juz tere ko_ii bhii din raat na jaane mere tuu kahaa.N hai magar ai dost puraane mere [juz=except] tuu bhii Khushbuu hai magar meraa tajassus bekaar barq-e-aavaaraa kii maanind Thikhaane mere shamaa ki lau thii ke vo tuu thaa magar hijr kii raat der tak rotaa rahaa ko_ii sirhaane mere [sirhaane=bed-side] Khalq kii beKhabarii hai ke merii rusavaa_ii log mujh ko hii sunaate hai.n fasaane mere luT ke bhii Khush huu.N ke ashko.n se bharaa hai daaman dekh Gaarat_gare dil ye bhii Khazaane mere aaj ik aur baras biit gayaa us ke baGair jis ke hote hue hote the zamaane mere kaash tuu bhii merii aavaaz sunataa ho phir pukaare hai tujhe dil kii sadaa ne mere kaash tuu bhii kabhii aajaaye masiihaa_ii ko log aate hai.n bahut dil ko dukhaane mere kaash auro.n kii tarah mai.n bhii kah sakataa baat sun lii hai merii aaj Khudaa ne mere tuu hai kis haal me.n ai zuud_faraamosh mere mujh ko to chhiin liyaa ahad-e-vafaa ne mere chaaraagar yuu.N to bahut hai.n magar ai jaan-e-'Faraz' juz tere aur ko_ii Gam na jaane mere
juz tere ko_ii bhii din raat na jaane mere tuu kahaa.N hai magar ai dost puraane mere |
No comments:
Post a Comment