Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts
Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts

Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay

Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay

Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo ke samandar kay safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay

aab kay iss toor musallat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliQ
Maira dushman mairay marnay ki khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep, gauhar ko tarsay

na'shana'sayee kay mousam ka asar tu daikho
Aaina khaal o khad e aaina gar ko tarsay

Aik dunia hai kay basti hai teri ankhon me
Woh tu hum thay jo teri ik nazar ko tarsay

Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay

Mujrim bhi tha Mohsin bhi mera lagta tha

Mujrim bhi tha Mohsin bhi mera lagta tha

Dst-e-katil bhi mjhy dast-e-hina lgta tha

Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy

Haan wo shaks mohabt ka khuda lgta tha

kanton bhari shakh nazar ata tha kabi

phol lgta tha kabi bad-e-saba lgta tha

Ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata

Main jisy sare zamany sy bura lgta tha

Us ki batein thin ravayat sy hatt kar "MOHSIN"

Sub mein rehta tha magar sub sy juda lgta tha..

Yaad_e_maazi mai jo ankhon ko saza di jaye

Yaad_e_maazi mai jo ankhon ko saza di jaye

iss say behtar hai k har baat bhula di jaye

jis say thori si b ummeed ziyada ho kabhi

aisi her shamma sar_e_shaam jala di jaye

hum ny apnun k ravayyun say ye mehsoos kiya

dil k aangan mai bhi diwaar utha di jaye

hum nay yaaron k bicharnay sy ye seekha "Mohsin"

apny dushman ko b jeeny ki dua di jaye..

Bichar ke mujh se kabhi tu ne

bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
adhura chand bhi kitna udas lagta hai

ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
k is k bad wahi duriyon ka sahara hai

kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar
kise khabar tere saye main kaun baitha hai

ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai

main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
tera badan hai k ye ainon ka dariya hai

Chalo Choro.. Muhabbat JhoOt Hai

"EHD E WAFA" Ik Shughal Hai bekar Logon Ka

"TALAB" Sookhay Huway Patton Ka Beronaq Jazeera Hai

"KHALISH" Deemak Zada Oraq Per

Bosida Qatroon Ka Zakhira Hai

Chalo Choro!

K Ab Tak Main Andhairoon Ki Dhamak Main Sans Ki Zaboon Pe

Chahat k Bina Ruk Kar Safar Karti Rahi Hoon

Mujhay Ehsas Hi Kab Tha

K Tum Bhi Mosamoon k Sath Apnay Perahan k Rang Badlo Gay

Chalo Choro!

Mera Hona Na Hona Ik Barabar Hai

Tum Apnay Khal o Khad Ko Aainay Main Phir Nikharnay Do

Tum Apni Aankh Ki Basti Main

Phir Say Ik Naya Mosam Utarnay Do

Maray Khuwabon ko Marnay Do

Chalo Choro!

"MUHABBAT JHOOT HAI''

Hum Ajj Bhi Hain Soch Mein Dobey Hue Mohsin

Hum Ajj Bhi Hain Soch Mein Dobey Hue Mohsin
Khud Se Hain Kbhi Dunia Se Rothy Huye Mohsin

Deny Ke Leye Usko Jo Hum Ne They Sambhaley
Wo Phool Kitabo Mein Hain Sokey Huye Mohsin

Wo Apni Jafaon Mein Kuch Kami To Karein Ajj
Ik Umer Hui Shahar, Wo Chory Hue Mohsin

Hum Ne Kaha Tha K Unhey Piar Hey Hum Se
Hum Ajj Bhari Bazm Mein Jhoty Hue Mohsin

Aghosh Mein Unki Jo Rahat Humein Mili Hey
Hum Ajj Boht Andar Se Hain Toty Hue Mohsin

Aansoo bhi aaj

Aansoo bhi aaj rawaani se beh rahe hain Mohsin,

Lagta hai aaj teri yaad ka Mausam, uroOj par hai...!!!

