karuu.N na yaad agar kis tarah bhulaa_uu.N use Gazal bahaanaa karuu.N aur gun_gunaa_uu.N use vo Khaar-Khaar hai shaaKh-e-gulaab kii maanind mai.n zaKhm-zaKhm huu.N phir bhii gale lagaa_uu.N use [Khaar=thorn] ye log tazakare karate hai.n apane logo.n se mai.n kaise baat karuu.N aur kahaa.N se laa_uu.N use [tazakare=narration/descrption] magar vo zuud_faraamosh zuud ranj bhii hai ke ruuTh jaaye agar yaad kuchh dilaa_uu.N use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaa.N tumhaarii baat pe ai naasiho ga.Nvaa_uu.N use jo ham_safar sar-e-manzil bichha.D rahaa hai 'Faraz' ajab nahii.n ki agar yaad bhii na aa_uu.N use
karuu.N na yaad agar kis tarah bhulaa_uu.N use Gazal bahaanaa karuu.N aur gun_gunaa_uu.N use |
No comments:
Post a Comment