Is qadar musal sal thin shiddaten judaai ki
Aaj pheli baar main ne us bevafaai ki
Varana ab talak yuuN thaa Khvaahishon ki baarish mein
Yaa to TuuT kar royaa yaa Gazal saraai ki
Taj diyaa thaa kal jin ko ham ne teri chaahat men
Aaj un se majabuuran taazaa aashanaai ki
Ho chalaa thaa jab mujh ko iKhtilaaf apane se
Tuune kis ghaderi zaalim meri hamnavaai ki
Tanz-o-taanaa-o-tohamat sab hunar hain naaseh ke
Aap se ko_i puuchhe ham ne kyaa buraai ki
Phir qafas men shor uTThaa qaidiyon kaa aur sayyaad
Dekhanaa uDaa degaa phir Khabar rihaai ki
No comments:
Post a Comment