chalo mohsin mohabat ki nayi bunyaad rakhte hai

chalo mohsin mohabat ki nayi bunyaad rakhte hai,
khud paband rehtay hai usay azaad rakhtay hai,
hamare khoon main rab ne yahi taseer rakhi hai,
burai bhool jaty hai achai yaad rakhtay hai,
mohabat main kahien hum se gustakhi na ho jaye,
hum apna har qadam us k qadam k baad rakhte hai…

apna ghar kitna hi viraan ho

Apna Ghar Kitna Hi Viraan Ho,Phir Apna Ghar Hai
Bistar-e-Khaak Lagy Takht-e-Sulemani Mujh Ko

Jaanta Hon Main Khad-o-Khaal Ki Kimat MOHSIN
Aaina Kr Na Saky Ga Kabhi Heeran Mujh Ko………..!!

tujhe bhula dun ga

main dil pe jabar karun ga, tujhe bhula dun ga,
marrun ga khud bhi tujhe bhi karri saza dunga…

yeh tergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho,
main tere shehr ke saare diye bhuja dun ga…
…
hawa ka hath bataon ga har tabahi main,
haray shajar se parinday main khud urra dun ga…

waffa karun ga kisi sogwaar chehre se,
purani qabar pe katbah naya saja dun ga…

issi khayal mein guzri hai shaam-e-gham aksar,
ke dard hadh se barrhe ga to muskura dun ga…

barrha rahi hain mere dukh, nishaniyan teri,
main tere khat, teri tasveer tak jala dun ga…

bohat dino se mera dil udaas hai ‘Mohsin’
iss aaiine ko koi aks ab naya dunga…

Mere Huroofon Mere Lafzon Mai

Mere Huroofon Mere Lafzon Main Hai Chehra Mera
Mera Fun Ab Mera Mazhab Mera Emaan Bhi Hai

Meer O Ghalib Na Sahi’ Phir Bhi Ghanimat Jano
Mere Yaaron K Sarhany Mera Diwaan Bhi Hai…..!!

Tere badan se chuu Kar

tere badan se jo chhoo kr idhar bhi ata hai
misal e rang wo jhonka nazar bhi ata hai
tamam shab jahan jalta hai ik udaas diya
hawa ki raah me ik aisa ghar bhi ata hai
wo mujhko toot k chahay ga , chhor jaye ga
…mujhe khabar thi usse ye hunar bhi ata hai
ujaar bann me utarta hai ik jugnoo bhi
hawaa k sath koi hamsafar bhi ata hai
wafa ki kon c manzil pe usne chora tha
k wo to yad humain bhul kar bhi ata hai
jahan lahu k samandar ki hadd theherti hai
waheen jazeera lal o guhar bbhi ata hai
chalay jo zikar farishto ki parsaayi ka
to zer e behes maqaam e bashar b ata haii
abhi sinaan ko sambhalay rahain adoo mere
k in safon me kaheen mera sarrr b ata hai
kabhi kabhi mujhe milnay bulandiyo se koi
shuwaa e subh ki soorat utar b ataa hai
esi liye me kisi shab na so saka mohsin
wo maahtaab kabhi baaam per b ataa hai

Bicharrtey Waqt Se Ab Tak

Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya
Vo Keh Gaya Tha,Yehi Waqat Imtehan Ka Hai

Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna
Tamam Sheher Main Charcha Mere Beyan Ka Hai
…
Asar Dikha Na Saka Us K Dil Main Ashk Mera
Ye Teer Bhi Kisi Tooti Hoi Kaman Ka Hai

Bichar Bhi Jaye Magar Mujh Se Be-Khabar bhi Rahy
Ye Hosla Hi Kahan Mere Bad-Guman Ka Hai

Qafas To Khair Muqadar Main Tha Magar Mohsin
Hawa Main Shor Abhi Tak Meri Uran Ka Hai…….!!

itni muddat baad mile ho (fav)

Itni muddat baad mile ho!
Kin sochon main gum rehte ho?

