Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts
Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts

tere aane kaa dhokhaa saa rahaa hai

tere aane kaa dhokhaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jalataa rahaa hai

ajab hai raat se aaNkhoN kaa aalam
ye dariyaa raat bhar chaRhataa rahaa hai

sunaa hai raat bhar barasaa hai baadal
magar wo shahar jo pyaasaa rahaa hai

wo ko_ii dost thaa achchhe dinoN kaa
jo pichhalii raat se yaad aa rahaa hai

kise DhooNDhoge in galiyoN meN "Nasir"
chalo ab ghar chaleN din jaa rahaa hai

Un k andaz-e-karam un pe wo aana dil ka

Un k andaz-e-karam un pe wo aana dil ka,
Hi! wo waqt wo batein wo zamana dil ka

Na suna usne tawajo se fasana dil ka,
umer guzeri par dard na jana dil ka

Dil lagi, dil ki lagibun k mita deti hai,
Rog dushman ko bhi Ya Rab na lagana dil ka

Wo bhi apne na huwy dil bhi gaya hathon se,
Aise aanay se tou behtar tha na aana dil ka

Unki mehfil mein "Nasir" unke tabasum ki qasam,
Hum dekhtay reh gaye hath se jana dil ka.

araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho

araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho
wo dard ab kahan jise ji chahta bhi ho

ye kya k roz ek sa gam ek si ummid
is ranj-e-bekhumar ki ab inteha bhi ho

ye kya k ek taur se guzre tamam umr
ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho

tute kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism
itne hujum main koi chehra naya bhi ho

diwangi-e-shauq ko ye dhun hai in dinon
ghar bhi ho aur be-dar-o-diwar sa bhi ho

juz dil koi makan nahi dahar main jahan
rahzan ka khauf bhi na rahe dar khula bhi ho

har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka
lekin kise dikhaun koi dekhta bhi ho

har shay pukarti hai pas-e-parda-e-sukut
lekin kise sunaun koi hamnawa bhi ho

fursat main sun shaguftagi-e-guncha ki sada
ye wo sukhan nahi jo kisi ne kaha bhi ho

baitha hai ek shakhs mere pas der se
koi bhala-sa ho to hamain dekhta bhi ho

bazm-e-sukhan bhi ho sukhan-e-garm k liye
taus bolta ho to jangal hara bhi ho

aaj to be sabab udaas hai ji

aj to be-sabab udas hai ji
ishq hota to koi bat bhi thi

jalta phirta hun kyun do-pahron main
jane kya chiz kho gai meri

wahin phirta hun main bhi khak ba-sar
is bhare shahar main hai ek gali

chupta phirta hai ishq duniya se
phailti ja rahi hai ruswai

hamnashin kya kahun k wo kya hai
chor ye bat nind urane lagi

aj to wo bhi kuch khamosh sa tha
main ne bhi us se koi bat na ki

ek dam us k hath chum liye
ye mujhe baithe baithe kya sujhi

tu jo itna udas hai ‘Nasir’
tujhe kya ho gaya bata to sahi

dil ke dhadakne ka sabab yaad aaya

dil dharakne ka sabab yad aya
wo teri yad thi ab yad aya

aj mushkil tha sambhalna ai dost
tu musibat main ajab yad aya

din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada-e-shab yad aya

tera bhula hua paiman-e-wafa
mar rahenge agar ab yad aya

phir kai log nazar se guzre
phir koi shahar-e-tarab yad aya

hal-e-dil ham bhi sunate lekin
jab wo rukhsat hue tab yad aya

baith kar saya-e-gul main ‘Nasir’
ham bahut roye wo jab yad aya

dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gaya

dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gaya
mila nahi to kya hua wo shaql to dikha gaya

judaion k zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind a gai mujhe bhi sabr a gaya

ye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aine main dekhta hun main kahan chala gaya

pukarti hain fursaten kahan gai wo sohbaten
zamin nigal gai unhen ya asman kha gaya

wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui
wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya

ye kis khushi ki ret par gamon ko nind a gai
wo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gaya

gaye dinon ki lash par pare rahoge kab talak
utho amalkasho utho k afatab sar pe a gaya

dil main ik lahar si uthi hai abhi

dil main ik lahar si uthi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi

shor barpa hai khana-e-dil main
koi diwar si giri hai abhi

kuch to nazuk mizaj hain ham bhi
aur ye chot bhi nai hai abhi

bhari duniya main ji nahi lagta
jane kis chiz ki kami hai abhi

tu sharik-e-sukhan nahi hai to kya
ham-sukhan teri khamoshi hai abhi

yad k be-nishan jaziron se
teri awaz a rahi hai abhi

shahar k becharag galiyon main
zindagi tujh ko dhundti hai abhi

so gaye log us haweli k
ek khirki magar khuli hai abhi

tum to yaro abhi se uth baithe
shahar main rat jagti hai abhi

waqt acha bhi ayega ‘Nasir’
gam na kar zindagi pari hai abhi

dukh ki lehar ne chera hoga

dukh ki lahar ne chera hoga
yad ne kankar phenka hoga

aj to mera dil kahta hai
tu is waqt akela hoga

mere chume hue hathon se
auron ko khat likhta hoga

bhig chalin ab rat ki palkain
tu ab thak kar soya hoga

rel ki gahri siti sun kar
rat ka jangal gunja hoga

shahar k khali steshan par
koi musafir utra hoga

angan main phir chiriyan bolen
tu ab so kar utha hoga

yadon ki jalti shabnam se
phul sa mukhra dhoya hoga

moti jaisi shaql banakar
aine ko takta hoga

sham hui ab tu bhi shayad
apne ghar ko lauta hoga

nili dhundhli khamoshi main
taron ki dhun sunta hoga

mera sathi sham ka tara
tujh se ankh milata hoga

sham k chalte hath ne tujh ko
mera salam to bheja hoga

pyasi kurlati kunjun ne
mera dukh to sunaya hoga

main to aj bahut roya hun
tu bhi shayad roya hoga

‘Nasir’ tera mit purana
tujh ko yad to ata hoga

girifta-dil hain bahut aj tere diwane

girifta-dil hain bahut aj tere diwane
khuda kare koi tere siwa na pahchane

miti miti si ummiden thak thak se khayal
bujhe bujhe se nigahon main gam k afsane

hazar shukr k ham ne zuban se kuch na kaha
ye aur bat k pucha na ahal-e-duniya ne

baqadr-e-tashnalabi pursish-e-wafa na hui
chalak k rah gaye teri nazar k paimane

khayal a gaya mayus rahguzaron ka
palat k a gaye manzil se tere diwane

kahan hai tu k tere intazar main ai dost
tamam rat sulagate rahe dil k wirane

ummid-e-pursish-e-gam kis se kijiye ‘Nasir’
jo mere dil pe guzarti hai koi kya jane

Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi

hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi

ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab
milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi

tere karam se ai alam-e-husn-e-afrin
dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi

dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab
milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi

josh-e-junun main dard ki tugyaniyon k sath
ashkon main dhal gai teri surat kabhi kabhi

tere qarib rah k bhi dil mutmain na tha
guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi

kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha
yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi

ai dost ham ne tark-e-muhabbat k bawajud
mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabh

kisi kali ne bhi dekha na

kisi kali ne bhi dekha na ankh bhar k mujhe
guzar gai jars-e-gul udas kar k mujhe

main so raha tha kisi yad k shabistan main
jaga k chor gaye qafile shahar k mujhe

main ro raha tha muqaddar ki sakht rahon main
ura k le gaya jadu teri nazar ka mujhe

main teri dard ki tugyaniyon main dub gaya
pukarte rahe tare ubhar ubhar k mujhe

tere firaq ki raten kabhi na bhulengi
maze mile inhin raton main umr bhar k mujhe

zara si der thaharne de ai gam-e-duniya
bula raha hai koi bam se utar k mujhe

phir aj ai thi ik mauj-e-hawa-e-tarab
suna gai hai fasane idhar-udhar k mujhe

Kaun Is Raah Se Guzarta Hai

kaun is rah se guzarta hai
dil yun hi intazar karta hai

dekh kar bhi na dekhne wale
dil tujhe dekh-dekh darta hai

shahr-e-gul main kati hai sari rat
dekhiye din kahan guzarta hai

dhyan ki siriyon pe pichle pahar
koi chup k se paon dharta hai

dil to mera udas hai ‘Nasir’
shahar kyon sayen-sayen karta hai

kitna kaam karen ge....

kitna kam karenge
ab aram karenge

tere diye hue dukh
tere nam karenge

ahal-e-dard hi akhir
khushiyan am karenge

kaun bacha hai jise wo
zer-e-dam karenge

naukari chor k “Nasir”
apna kam karenge

kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen

kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen
aye hain is gali main to pathar hi le chalen

yun kis tarah katega kari dhup ka safar
sar par khayal-e-yar ki chadar hi le chalen

ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho
thori si khak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen

ye kah k cherti hai hamain dilgiraftagi
ghabra gaye hain ap to bahar hi le chalen

is shahar-e-becharag main jayegi tu kahan
a ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen

mumkin nahi mata-e-sukhan mujh se chin le

mumkin nahi mata-e-sukhan mujh se chin le
go bagban ye kanj-e-chaman mujh se chin le

gar ehtaram-e-rasm-e-wafa hai to ai Khuda
ye ehtaram-e-rasm-e-kohan mujh se chin le

manzar dil-o-nigah k jab ho gaye udas
ye be-faza ilaqa-o-tan mujh se chin le

gulrez meri nalakashi se hai shakh shakh
gulchin ka bas chale to ye fan mujh se chin le

sinchi hain dil k khun se main ne ye kyariyan
kis ki majal mera chaman mujh se chin le

kuch to ehsas-e-ziyan tha pahle

kuch to ehsas-e-ziyan tha pahle
dil ka ye hal kahan tha pahle

ab to manzil bhi hai khud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishan tha pahle

safar-e-shauq k farsang na puch
waqt beqaid-e-makan tha pahle

ye alag bat k gam ras hai ab
is main andesha-e-jan tha pahle

yun na ghabraye huye phirte the
dil ajab kunj-e-aman tha pahle

ab bhi tu pas nahi hai lekin
is qadar dur kahan tha pahle

dere dale hain bagolon ne jahan
us taraf chashm-e-rawan tha pahle

ab wo dariya na basti na wo log
kya khabar kaun kahan tha pahle

har kharaba ye sada deta hai
main bhi abad makan tha pahle

kya se kya ho gai duniya pyare
tu wahin par hai jahan tha pahle

ham ne abad kiya mulk-e-sukhan
kaisa sunsan saman tha pahle

ham ne bakhshi hai khamoshi ko zuban
dard majbur-e-fugan tha pahle

ham ne roshan kiya mamur-e-gam
warna har simt dhuan tha pahle

gam ne phir dil ko jagaya ‘Nasir’
khanabarbad kahan tha pahle

Nasir... kya kehta phirta hai

‘Nasir’ kya kahta phirta hai kuch na suno to behtar hai
diwana hai diwane k mun na lago to behtar hai

kal jo tha wo aj nahi jo aj hai kal mit jayega
rukhi-sukhi jo mil jaye shukr karo to behtar hai

kal ye tab-o-tawan na rahegi thanda ho jayega lahu
nam-e-Khuda ho jawan abhi kuch kar guzro to behtar hai

kya jane kya rut badle halat k koi thik nahi
ab k safar main tum bhi hamare sath chalo to behtar hai

kapre badal kar bal bana kar kahan chale ho kis k liye
rat bahut kali hai ‘Nasir’ ghar main raho to behtar hai

niyat-e-shauq bhar na jaaye kahin

niyat-e-shauq bhar na jaye kahin
tu bhi dil se utar na jaye kahin

aj dekha hai tujhe der k bad
aj ka din guzar na jaye kahin

na mila kar udas logon se
husn tera bikhar na jaye kahin

arzu hai k tu yahan aye
aur phir umr bhar na jaye kahin

ji jalata hun aur ye sochta hun
rayegan ye hunar na jaye kahin

ao kuch der ro hi len ‘Nasir’
phir ye dariya utar na jaye kahin

naye Kapde Badal Kar Jaun Kahan

naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye
wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye

jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye

wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha
ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye

ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi
aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye

muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza
in khali kamron main ‘Nasir’ ab shamma jalaun kis k liye

safar-e-manzil-e-shab yad nahi

safar-e-manzil-e-shab yad nahi
log rukhsat huye kab yad nahi

dil main har waqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yad nahi

wo sitara thi k shabnam thi k phul
ik surat thi ajab yad nahi

aisa uljha hun gam-e-duniya main
ek bhi khwab-e-tarab yad nahi

bhulte jate hain mazi k dayar
yad ayen bhi to sab yad nahi

ye haqiqat hai k ahbab ko ham
yad hi kab the k ab yad nahi

yad hai sair-e-charagan “Nasir”
di k bujhne ka sabab yad nahi

Facebook Like Box Widget