Tum pe kuchh meri dastars hi nahin
Naa -um- midee meri abas hi nahin.
Hum diwaane ye soch ke khush hain
Rooh ke waaste qafas hi nahin !!
Saa’d ki khaamiyaan bhi haasil hain
Paas mere faqat nahas hi nahin.
Haakim e shahr khubiyun se pur
per wo naadaan khudaa taras hi nahin
Aao aankhen hi rehn rakhwaaden
khaab per jab hamara bas hi nahin
***********************************
Manind e khar o khas gaya main
Sailab ke dil me bas gaya main
Maujood the sab tere ilaawaa
Kis qarya e nahas gaya main
Khaabon ne mujh me zahr ghola
Ab ke unhi ko das gayaa main
Hai band kab se wo dareechaa
Us shakl ko to taras gayaa main
Aaye the wo meri raaye lene
Phir jaanib e qafas gayaa main
*************************************
Baarisehn pattharon ki paiham hain
Ab ye lagne lagaa bure hum hain
Bad dili jab se raah kaat gayi
Hauslon ke chiraagh maddham hain
Ab khushi kiyon na raqs farmaye !
Hum jo mahsur halqa e gham hain !
Shauq e parwaaz oob jaata hai
Wus’aten kaayanaat ki kam hain
Haasil e aashiqui – bichhar jaana
Aisi rasmon se hum to barham hain
Phone per qahqahe bhi hain lekin
Uske alfaaz kis qadar nam hain !
*********************************
Usi ka jaanfezaa paighaam aaya
Musibat me khuda hi kaam aaya
Zara pasti men qismat aazmaalun
Bulandi se to main naakaam aaya
Bahut unchi uranen bharne walaa
Parindaa aaj zer e daam aayaa
Shaheed e ishq me ye dekhnaa to
Hamaare baa’d kiska naam aayaa
Junun pahle se thaa teri gali men
Kherad ko bhi wahin aaraam aayaa
Hamaari baat banne jaa rahi thi !
Tabhi basti men ek gulfaam aayaaa
************************************
Ameeron ki jabin saayi na karte
Anaa ki aisi ruswaayi na karte
Viraasat ki tarah rishte ki daulat
kabhi taqseem ae bhai na karte
Hamaare paas surat hi kahan thi
Jo apne saamne aayina karte
Bahut mahfuz dil rahta agar hum
Hasinon se shanaasaayi na karte
Ye jaan ankhon ke raste bah nikalti
Agar hum khamaafarsaayi na karte
( Published )
*******************************************
Hont ke shigaaf bhar diye gaye
Lafz paayamaal kar diye gaye!!
Uraan ki sazaa koi ghalat na thi
Khahishon ke par katar diye gaye
Fitratan hi zindagi udaas thi!!!
Warna kitne naghmagar diye gaye
Jaan ki amaan de rahe the woh
Hum harees, nazr e sar diye gaye
Titliyaan udaad hain chaman ko jab
Be hunar bahaar gar diye gaye!!
Zindagi ne dukh hi dukh diye magar!!
Hum “bakhair hain” khabar diye gaye
( Published )
*********************************************
Mere husn e bayaaN me shamil thaa
Woh meri daastaaN me shamil thaa
Meri basti ko lootne waalaa!!!!!!!!
Wafd e rahat rasaaN me shamil thaa
Us ki khaatir jahaan haar gaye
Kya maza us zayaaN me shamil thaa
Justajoo maaNd parti jati thi
Dil ajab kaarwaaN me shamil thaa
Gumrahi ka wo bad numa lamhaa
Meri tatheer e jaaN me shamil thaa
(Published)
*****************************************
Phul, khushbu, sahaab hona to
Ae dua mustajaab honaa to
Main gahan tak tujhena lagne dun
Tum mera maahtaab honaa to
Manzilen intezaar men hongi
Hauslo!! ham rekaab honaa to
Waaqif e sard o garm bhi hona
Haami e inqelaab honaa to
Nuqs tujh me bhi sab nikalenge
Ek zara kaamyaab honaa to
Main use dekh kar hi jita hun
Ho gaya us ka khaab hona to
***************************************
Apni aankho se tujh ko pee jaayen
Paas se tere kiya dukhi jaayen!
Dil ki tat_heer ab zaruree hai
Khaahishen sangsaar ki jaayen
Abke apnaa milan hai naa mumkin
Qismaten kaash phir likhi jaayen
Tab anaa ka khyaal – be maa’nee
Jab muraa’aat maang li jaayen
Zindagi ki talab, hamen kab thi
Muft haath aagayi to ji jaayen!
*************************************
Ek sitaaraa sa badan dhyan me hai
Ek dil aawez sadaa kaan me hai
Hijr ki raat me kuchh neend bhi ho
Wasl ka khaab to imkaan me hai
Zindagi tujh se muzaiyyan thi kabhi
Ab to shayad ye bayaabaan me hai
Teri sairaabi – e – jaaN par laa’nat
Jo mere qatl ke aelaan me hai
Tujh ko paaye hue muddat guzri
Phir talab kya dil e naadaan me hai
Gham k maaroN ka pata kaun kare
Shahr tera hai, tere dhyaan me hai
****************************************************
Degaa mere kartoot ka taawaan koi aur
Hai jurm mera, hoga pashemaan koi aur
Ab paas mere kya hai udaasi ke ilawaa
Tu dhundle dar ae dil e naadaan koi aur
Sab jhut hai ke teri muhabbat ka asar hai
Aansoo ki rawaani ka hai unwaan koi aur
Yarab tere aayeen me tarmeem hui hai?
Teri hai magar leta hai ye jaan koi aur!
Hum Sarmad-o-Mansur k pahlu me khare hain
Wo dhundte hain saahab-e-eemaan koi aur
**********************************************
Lag raha tha wo kahin dekha hua tha
Kya mujhe pahchaan ka dhoka hua tha
Az sar -e- nau zindagi tarteeb pati
Us se pahle dil mera murdaa hua tha
Jaan lewaa thi hamari pahredaari
Muhtasib kuchh roz ka jaagaa hua tha
Aaj – un peroN ke saaye yaad aaye!!
Jin ko eendhan k liye kaataa hua tha
Aaj kaise tere lab pe geet aaye??
Kal to chhup k roraha tha kya hua tha
**********************************************
Jaras e gul ki sada yaad kare
Tere lehje ko sabaa yaad kare
Meri is dasht navardi ka sabab
Mera mahboob zara yaad kare
Bhir me khud ko bhulade ye dil
Jaane tanhayi me kya yaad kare
Chara gar zakhm chhupayeN mera
KyoN unheN khalqkhuda yaad kare
Aree khoyi hui manzil tujh ko
Door ek aabla – paa yaad kare
**********************************************
No comments:
Post a Comment