kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se jo yuu.N kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us se

kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se 
jo yuu.N kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us se 

ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahii phir bhii 
zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se 

ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho 
kabhii to us ke bahaane sunaa karo us se 

nasiib phir ko_ii taqriib-e-qarb ho ke na ho 
jo dil me.n ho.n vahii baate.n kiyaa karo us se 

'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa 
yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se 
kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se 
jo yuu.N kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us se 

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget