nazar Shayed

Zindagi Bhar Lahu Rulayegi…
Yad-e-Yaaraan- e-Bekhabar Shayed

Jo Bhi Bhichrey Woh Kab Miley Hein Faraz
Phir Bhi Tu Intizaar Kar Shayed

De Ker Ghum-e-Judaai Woh Jaane Kidher Gaya

De Ker Ghum-e-Judaai Woh Jaane Kidher Gaya
Burpaa Qayamatein Jo Mere Dil Pe Ker Gaya


Jaate Hue Woh Le Ke Dua Ka Aser Gaya
Mujhe Ko Ghum-e-Hayat Se Begaana Ker Gaya


Dekha Jo Sooye Taj Mehel, Dil Ne Ye Kaha
Fun To Raha Hai Zinda Ke Funkaar Mer Gaya


Kia Yaad Ker Sake Ga Yahan Per Mujhe Koi
Sheraaza Meiri Husti Ka Jis Din Bikher Gaya


Phir Ajj Usi Ko Dhoondti Hai Ye Nigaah-e-Shouq
Dekhe Jise Ae Sanam Zamaaana Guzer Gaya

dArd K phOol Bhe Khiltay hAin Bikhar jAtay hAin

dArd K phOol Bhe Khiltay hAin Bikhar jAtay hAin
Zakhm KaiSay Bhe hOn Kuch Roz Mein Bhar jAtay hAin

Raasta rOkay Kharii hAi Yahii Uljhan Kab Sey
kOii POochay To Kahien Kya K KiDher jAtay hAin

Chhat ki KhirkiyOun Sey Utartay hAin Meray Khwaab Magar
Meri DeevarOun Sey Takra K Bikhar jAtay hAin

Narm Awaz Bhalii Baatien mOhazzab Lehjay
Pehlii BariSh Mein Hii Yeh Rang Utar jAtay hAin

Us Dareechay Mein Bhe Ab kOii Nahien Aur Hum Bhe
Sar jhUkaye hOye Chup Chaap gUzar Jatay hAin

meri qismat pe chaa gaya ek shaks

meri qismat pe chaa gaya ek shaks
aaj bahut door chala gaya ek shaks

apni yadon ko mere sarhane rakh kar
aaj be-suroor rolaa gayaa ek shaks

tamaam raat jis k hijar mein kaati maine
aaj ek nai subah dekhaa gayaa ek shaks

beete dino mein jo mahel banaye thai yadoon k
ek lumhe mein woh mahal gira gaya ek shaks

saat chalney ki tu koi qasam nahi khai thi us ney
aaj lagta hai jaise sar-e-rah choor gaya ek shaks

meri qismat pey cha gaya ek parda jana
aaj mujh sebhut door chala gaya ek shaks

Hum Buray Log To Buray Hain

Hum Buray Log To Buray Hain
Hum Rasm e Zamana Kya Jaanein
Kahin Waaiz Hain Kahin Naaseh Hain
Hum Pyar Jatana Kya Jaanein
Tum Ishq k Hoge Sodaii
Par Ishq k Maani Kya Jano
Izhar e Tamanna Karnay Ko
Ya Haath Pakar Kar Chalney Ko
Tum Ishq k Maani Pehnao
Kisi Park Mein Ja Kar Baith Gaye
Kahin Ghaas Mein Ja Kar Lait Gaye
Kisi College Mein,University Mein
"I LOVE U" Kehna Ishq Nahi
Tum Zaat Pe Marney Walay Ho
Tum Ishq k Maani Kya Jano
Hum Yun To Azal Se Buray Hain
Par Ishq Ka Rutba Pehchanein
"Mujhay Tum Se Muhabbat Hay Sachi"
Hum Log Yeh Kehty Dartay Hain
Hum Rasm e Muhabbat Se Waqif
Aadab e Muhabbat Kartay Hain
Kehnay Ko To Hum b Keh Guzrein
Par Qaul Nibhayein Ge Kaisy?
Phir Khoon e Jigar Peena Hoga
Sehrao Mein Jeena Hoga
Hum Kachay Gharray Se Larzeeda
Hum Aag Mein Kood Nahi Saktay
Hum Jalti Rait Se KhaufZada
Hum Nehrein Khod Nahi Saktay
Ik Roz Kaha Tha Logoon Se
Mujhay Sab Se Pyari Tum Lagti Ho
Vo Qaul Nibhana DoBhar Hay
Naye Qaul o Qarar Karein Kaisy?
Tum Ishq k Hoge Sodaii
Par Ishq k Maani Kya Jano
Hum Log To Sada k Buray Hain
Par Ishq Ka Rutba Pehchanein

