jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho ai jaan-e-jahaa.N ye ko_ii tum saa hai ke tum ho ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jho.nkaa hai ke pal hai ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho is diid kii sa_aat me.n ka_ii rang hai.n larazaa.N mai.n huu.N ke ko_ii aur hai duniyaa hai ke tum ho dekho ye kisii aur kii aa.Nkhe.n hai.n ke merii dekhuu.N ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho ye umr-e-gurezaa.N kahii.n Thahare to ye jaanuu.N har saa.Ns me.n mujh ko ye lagataa hai ke tum ho har bazm me.n mauzuu-e-suKhan dil zad_gaa.N kaa ab kaun hai shiirii.n hai ke lailaa hai ke tum ho ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke mai.n huu.N ik mauj me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche is shahar me.n tanhaa ko_ii ham saa hai ke tum ho aabaad ham aashuftaa saro.n se nahii.n maqtal ye rasm abhii shahar me.n zindaa hai ke tum ho ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho
jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho ai jaan-e-jahaa.N ye ko_ii tum saa hai ke tum ho |
No comments:
Post a Comment