Best Shayari Collection

 Chalo Faraz! tark karen ye Shayri-o-Ashiqui,
Suna hai Judai Maut Hoti Hai, Muhabbat Maar Deti Hai.

Faraz Ahmed Faraz
 ************************************
Shairy teri miraas to nahi “Basit”
Ata Hua hai jo Tarz E Bayan kiska hai
Abdul Basit
************************************
Kitab E dil se nikale huyee hain ye auraq
Zara sabhal kar rakhna K kho na jaye kahiN
Ghalib Ayaz
**********************************************
Jab se jawan huyee ho yeh chal kya nikali hai
Jab tum chala kare ho thokar laga kare hai
Mir Taqi Mir
*********************************
Diwangi “Asad” ki hasrat kashish E tarb hai
Sar mai hawa E gulshan , dil mai ghubar E sehra
Mir Taqi Mir
***************************
Tum mere pass hote ho goya
Jab koyee doosra nahi hota
Momin Khan Momin
*******************************
Patta patta buta buta hal hamara jane hai
Jane na jane gul hi bagh to sara jane hai
Mir Taqi Mir
*******************************
Ishq per zore nahi hai wo aatish E ghalib
Ke laga E na lage aur bujhaye na bane
Mirza Ghalib
*********************************
Dil E nadaN tujhe huaa kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai
Mirza Ghalib
***************************
Deakh to dil ke jan se uthta hai
Ye dhuaaN sa kahan se uthta hai
Mir Taqi Mir
***************************
Teri ummeed tera intezar jab se hai
Na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai
Faiz Ahmad Faiz
********************************
GuloN mai rang bhare baad E now bahar chale
Chale bhi aao ke ghulshun ka karobar chale
Faiz Ahmad Faiz
*******************************
Isi sabab se falak ka gila nahi karte
Tere feraq mai hum dil bara nahi karte
Faiz Ahmad Faiz
**************************************
Dil hai to dharakne ka koyee bahana dhundhe
Pathther ki tarah be husN O jan kyoN hai
Shahr Yar
*******************************
Ai dost mai khamosh kisi dar se nahi tha
Qayel hi teri bat ka ander se nahi tha
Bani
***********************************
Mere sokoot se jis ko gale rahe kya kiya
Bichherte waqt wo aankoN ka bolna deakhe
Perveen Shakir
*********************************
Ab kar ke faramosh to nashad karo ge
Per hum jo na hoN ge to bahut yad karo ge
Mir Taqi Mir
**********************************
Dil woh nager nahi ke phir aabad ho sake
Pachta O ge suno yeh basti ujar kar
Mir Taqi Mir
**********************************
Hijrat ka etebar kahan ho sake ke jab
Chori huyee jaghah ki nishaN bhi sath hai
Perveen Shakir
**********************************
Suraj bhi Is ko dhoond kar wapas chala gya
Hum bhi ghar ko laut chaleN sham ho gyeN
Perveen Shakir
********************************
Wo bhala kis ki bat mane haiN
Bhai syed to kuch dewane haiN
Akber Allahabadi
*********************************
Dasht se jhoom Ke jab saba aati hai
Saaf ghunchoN Ke chatakne ki sada aati hai
Baber Ali Anis
**********************************
Shaakh zaitoon ameeN hum hain
Shahar mai ishtehar ho ke na ho
Ghalib Ayaz
*******************************
Kha kha ke Os aur sabza hara huaa
Tha motiyoN se daman E sehra bhara huaa
Baber Ali Anis
***************************
Kamer bandhe huye chalne ko yaN sab yaar baiThe haiN
Bahut aage gaye baqui jo hain taiyyar baiThe haiN
Insha Allah Khan Insha
*******************************************
Mar bhi jaauN to kahaN log bhula hi deNge
Lafz mere mere hone ki gawaahi deNge
Perveen Shakir
****************************
Yeh Isq nahi asaN bas itna samajh leeje
Ek aag ka dariya hai aur is se guzarna hai
Jigar Muradabadi
*******************************
Mai akela hi chala tha janib E manzil mager
Log sath aate gye aur karwan banta gya
Majaz
*********************************
********************************
Apne man mai doob kar pa ja suragh E zindagi
Tu ager mera nahi banta ‘na ban apna to ban
Allama Iqbal
*********************************
Apna to kam hai ke jalate chalo chiragh
Raste khwah dost ya dushman ka ghar mile
Kalim Ahmad Ajiz
********************************
Hain aur bhi duniyaN mai sokhanwer bahut achhe
Kahte hai ke ghalib ka hai andaz E bayaN aur
Mirza Ghalib
******************************
Koyee rota hai dil mai pichle pahar
Koun mahboos is makan mai hai
Ghalib Ayaz
*******************************
Fani Deccan mai aa ke yeh uqdah khula ke hum
Hindustan mai rahte hain hindustan se door
Fani Bada Yni
***********************************
Jo sach puchho to” shad ” apne kiye kuch ho nahi sakta
Khuda ki dain hai insan ka mashhoor ho jana
Shad Azimabadi
***************************************
Jab tum mujhe pukarna chaho
Raushani raushani ; sada dena
Ghalib Ayaz

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget