beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa tum bhii auro.n kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa 
tum bhii auro.n kii tarah mujh se judaa ho jaanaa 

mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n 
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa 

Khalq kii sang_zanii merii Khataao.n kaa silaa 
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa 

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar 
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa '
beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa 
tum bhii auro.n kii tarah mujh se judaa ho jaanaa 


baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa

baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa 
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa 

abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii 
baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa 

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n 
ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa 

Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii 
niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa 

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n 
vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa 

agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n 
taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa 

kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye 
kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa 

phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the 
phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa 

ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii 
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa 

tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke 
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa 

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit 
naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa 

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan 
apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa 

baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa 
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa 

badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai

badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai 
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai 

kahaa.N vo qurb ke ab to ye haal hai jaise 
tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai 

magar kabhii ko_ii dekhe ko_ii pa.Dhe to sahii 
dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai 

vo saamane hai magar tishnagii nahii.n jaatii 
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai 

[tishnagii=thirst, saraab=illusion/mirage ] 

'Faraz' sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii 
hame.n aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai 

badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai 

aise chup hai.n ke ye manzil bhii ka.Dii ho jaise teraa milanaa bhii judaa_ii ki gha.Dii ho jaise

aise chup hai.n ke ye manzil bhii ka.Dii ho jaise 
teraa milanaa bhii judaa_ii ki gha.Dii ho jaise 

apane hii saaye se har gaam laraz jaataa huu.N 
raaste me.n ko_ii diivaar kha.Dii ho jaise 

manzile.n duur bhii hai.n manzile.n nazadiik bhii hai.n 
apane hii paao.n me.n zanjiir pa.Dii ho jaise 

kitane naadaan hai.n tere bhulane vaale ke tujhe 
yaad karane ke liye umr pa.Dii ho jaise 

aaj dil khol ke roye hai.n to yuu.N Khush hai 'Faraz' 
chand lamho.n kii ye raahat bhii ba.Dii ho jaise '

aise chup hai.n ke ye manzil bhii ka.Dii ho jaise 
teraa milanaa bhii judaa_ii ki gha.Dii ho jaise 

ab naye saal kii mohalat nahii.n milane vaalii

ab naye saal kii mohalat nahii.n milane vaalii 
aa chuke ab to shab-o-roz azaabo.n vaale 

[mohalat=time; shab-o-roz=night and day; azaab=pain/misfortune] 

ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaa.N bolate hai.n 
ab kahaa.N log muhabbat ke nisaabo.n vaale 

[dashnaa=dagger] 

zindaa rahane kii tamannaa ho to ho jaate hai.n 
faaKhtaao.n ke bhii kirdaar uqaabo.n vaale 

na mere zaKhm khile hai.n na teraa rang-e-hinaa 
mausam aaye hii nahii.n ab ke gulaabo.n vaale 

ab naye saal kii mohalat nahii.n milane vaalii 


ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa

ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa 
ab kis ke giit sunaate ho us tan-man kaa jo do-niim huaa 

[taqsiim=divided; do-niim=cut in two] 

us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadiir huaa 
us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir huaa 

[rezaa-rezaa=pieces; be-tauqiir=disrespect] 

us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam hu_ii 
us miTTii kaa jis kii hurmat mansuub uduu ke naam hu_ii 

[parcham=flag; hurmat=respect/honour; niilaam=auction] 
[mansuub=nominated/appointed; uduu=enemy] 

us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n 
us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhii nahii.n 

[jang=war; vaaranaa=to offer in sacrifice] 

us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa 
us phuul kaa jo beqiimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa 

[ban=jungle] 

us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa 
us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajhaa 

[mashriq=east; nezaa=spear; anii=spear's point] 
[marham=salve/ointment; maGarib=west] 

un maasuumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n 
yaa un mazaluumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n 

[farozaa.N=illuminate; mazaluum=oppressed] 

us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n 
us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro.n me.n 

[iffat=chastity] 

in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n 
aise bhii kahii.n dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai.n 

[nauhaagar=mourner; dam_saaz=supporting; jallaad=executioner (cruel)] 

un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n 
yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n 

[Dhaa.Nchaa=skeleton; raqs=dance; qazzaaq=dacoit] 

yaa un JhuuTe iqaraaro.n kaa jo aaj talak aifaa na hue 
yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishaanaa hue 

[aifaa=to fulfill] 

is shaahii kaa jo dast-ba-dast aa_ii hai tumhaare hisse me.n 
kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n 

[shaahii=royal] 

aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye 
is jashn me.n bhii shaamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye 

[nauhaa=lamentation; kashkol=beggar's bowl] 

ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa 

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N 
yaad kyaa tujh ko dilaaye.N teraa paimaa.N jaanaa.N 

[tajdiid=renewal; imkaa.N=possibility]
[jaanaa.N=dear one/beloved; paimaa.N=promise] 

yuu.N hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai 
kis qadar jald badal jaate hai.n insaa.N jaanaa.N 

zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai 
ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaa.N jaanaa.N 

[ataa=given by; basar=to live; ehasaa.N=favour] 

dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii 
dil kii kyaa baat kare.n dil to hai naadaa.N jaanaa.N 

[fasurdaa=sad/disappointed] 

avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar 
bepiye bhii teraa cheharaa thaa gulistaa.N jaanaa.N 

[avval-avval=the very first] 

aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahii.n 
rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaa.N jaanaa.N 

[rag=veins; miinaa=wine-holder; jaa.N=life] 

muddato.n se ye aalam na tavaqqo na ummiid 
dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaa.N jaanaa.N 

[muddat=awhile; tavaqqo=hope] 

ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa 
Gam-e-dauraa.N se judaa hai Gam-e-jaanaa.N jaanaa.N 

[Gam-e-dauraa.N=sorrows of the world] 

ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraa.N jaanaa.N 
sar-ba-zaanuu hai ko_ii sar-ba-girebaa.N jaanaa.N 

[sar-ba-zaanuu=forehead touching the knees]
[sar-ba-girebaa.N=lost in worries] 

har ko_ii apanii hii aavaaz se kaa.Np uThataa hai 
har ko_ii apane hii saaye se hiraasaa.N jaanaa.N 

[hiraasaa.N=scared of] 

jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai 
shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zindaa.N jaanaa.N 

[zanjiir-ba-paa=feet encased in chains; zindaa.N=prison] 

ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal me.n aaye 
aur se aur huaa dard kaa unvaa.N jaanaa.N 

[unvaa.N=start of chapter/title] 

ham ki ruuThii hu_ii rut ko bhii manaa lete the 
ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraa.N jaanaa.N 

[mausam-e-hijraa.N=season of separation] 

hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa 
jaise u.Date huye auraaq-e-pareshaa.N jaanaa.N 

[rezaa-rezaa=piece by piece; auraaq-e-pareshaa.N=strewn pages of a book] 

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N 

ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun

ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun 
zaKhm phuulo.n kii tarah mahake.nge par dekhegaa kaun 

dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaaye.nge 
jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun 

vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai 
log to phal-phuul dekhe.nge shajar dekhegaa kaun 

[maharuum=deprived; shajar=tree] 

ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa 
raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun 

[chiraaG-e-shab=night lamp] 

aa fasiil-e-shahar se dekhe.n Ganiim-e-shahar ko 
shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun 

[fasiil-e-shahar=city wall/boundary; Ganiim-e-shahar=city's enemy] 

ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun 

b ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n

ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n 
jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n

Dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii 
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n 

[uja.De=desolated, ruined; Kharaab=bad] 

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa 
dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n 

[hijaab - veil, here it means barrier] 

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo 
nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n 

aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par 
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n 

ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n 

[maazii=past; saraab - illusion, mirage] 

b ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n 

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa 
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa 

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii 
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa 

[maanuus=intimate; Khilvat-e-Gam=sorrow of loneliness] 

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge 
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa 

[sar-e-raah-e-vafaa=path of love; baam-e-rafaaqat=responsibility towards love] 

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa 
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa 

[ataa=gift; baKhshiish=donation; dahaliiz=doorstep] 

Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duu.N 
mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa 

[ochhaalaa=upward push] 

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz' 
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa 

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa 

aashiqii be-dilii se mushkil hai phir muhabbat usii se mushkil hai

aashiqii be-dilii se mushkil hai 
phir muhabbat usii se mushkil hai 

ishq aaGaaz hii se mushkil hai 
sabr karanaa abhii se mushkil hai 

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye 
dushmanii dostii se mushkil hai 

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n 
bevafaa_ii usii se mushkil hai 

ek do duusare se sahel na jaan 
har ko_ii har kisii se mushkil hai 

[sahel=approachable] 

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar 
vaapasii us galii se mushkil hai 

aashiqii be-dilii se mushkil hai 
phir muhabbat usii se mushkil hai 

tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hai.n dosto

tum bhi Khafaa ho log bhii beraham hai.n dosto 
ab ho chalaa yaqii.n ke bure ham hai.n dosto 

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n 
aa.Nkhe.n to dushmano.n kii bhii pur_nam hai.n dosto 

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise 
apanii talaash me.n to ham hii ham hai.n dosto 

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa 
kuchh shahar ke chiraaG bhii maddham hai.n dosto 

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo 
ab dil kii raunaqe.n bhii ko_ii dam hai.n dosto 

sab kuchh sahii 'Faraz' par itanaa zaruur hai 
duniyaa me.n aise log bahut kam hai.n dosto 



ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa

ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa 
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

kis kis ko bataaye.nge judaa_ii kaa sabab ham 
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa 

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum 
ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa 

ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummiide.n 
ye aaKhirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa 

The following ashaar are by Talib Baghpati but Mehdi Hassan
always sings them as part of this Gazal.

maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat 
chupake se kisii roz jataane ke liye aa 

jaise tujhe aate hai.n na aane ke bahaane 
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa 

haiN aur bhii duniyaa meN suKhan_war bahot achchhe kahate haiN ki "Ghalib" kaa hai andaaz-e-bayaaN aur

haiN aur bhii duniyaa meN suKhan_war bahot achchhe 

kahate haiN ki "Ghalib" kaa hai andaaz-e-bayaaN aur

Aakhiya De kolo Sada Reh sajna

Aakhiya De kolo Sada Reh sajna,
Assi Lakh War Tak Ke Vi Nahi Rajna,

Mukhra Na Mori Sada Zor Koi Na,
Kade Chaad Ke Na Javi Sada Hor Koi Na.
Facebook Like Box Widget