Jin Jin Ko Tha Yeh IShq Ka Aazar Mar Gye

Jin Jin Ko Tha Yeh IShq Ka Aazar Mar Gye
Aksar Hamaray Saath Key Bemaar Mar Gye

hOta Nhe hAi tUjh Lab e nOo Khat Pey kOii Sabz
EeSa O Hizzar Kya Sabhe Yak Baar Mar Gye

MajnOo'n Na DaSht Mein hAi Na Farhad kOoh Mein
Tha Jin Sey Lutf e Zindgi Wo Yaar Mar Gye

Sad Karwaan Wafa hAi kOii POchta Nahe
gOya Mata e Dil Key KhareeDar Mar Gye

yOun KanOun Kaan Gul Ney Na Jana Chaman Mein Aaah
Sar Ko Patak Key hUm Pas e Dewaar Mar Gye

Gar Zindgi Yahii hAi Jo Kartay hAin hUm ASeer
To wOhii Jee Gye Jo Giraftaar Mar Gye

AfsOos Vay Sheed K Jo Qatl Gaah Mein
Lagtay Hii Us Key Haath Ki Talvaar Mar Gye

tUjh Sey Do-Chaar hOnay Ki HaSrat Mein mUBtala
Jab Zindgi Bala hOii NaChaar Mar Gye

Ghabra Na "Meer" IShq Mein Is Sehal e Zeest Par
Jab Bas Chala Na Kuch To Teray Yaar Mar Gye

Dil Tu Kahta Hay Zamanay Say Chhopaloon Tujh Ko

Dil Tu Kahta Hay Zamanay Say Chhopaloon Tujh Ko
Dil Ki Dharkan Ki Tarha Dil Mein Basaloon Tujh Ko

Koi Ahsaas Judai Ka Na Rahnay Paey
Iss Tarha Khud May Meri Jaan Samaloon Tujh Ko

Tu Jo Rothay Kabhi Mujh Say Meray Dil Kay Maalik
Sari Duniya Say Khafa Hokay Mana Loon Tujh Ko

Jab Bhi Deikhoon Teray Charay Pay Udassi Ka Samaa
Yahe Chahoon Kay Kissi Tarha Hasaloon Tujh Ko

Tu Jo Thakk Haar ke Lotay To Yehi Khuwahish Hay
In Palkoon Ki Chaoon May Sulaloon Tujh Ko.,.,.,.,.,.,.,

De Ker Ghum-e-Judaai Woh Jaane Kidher Gaya

De Ker Ghum-e-Judaai Woh Jaane Kidher Gaya
Burpaa Qayamatein Jo Mere Dil Pe Ker Gaya


Jaate Hue Woh Le Ke Dua Ka Aser Gaya
Mujhe Ko Ghum-e-Hayat Se Begaana Ker Gaya


Dekha Jo Sooye Taj Mehel, Dil Ne Ye Kaha
Fun To Raha Hai Zinda Ke Funkaar Mer Gaya


Kia Yaad Ker Sake Ga Yahan Per Mujhe Koi
Sheraaza Meiri Husti Ka Jis Din Bikher Gaya


Phir Ajj Usi Ko Dhoondti Hai Ye Nigaah-e-Shouq
Dekhe Jise Ae Sanam Zamaaana Guzer Gaya

