Shak men saare logon ko mubtila yon kar jaaun
Saamne ho teraa ghar, aur main guzar jaaun!!!
Saath saath chalne kaa zindagi se waadaa hai
Ji magar mera chaahe, is se ab bichhad jaaun
Kho gaye hain raahi, aur raaste salamat hain
Main to aisi na – deeda, manzilon se dar jaaun
Band har taraf ke dar, kar de meri naadaaree
Ab main kiske ghar thahrun, ab main kis nagar jaaun
Ishq me barabar hain hum sabhi to phir kyon na
Too gali men ruk ek din aur main baam per jaaun
Khoyi khoyi woh larki, mere geet ki rangat
Muskuraaye woh lekin, main khushi se bhar jaaun
************************************
Saahil pe akeli shaam hun main
Aur aaj tere naam hun main !!
Ab shahr me kyun na ho chiraghan
Jab aaj zer e daam hun main
Bikhraao mujh men hai numayan
Is mulk ka intezaam hun main
Ab kaun kare mujhe mukammal
Ek naqsh e naa tamaam hun main
Mujh ko sazaa e wasl mat do !!
Seemab sifat nezaam hun main
************************************
Paas aayi thi magar jald hi wo kho bhi gayi
Zindagi tujh se mulaaqaat thi jo ho bhi gayi
Ab talak aas teri dil men liye phirtaa hun
Khush gumaani ko mere teri hansi ro bhi gayi
Ain mumkin hai ke aelaan e sahat yaabi ho
Dard ki tees jo uththi thi abhi, so bhi gayi
Hum to maasoom the bekar dara karte the
Zindagi tujh se juda rahke basar ho bhi gayi
Phir wohi aas ta’aaqub men lagi hai mere
Biti baaton ke sabhi daagh mui dho bhi gayi
************************************
Pahle jab bhi dil dukhta tha
Tujh ko soch liya karta tha
Kal jis jaa baaraat ruki thi
Aaj wahaN par sannata tha
Pahla baal paka dekha jab
Us din to dil doob gaya tha
Uski hatheli par hontoN se
Maine apna naam likha tha
Mere dukh me ro parti thi
Jaane us ka dil kaisa tha!
Mere pairoN me larzish thi
Tera kutta bhoonk raha tha
************************************
Teer mera na kamaan hai meri
Koi pahchaan kahaan hai meri
Dekhta hun main khuli ankh se khab
Aur sheeshe ki dukaan hai meri !!!
Too zara dhyaan barat mere liye
Zindagi tujh men nihaan hai meri
Sue maqtal hi nikalnaa hogaa
Ab wohi jaaye amaan hai meri
Hai mujhe saari haqiqat malum
Is liye band zabaan hai meri
Meri muththi men hai iski ungli
Zindagi se bhali maan hai meri
************************************
Pahle phoolon ka ras titliyaan le gayin
Aur jo kuchh bachaa, bijliyaan le gayin
Usne mujh ko dubokar ye sab se kaha
Mera zarreen badan machhliyaan le gayin
Sher kuchh to phanse daam e khargosh men
Kuchh ko sho’laa sifat harniyaan le gayin
Maan hawas ki pujaaran, samete sadaf
Bachchiyaan naasamajh, sipiyaan le gayin
Tere munh me bhari thin jo chingariyaan
Jab urin kuchh na kuchh bastiyaan le gayin
Aas waale sabhi din basar hogaye
Khab ki rut ko sachchaaiyaan le gayin.
( Published )
************************************
Ab mujhe hai use bhulaa denaa
Ae khudaa tu hi hauslaa denaa
Main nahin, zindagi sawaali thi
Meri ghairat ko ye bata denaa
Sakht jaani to hijr sah legi
Tum mujhe dusri sazaa denaa
Aandhiyaan pahle thamna yaarab
Tab mere haath me diyaa denaa
Jab mujhe tum pukaarna chaaho
Roshni, roshni, sadaa denaa.
