ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa ab kis ke giit sunaate ho us tan-man kaa jo do-niim huaa [taqsiim=divided; do-niim=cut in two] us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadiir huaa us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir huaa [rezaa-rezaa=pieces; be-tauqiir=disrespect] us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam hu_ii us miTTii kaa jis kii hurmat mansuub uduu ke naam hu_ii [parcham=flag; hurmat=respect/honour; niilaam=auction] [mansuub=nominated/appointed; uduu=enemy] us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhii nahii.n [jang=war; vaaranaa=to offer in sacrifice] us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa us phuul kaa jo beqiimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa [ban=jungle] us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajhaa [mashriq=east; nezaa=spear; anii=spear's point] [marham=salve/ointment; maGarib=west] un maasuumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n yaa un mazaluumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n [farozaa.N=illuminate; mazaluum=oppressed] us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro.n me.n [iffat=chastity] in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n aise bhii kahii.n dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai.n [nauhaagar=mourner; dam_saaz=supporting; jallaad=executioner (cruel)] un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n [Dhaa.Nchaa=skeleton; raqs=dance; qazzaaq=dacoit] yaa un JhuuTe iqaraaro.n kaa jo aaj talak aifaa na hue yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishaanaa hue [aifaa=to fulfill] is shaahii kaa jo dast-ba-dast aa_ii hai tumhaare hisse me.n kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n [shaahii=royal] aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye is jashn me.n bhii shaamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye [nauhaa=lamentation; kashkol=beggar's bowl]
![]() |
ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa |
No comments:
Post a Comment