Mujhe aazad kar do na
Mujhe aazad kar do na
K mein hon qaid barson se
Judaai ki aziyat mein
Zeher bharr de gi yeh zalim
Meri nazuk tabiyat mein
... Na do ab hosla mujh ko
Batta do raasta mujh ko
Koi bahar nikalney ka
Hawwa mein phir se urrney ka
Mujhe us des jaana hai
Jahan panchi utartey hain
Jahan mosam badaltey hain
Meri banjar si aankhon mein
Meri be-taab saanson mein
Koi to rang bharr do na
"Mujhe azaad kar do na"
No comments:
Post a Comment