Teri dastak ke muntazir muddat se, Deemak, darwaazey, tanhai aur mein..

Teri dastak ke muntazir muddat se,
Deemak, darwaazey, tanhai aur mein..

Hai shoq-e-safar aesa ke ek muddat se hum ne

Hai shoq-e-safar aesa ke ek muddat se hum ne,
Manzil bhi nahin paayi, aur rasta bhi nahin badla..

Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta

Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta,
Chehra magar zaroor kissi ashna’aa ka tha..

Tum raah mein chup chaap kharrey ho to gaye ho

Tum raah mein chup chaap kharrey ho to gaye ho,
Kis kis ko batao gey ghar kyun naheen jaatey..

Jo kabhi be’panaah chahta tha, Ab mujh se panaah chahta hai..

Jo kabhi be’panaah chahta tha,
Ab mujh se panaah chahta hai..

Mere khudaa mujhey itnaa to moatbar* kar de

Mere khudaa mujhey itnaa to moatbar* kar de,
Mein jis makaan mein rehta hoon usko ghar kar de..
(moatbar;respected)

Yoon bhi hua hai mere ghar mein, Mein naheen hota, woh hota hai..

Yoon bhi hua hai mere ghar mein,
Mein naheen hota, woh hota hai..

Yeh dard-e-dil na geya, dard-e-janaan ki tarah

Yeh dard-e-dil na geya, dard-e-janaan ki tarah,
Galay mein daal ke sab taweez dekhey hain..

Aao cherrain milaap ke qissay, Baat kartey ho kyun judaayi ki..

Aao cherrain milaap ke qissay,
Baat kartey ho kyun judaayi ki..

Bara maza ho jo mehshar* me hum karen shikwa

Bara maza ho jo mehshar* me hum karen shikwa,
Woh minnaton se kahen chup raho khuda ke liye..
(mehshar;qayamat,doomsday)

Yoon hi de raha hai qatal ki dhamkiyaan, Hum jese zinda hon jo mar jaayen ge..

Yoon hi de raha hai qatal ki dhamkiyaan,

Hum jese zinda hon jo mar jaayen ge..

tumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Woh jo hum maiN tum maiN qarar tha tumhaiN yaad ho keh nah yaad ho
Wohi waada yaani nibah ka TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh jo lutf mujh peh thay peshtar Woh karam keh tha mray haal per
Mujhay sabb hay yaad zara zara TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh naay gilay woh shikaayateN Woh mazay mazay ki hikayateN
Woh har ik baat peh roothna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Hooay ittefaq say gar baham To wafa jatanay ko dam badam
Gila-e-malamat-e-aqrabaa TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Koi baat aisee gar hooee Keh tumharay jee ko buree lagee
To bayaN say pehlay hee bhoolna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kabhi hum maiN tum maiN bhi chah thee Kabhi hum maiN tum maiN bhi rah thi
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashnaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Woh bigarnaa wasl ki raat ka Woh naa ma’an-na kisi baat ka
Who nahiN nahiN ki har aan adaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Jisay aap gintay thay aashnaa Jisay aap kehtay thay baawafa
MaiN wohi hooN Momin-e-mubtalaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

wo to sadiyon ka safar

wo to sadiyon ka safar kar ke yahan pohncha tha,

tu ne munn pher ke jis shaks ko dekha bhi nahi..



mushkil kahan the tar-e-ta'aluq ke marhale

mushkil kahan the tar-e-ta'aluq ke marhale,

ae dil magar sawaal teri zindagi ka tha...!!!!

aey neend aaja ke ab koi paas nahi mere

aey neend aaja ke ab koi paas nahi mere,

ke jis k liye tujhe choda tha wo mujhe kab ka chodd gaya...!!!
Facebook Like Box Widget