Aay kuch abar kuch sharab aay
Us k baad aay ju azaab aay
Baam e minaa se mahatab utray
Dast e saaqi may aaftab aay
Har rag e khoo may phir chahragha hoo
Saamanay phir wo benaqab aay
Umer k har waraq pe dil ko nazar
Teri meher o wafa k baad aay
Kar raha tha gham e jahaa ka hisab
Aaj tum yaad behisaab aay
Na gai teray gham ki sardari
Dil may yu roz inqlaab aay
Jal uthay bazam e ghair k dar o baam
Jab bhi hum khana kharaab aay
Ise terhaan apni khamoshi gunji
Goya har simet se jawab aay
`Faiz` thi raah sar basar manzil
Hum jahaa pahunchay kaamyab aay
No comments:
Post a Comment