( Published )
************************************
Khushbu, titli, phool, phuwaar – us chehre ke naam
Mausam ke saare singaar – us chehre ke naam
Mere liye hain dukh me doobe, registaani geet
Dosheezaaon ki malhaar – us chehre ke naam
Hai pagal maujon se larna hi meri taqdeer
Saahil, kashti aur patwaar – us chehre ke naam
Saare phul sajate hain bas uski komal sej
Bela, juhi, haar singhaar – us chehre ke naam
Meri aankhon me chhayi hai mahroomi ki dhundh
Khushhaali ke sab aasaar – us chehre ke naam
Main awara beghar larkaa, kab tak chhaanun khak
Karde mujh ko palanhaar – us chehre ke naam
************************************
Meri haalat pe meraa ghar roye
Zara baarish ho k chappar roye
Is qadar tut ke chaaha bhi na tha
Jitna hum unse bichhar ke roye
Main to hansne ka maza lun lekin
Kaun hai jo mere ander roye
Door tak saath chali aayi thi
Teri aawaaz ko chhukar roye
Khelti nadyon ko maalum kahan
Un ki takhleeq pe patthar roye
Apne ash’aar pe naqqad hanse
Aur hum unki samajh per roye
( Published )
************************************
Ab khuda se zara nayaa maangen
Bichre logon ka kuchh pata maangen
Ek jhalak phir usi shabaahat ki,
Zindagi tujh se aur kiyaa maangen
Jhulse honton pe pyaas kiya thahre
Phir bhi tafreeh ko ghataa maangen
Phir yahi dil ujaal degaa woh
Hum agar ijz se duaa maangen
Paaon ki laghzishen bajaa lekin
Hausle aur raastaa maangen
Hum to maqsum hogaye hian magar
Hindse aur bhi ghazaa maangen !!!!
( Published )
************************************
Wo humpe mehrbaan the, ab nahin hain
Hum unse khushgumaan the, ab nahin hain
Hamaari aankh jab tak na khuli thi
Nisaar e dostaan the, ab nahin hain
Zeyaadaa din nahi beete ke dil men
Kayi aatish feshaan the, ab nahi hian
Har ek jaanib hamaari puchh gachh thi
Har ek mahfil ki jaan the, ab nahin hain
Teri chaaht se pahle ka bayaan hai !!
Misaal e aasmaan the, ab nahin hain
Chalo hum un ta’alluq pe bhi rolen !!
Jo apne darmiyaan the, ab nahin hain
Abhi zindaa hai har mazdoor lekin
Jo zaalim hukmuraan the, ab nahin hain
************************************
Dukhi saanson pe bandhan dekhnaa hai
Abhi kuchh aur jeevan dekhnaa hai
Khuda yaa maut ko kuchh der roken
Naye khaabon ko saawan dekhnaa hai
Mujhe manzoor hai apnaa zayaan bhi
Teri aankhon ko raushan dekhna hai !
suno! rakht e safar phir janch lun main
zaraa getthri men uljhan dekhnaa hai
Jahaan yekjaayi ke paude uge hon !!!!!
Hamen wo ghar wo aangan dekhna hai
Hamaare haath jab sonaa banaayen
To isteghnaa ka daaman dekhna hai
Badan ki saalmiyyat mushtabah hai
Chalo shishe me ab man dekhnaa hai
( Published )
************************************
Shayad koi ab sakhi nahin hai
Akhon me mere nami nahin hai
Paaon men hamaare aable hain
Aur raastaa shabnami nahin hai
Phir ghir ke aarahe hain baadal
Aur chhat abhi pari nahin hai
Toraa hai usool titliyon ne
Bhonron ka qasur, ji, nahin hai
Pahle bhi yaqin na asakaa tha
Aur ab to aas bhi nahin hai
Kaise mujhe chhor de akelaa
Ye muflisi baaoli nahi hai
************************************
Too nahi to ajab be khyaali rahe!!
Hont saakit rahen, aankh khaali rahe
Bahr e tafrih kuchh thokaren khaayi hain
Taa ke duniya zaraa dekhee bhaali rahe
Bas teri aarzoo se jure hum magar
Teri fehrist me laa ubaali rahe !!
Aise lamhon me jaanaa mujhe chhor kar
Meri aankhon me jab khushk saali rahe
Ab to rishton me bhi payadaari kahaan!!
Ye ta’alluq bhi kab tak misaali rahe !!
Be tarah, be niyaazi, mili hai inhen
Ahl e fan kab kisi ke sawali rahe !!
************************************
Chand me jo pariyaaN rahti hain
Hum ko milte dekh chuki hain
In aankhon me kyon rahti ho ??
Jo har dam roti rahti hain
Lakh nikaaluN dil se lekin
Khab nigore sab ziddi hain
Us malakooti husn ke logo
Jitne dhab hain, aafaaqui hain
Aaj jise sun kar tum roye
Wo baateN mujh per beeti hain
( Published )
************************************
Rasm-e-ummeed khandaan me hai
Hauslaa aakhiri uraan me hai
Tum ko dekha to is tarah socha
Ek sitaraa, jo aasmaan me hai
Koi rota hai dil me pichhle pahar
Kaun mahboos is makaan me hai
Muskurata phira hai mahfil me
Gham mera kitni aan baan me hai
Meri beti ki kaanch ki guriya
Pat_tharon se bani dukaan me hai
Jism to thak thaka k baith gaya
Man ka panchhi magar uraan me hai
************************************