Itne khayef kyon rehte ho?
Her aahat se darr jaate ho

Taiz hawa ne mujh se poocha
Rait pe kya likhte rehte ho?

Kaash koi humse bhi pooche
Raat gaye tuk kyon jaage ho?

Main darya se bhi darta hoon
Tum darya se bhi gehre ho!

Koun si baat hai tum main aisi
Itne ache kyon lagte ho?

Peeche mur ker kyon dekha tha
Patthar ban ker kya takte ho?

Jaao jeet ka jashan manaao!
Main jhoota hoon, tum suche ho

Apne sheher ke sub logon se
Meri khatir kyon uljhe ho?

kehne ko rehte ho dil main!
Phir bhi kitne door khare ho

Raat humain kuch yaad nahin tha
Raat bohot hi yaad aaye ho

Humse na poocho hijr ke qisse
Apni kaho ab tum kaise ho?

Mohsin tum badnaam bohot ho
Jaise ho, phir bhi ache ho

Hijr Ki Raat

Dil ne tanha jhaili raat
Hijr ki raat, sahaili raat

Din waale kab boojh sake
Mushkil shaam pahaili raat
…
Ik safe ki tashreehein
Chand, chakor,chanbaili, raat

Din apne har dard ka dost
Is ki aik sahaili raat

Ik sunsaan nagar har saans
Ik weeraan hawaili raat

Is ka roop har kie dhoop
Meri sard hathaili raat

Is ki aankh se chalke shaam
Us ki zulf se khaili raat

Mohsin ke anjaam ke naam
Hijr ki naii nawaili raat……..!!

chalo ab laut aao

suno tum ne kaha tha na!!
mjhy jazb-e-muhbt say kabhi jo tum pukaro gi
main uss din lot aaon ga!!
to daikho na!!
kai lamhon
kai salon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntzar ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri ankhon k sahil par
teri khwahish ki mojoan ne
bari halchal mchai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk sans laitay hain
woh sabb rastay k jin par tum hmaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairhon ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar anay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sun’nay ki
mere kamray ki bai tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
mujhay matt azmao tum
chalo abb lot aao tum!!!!

Tum Aur Mai

Barish,badal,
Tm or Main.
Khushbu, mosam,
Tm or Main

…Kaley badal, rim jhim barish,
Neela anchal
Tm or Main

Behti nadiyan, girta pani,
Aankhein, aansu
Tm or Main

Pass kisi dariya k koi
Bheega jhonpar
Tm or Main

Door kahin koyal ki ku ku,
Gehra jangal
Tm or Main

Barkha rim jhim geet sunaein,
Jhurmat dalein,
Tum or Main

Door kahin per chota sa ik,
Kach’cha sa ghar
Tum or Main

Kandha tera or sar mera,
Pagal si chup
TUM OR MAI’……..

Muhabbat tark ki maine

Mohabat tark ki may nay garaiban si liya may nay….!
Zamanay ab to khush ho zehr ye bhi pi liya may nay..!

Abhi zinda hoon lekn sochta rehta hoon khilvat may…!
K ab tak kis tamana kay saharay jee liya may nay….!
…
Tumhainy apna nahi skta mager itna bhi kiya kam hai..!
K kuch mudat haseen khaobon k saharay jee liya may nay..!

Bus ab to daman-e-dil chor do bekaar umeedo….!
Bahot dukh saih liye may nay bahot din jee liya may nay…!

Aik dard bhari cheekh hoon, nakaam dua hoon….!
Ujray huay maazi ki preshan sada hoon…..!

Geeton may samoya hai lahu apnay jigar ka….!
Naghmon kay saharay ye lahoo thook raha hoo…!

ronay walon ke to

ronay waloon k tou hamdard bohat hain Mohsin

hanstay hanstay kabhi duniya ko rula ker daikhein
Facebook Like Box Widget