hu_ii hai shaam to aa.Nkho.n me.n bas gayaa phir tuu kahaa.N gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

hu_ii hai shaam to aa.Nkho.n me.n bas gayaa phir tuu 
kahaa.N gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu 

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu

[shaKhs = individual/person]

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa huu.N
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taa_ir tuu

[misaal = example; taa_ir = bird]
[naKhl-e-Khushk-e-saharaa = dry tree in the wilderness]

mai.n jaanataa huu.N ke duniyaa tujhe badal degii 
mai.n maanataa huu.N ke aisaa nahii.n bazaahir tuu 

[bazaahir = appear to be]

ha.Nsii Khushii se bichha.D jaa agar bichha.Danaa hai 
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu 

'Faraz' tuune use mushkilo.n me.n Daal diyaa 
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu 

[saahib-e-zar = wealthy]
hu_ii hai shaam to aa.Nkho.n me.n bas gayaa phir tuu 
kahaa.N gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu 


No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget