jo log jaan buujh ke naadaan ban gaye
meraa Khayaal hai ki vo insaan ban gaye
ham hashr mein gaye magar kuchh na puuchhiye
vo jaan buujh kar vahaan anjaan ban gaye
hanste hain ham ko dekh ke arbaab e aagahii
ham aap kii mizaaj kii pahachaan ban gaye
majhdhaar tak pahunchnaa to himmat kii baat thii
saahil ke aas paas hii tuufaan ban gaye
insaaniyat kii baat to itanii hai shaiKh jii
badqismatii se aap bhii insaan ban gaye
kaante bahut the daaman e fitarat me.n ai Adam
kuchh phuul aur kuchh mere armaan ban gaye
No comments:
Post a Comment