ROshni MizajOun Ka Kya Ajab mUQaddar hAi

ROshni MizajOun Ka Kya Ajab mUQaddar hAi
Zindgii Key RaStey Mein BiChney Walley KaantOun kO
Rah Sey Hattaney Mein
Aik Aik Tinkey Sey AaShiyaan Bananey Mein
KhUSbOoien PaKarney Mein gUliStaan Sajaney Mein
Umar Kaat dAitey hAin
Umar Kaat Daitey hAin
Aur Apney Apnay HiSsey Key PhOol Baant Daitey hAin


Kaisi Kaisi KhwaahiSh kO Qatl Kartey jAtey hAin
Dar-gUzar Key gUlShan Mein Abar Ban Key Rehtey hAin
Sabr Key SamanDar Mein KaShtiyaa Chalatey hAin
Yeh Nahi K In kO Is ROz o Shab Ki KhaahiSh Ka
KUch Silla Nahi Milta
Marney Walli AaSOun Ka
KhOon Baha Nahi Milta


ZinDgii Key Daman Mein Jis Qadar Bhi KhUShiyaan hAin
Sab Hi Haath Aati hAin
Sab Hii Mil Bhi jAtii hAin
WaQt Par Nahi Miltien , WaQt Par Nahi Aatien
Ya'anii In Ko Mehnat Ka
Ajar Mil tO jAtta hAi
Lekin Is Trah jAisey
Qarz Kii RaQam kOii Qist Qist Ho jAye
Asal jO Ibaarat ho Pas e Nawisht Ho jAye


Fasl e gUll Key Aakhir Mein PhOol In Key Khiltey hAin
In Key Sehan Mein SOoraj dAir Sey Nikaltey hAin

Kahan Aake Rukne The Raaste, Kahan Maur Tha Usey Bhool Ja

Kahan Aake Rukne The Raaste, Kahan Maur Tha Usey Bhool Ja
Jo Mil Gaya Isey Yaad Rakh Jo Nahi Mila Usey bhool Ja

Woh Tere Naseeb Ki BarisheN Kisi Aur Chhat Per Baras Gayeen
Dil-e-bekhabar meri baat Sun, Usey Bhool Ja, Usey bhool Ja

Mein to gum tha tere hi dhiyan men, teri Aas, tere gumaan mein
Hawa keh gayi mere kaan mein, mere saath aa, Usey bhool Ja...

Kisi aankh mein nahin ashk-e-gham, tere baad kuchh bhi nahin hai kam
Tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura Usey bhool Ja

KyuN ataa hua hai ghubar men, gham-e-zindigi ke fishar mein
Woh jo darj tha tere bakht men so woh ho gaya, Usey bhool Ja

Na woh aankh hi teri aankh thi na woh khwaab hi tera khwaab tha
Dil-e-muntazir to ye kis liye tera jaagna Usey bhool Ja

Tujhe chand banke mila tha jo tere sahiloN pe khila tha jo
Who tha ek dariya visaal ka so utar gaya use bhool Ja

Jo bisaat-e-jaan hi ulat gaya, woh jo raste hi palat gaya
Usey rokne se husool kiya usey mat bula Usey bhool Ja... !!

wO Gaya tO Saath Hii Ley Gya Sabhi Rang Utaar Kay Shehar Ka

wO Gaya tO Saath Hii Ley Gya Sabhi Rang Utaar Kay Shehar Ka
kOii Shakhs Tha Meray Shehar Mein Kisi dOor Paar Kay Shehar Ka

Chalo kOii Dil tO Udaas Tha, ChalO kOii Aankh tO Num Rahii
ChalO kOii Dar tO KhUla Raha Shab e InteZaar Kay Shehar Ka

Ye jO Main Nay Tazza Ghazal Kahi, sO hAi Nazr Ehal e FiraaQ Kii
K Na Mil Saka kOii Nama-Bar mUjhey Meray Yaar Kay Shehar Ka

sO Matta e jAan kO Liye hOye Palat Aaye Teray Garifta Dil
Kisay Baichtay K Milla Nahien kOii Aitbaar Kay Shehar Ka

Meray Tarz e NaGhma Saraaii Say kOii BaGhbaan Bhi tO KhUsh Nahi
Yeh Mera Mizaaj hAi Kya KarOn K hOn Main Bahaar Kay Shehar Ka

Kissi Aur dAis kii Oarr kO sUna hAi Faraz Chala Gaya
Sabhi dUkh Samait Kay Shehar Ka Sabhi Qarz Utaar Kay Shehar Ka

Main mar mita to wo samjha ye inteha the meri

Main mar mita to wo samjha ye inteha the meri
usay khabar hi na the,khaak kimiya the meri

main chup howa to wo samjha k baat khatam howi
phir us k baad to awaz ja baja the meri

jo ta'ana zan tha meri poshish e dardida per
usi kay dosh pay rakhi howi qabah the meri

main us ko yaad karon bhi to yaad ata nahin
main us ko bhool gaya hon,yehi saza the meri

shikast day gaya apna gharoor hi us ko
wagarna us k muqabil baast kia the mer

kahin dimagh kahin dil kahin badan hi badan
har ik say dosti yaari juda juda the meri

koi bhi ko'ey muhabbat say phir nahin guzra
to shehar e ishq main kia akhri sada the meri

jo ghumand say sir ko uthay phirta hai
isi tarhan ki to makhlooq khaak e pa the meri

har aik shair na tha dr khor e qaseeda dost
aur us say tabai e rawan khob aashna the meri

MAIN US KO DAIKHTA REHTA THA HAIRATON SAY FARAZ
YE ZINDAGE SAY TAR'RUF KI IBTADA THE MERI

DarD-e-Dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona

DarD-e-Dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona
adamiyat yahi hai aur yahi insan hona

nau-giraftar-e-bala tarz-e-fugan kya janen
koi nashad sikha de inhen nalan hona

rah ke duniya men yun tark-e-havas ki koshish
jis tarah apne hi saye se gurezan hona

zindagi kya hai anasir main zahur-e-tartib
maut kya hai inhin ijza ka pareshan hona

dil asiri main bhi azad hai azadon ka
valvalon ke liye mumkin nahin zinda hona

gul ko pamal na kar lal-o-gauhar k malik
hai ise turah-e-dastar-e-gariban hona

hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se bharkar
nang hai mere liye chak gareban hona

BEWAFAAI KI MEHEK SE ROOH NA-PAAK KAR GAYA

BEWAFAAI KI MEHEK SE ROOH NA-PAAK KAR GAYA
ek qayamat ki raat wo de gaya
aur ek tarfa baat wo kar gaya
zubaan par kasmon ke taale lagaa gaya
uski har ek baat rooh behis kar gaya
faisla suna diya juda hone ka
har kasmon-waadon ko tod dene ka
har guzre lamhe bhula dene ka
har kahi gai baat ko mita dene ka
dard ke gaon main pohoncha diya
bin bataai waqt main kahin kho gaya
dhoondti hun uska naam-o-nishaan
waqt ke dhundalke main kahin kho gaya
na karna intezaar hukm jaari kar gaya
dil main rahungi sada ye keh gaya
jeene ka akhri sahaara bhi le gaya
intezaar ke lamhe bhi saath le gaya
ik khaalipan ik soonapan ik khala de gaya
zindagi se har rang chura kar le gaya
mujh se mere jeene ka haq bhi le gaya
bejaan jism aur bojhal sansein chhod gaya
khoob meri wafaon ka sila wo de gaya
loot kar mera sabr-o-qaraar wo gaya
umr bhar ko ankhon main nami de gaya
mere dil ke zakhmon ko taaza kar gaya
jee uth gaya hai duniya se ab mera
ab mout ki ahat ka intezaar hai
is beemaar dil ko kabr ka intezar hai
ai ajal tu lele mujhe apni aagosh main
jeene ke haaton itni luti hun
ab to jeene ka armaan bhi mit gaya
sanson ka bojh dil pe azaab kar gaya
mera har lamha zindagi pe bojh ban gaya
phir bhi dua hai meri jaan abaad rahe
mere hayaat ke lamhe bhi tujhe lag jaai
teri udaanon ko naya aasmaan mil jaai
naya sheher khushyon ka gaon mil jaai
mit kar bhi na mitegi mehek pyaar ki
wafa ki khusboo phailegi is bahaar ki
sanson se rishta nibhaungi farz ki khaatir
lekin marne ki dua rahegi lab par har dam
nibhaungi har dard se rishta teri khatir
jaa le jaa tu mera aasmaan aur meri zameen
ab na "aarzoo" hai na tamanna jeene ki ai katil
bewafaai ki mehek se rooh na-paak kar gaya.......

Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna

Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna
Mein Phir Aaoyoun Ga Palat Kar Mera Intezaar Karna

Mujhe Darr Hai, Mere Aansoo Teri Aankh Se Na Jhalkien
Zara Sooch Kar Samajh Kar Mujhe Sogawaar Karna

Ussey Dhoond Sab Se Pehlay Jo Mila Nahien Hai Tujh Ko
Yeh Sitarey Aasmaan Kay Kabhi Phir Shumaar Karna

Mere Shaher Ki Fiza Mein Koi Zahar Bhar Gaya Hai
Tere Husn Par Hai Laazim Ussay Khusgawaar Karna

Mein Uthayoun Gaa Na Ihsaan Tere Baad Na-Khuda Ka
Mujhe Tu Ney Hi Daboya, Mujhe Tu Hi Paar Karna

Mere Bad-Naseeb sathi, Teri Zindagi Hi Kya Hai
Na Kisi Sey Dil Lagaana, Na Kisi Sey Pyaar Karna

Kabhi Iqtidaar Bakhshey Jo Khuda Qateel Tujh Ko
Jo Rawish Hai Qatiloon Ki, Woh Na Ikhtiyaar Karna

Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay

Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay

Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo ke samandar kay safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay

aab kay iss toor musallat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliQ
Maira dushman mairay marnay ki khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep, gauhar ko tarsay

na'shana'sayee kay mousam ka asar tu daikho
Aaina khaal o khad e aaina gar ko tarsay

Aik dunia hai kay basti hai teri ankhon me
Woh tu hum thay jo teri ik nazar ko tarsay

Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay

Ho teri Yaad Ka Dil Mein Guzar Aahista Aahista

Ho teri Yaad Ka Dil Mein Guzar Aahista Aahista
Kare ye Chand Sehra mein Safar Aahista Aahista

Bohat Tezi se Duniya Cheen le gi Jab Tujhe mujh se
To Phir Iss Dil mein Aise Mat Uttar Aahista Aahista

K Hum Dosto ko Rakhein Dhoke mein Khush kalami se
Hume Aa hi Gaya Ye Hunar bhi Aahista Aahista

Kahein se Ek Verani ka Sayaa Phailta aaya
Hue Bey Rang Sab Diwar-o-Dar Aahista Ahista

Na toote or kuch din Tujh se Rishta is tarha mera
Mujhe Barbad kar dey tu,Magar Aahista Aahista

Ye khamoshi yaha ka Husan hai Rakhna Khiyal is ka
Kamaal Iss dasht e wiraa'n se Guzar Aahista Aahista

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Azaab-e-Judaai

Jo rafaqton ki khwahishon main dil-e-muntazir hai parra huwa
Isay kiya khabar k judaiyon k azaab kitnay shadeed hain.

Kaise Bhulaye ga Wo meri Barson ki Chahat ko.

Kaise Bhulaye ga Wo meri Barson ki Chahat ko.
Darya agar Sookh bhi jaye to Rait se Nami Nahi Jati…
Facebook Like Box Widget