muttafaavate.n hai.n mere Khudaa ki ye tuu nahii.n ko_ii aur hai ki tuu aasamaan pe ho to ho pisar-e-zamii.n ko_ii aur hai [pisar=son] vo jo raaste the vafaa ke the ye jo manzile.n hai.n sazaa kii hai.n meraa ham_safar ko_ii aur thaa meraa ham_nashii.n ko_ii aur hai mere jism-o-jaa.N me.n tere sivaa aur ko_ii bhii duusaraa mujhe phir bhii lagataa hai is tarah ki kahii.n kahii.n ko_ii aur hai mai.n asiir apane gazaal kaa mai.n faqiir dasht-e-visaal kaa jo hiran ko baa.Ndh ke le gayaa vo subuk_tagii.n ko_ii aur hai [asiir=prisoner; gazaal=deer; subuk-tagii.n=name of emperor]
muttafaavate.n hai.n mere Khudaa ki ye tuu nahii.n ko_ii aur hai ki tuu aasamaan pe ho to ho pisar-e-zamii.n ko_ii aur hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment