Hawas naseeb e nazar ko kahien qarar nahi

Hawas naseeb e nazar ko kahien qarar nahi,
Main muntazir hun magar tera intazar nahi,

Humi say rang e gulistan humi say rang e bahar,
Humi ko nazm e gulistan pey ikhtayar nahi,

Abhi na cher mohabbat kay geet ay matrab,
Abhi hayat ka mahool khushgawar nahi,

Tumharey ehad e wafa ko main ehad kya samjhon,
Mujhey khud apni mohabbat ka aitbar nahi,

Na janey kitney giley is me muztarib hain nadeem,
Wo ek dil kisi ka gila guzar nahi,

Gurez ka nahi qail hayat sey lekin,
Jo sach kahon to mujhey maot nagwar nahi,

Ye kis muqaam pey pohncha dia zamaney ney,
Kay ab hayat pey tera bhi ikhtayar nahi.

Sahir ludhyanvi

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget