wafaa ke bhes meN ko_ii raqeeb-e-shahar bhii hai hazar! ke shahar ke qaatil tabeeb-e-shahar bhii hai

wafaa ke bhes meN ko_ii raqeeb-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabeeb-e-shahar bhii hai

wahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaroN taraf
jo mere baKht meN thaa ab naseeb-e-shahar bhii hai

udhar kee aag idhar bhii pahuNch na jaaye kahiiN
hawaa bhii tez hai jangal qareeb-e-shahar bhii hai

ab us ke hijr meN rote haiN us ke ghaayal bhii
Khabar na thii ke wo zaalim habeeb-e-shahar bhii hai

ye raaz naaraa-e-mansoor hii se ham pe Khulaa
ke choob-e-mimbar-e-masjid saleeb-e-shahar bhii hai

kaRee hai jang ke ab ke muqaabile pe 'Faraz'
ameer-e-shahar bhii hai aur khateeb-e-shahar bhii hai

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget