Khamosh ho kyo.n daad-e-jafaa kyuu.N nahii.n dete bismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete vahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaa.N to nahii.n hai mahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyuu.N nahii.n dete ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.N hai ai chaaraagaro dard ba.Dhaa kyuu.N nahii.n dete munsif ho agar tum to kab insaaf karoge mujarim hai agar ham to sazaa kyuu.N nahii.n dete rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaa.N bhii rahabar ho to manzil kaa pataa kyuu.N nahii.n dete kyaa biit ga_ii ab ke 'Faraz' ahal-e-chaman par yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyuu.N nahii.n dete
Khamosh ho kyo.n daad-e-jafaa kyuu.N nahii.n dete bismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete |
No comments:
Post a Comment