woh bhi kyaa log thay aasaan thiiN raaheN jin ki
band aaNkheN kiye ik simt chale jaate thay
a'ql-o-dil, Khwaab-o-Haqeeqat ki nah uljhan, nah Khalish
muKhtalif jalwe nigaahoN ko nah bahlaate thay
i'shq saadah bhi thaa, beKhud bhi, junooN peshah bhii
Husn ko apni adaa`oN peh Hijaab aataa thaa
phuul khilte thay to phuuloN meN nash`ah hotaa thaa
raat Dhaltii thee to sheeshoN peh shabaab aataa thaa
chaaNdnii kaif-asar, ruuH-afzaa~ hoti thee
abr aataa thaa to bad-mast bhi ho jaate thay
din meN shorish bhi hu`aa karti thee haNgaame bhii
raat ki go`d meN muNh DhaaNp ke so jaate thay
narm-rau waqt ke dhaare peh safeene thay rawaaN
saaHil-o-baHr ke aaiiN nah badalte thay kabhii
naa-KhudaaoN peh bharosah thaa, muqaddar peh yaqeeN
chaadar-e-aab se tuufaaN nah ubalte thay kabhii
ham keh tuufaanoN ke paale bhi aur sataaye bhii
barq-o-baaraaN meN wohi shama'eN jalaayeN kaise
yeh jo aatish-kadah duniya meN bhaRak uTThaa hai
aaNsu`oN se usay har baar bujhaayeN kaise
kar diyaa barq-o-buKhaaraat ne maHshar barpa
apne daftar meN litaafat ke siwaa kuchh bhi nahiiN
ghir gaye waqt ki be-raHm kashaa-kash meN, magar
paas tehzeeb ki daulat ke siwaa kuchh bhi nahiiN
yeh andheraa, yeh talaatum, yeh hawaa`oN ka Kharosh
iss meN taaroN ki subuk-narm ziyaa~ kyaa kartii
talKhii-e-ziist se kaRwaa hu`aa aashiq kaa mizaaj
nigah-e-yaar ki ma’suum adaa kyaa kartii
safar aasaaN thaa to manzil bhi baRii raushan thii
aaj kiss darjah pur-asraar haiN raaheN apnii
kitni parchhaa`iiyaaN aatii haiN tajallee ban kar
kitne jalwoN se ulajhtii haiN nigaaheN apnii
No comments:
Post a Comment