takra hi gai meri nazar un ki nazar se
dhona hi para hath mujhe qalb-o-jigar se
izhar-e-mohabbat na kiya bas isi dar se
aisa na ho gir ja un kahin un ki nazar se
ai zauq-e-talab josh-e-junun ye to bata de
jana hai kahan aur ham aye hain kidhar se
'Fayyaz' ab aya hai junun josh pe apna
hansta hai zamana main guzarta hun jidhar se