hans ke bolaa karo bulaayaa karo
aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo
muskurahat hai husn kaa zevar
ruup barhtaa hai muskuraayaa karo
had se barh kar hasiin lagate ho
jhuuthii qasmein zaruur khaayaa karo
hukm karnaa bhii ek saKhaavat hai
ham ko Khidamat koii bataayaa karo
baat karanaa bhii baadashaahat hai
baat karanaa na bhuul jaayaa karo
taa ke duniya kii dilkashii na ghate
nit naye pairahan mein aayaa karo
kitane saadaa mizaaj ho tum Adam
us galii mein bahut na jaayaa karo
No comments:
Post a Comment