wo kehti hai suno jana,
muhabbat mom ka ghar hai,
tapish ye bad-gumaani ke, kahin pighla na de is ko,
mai kehta hun k jis dil mai, zara bhi bad-gumaani ho,
wahan kuch aur ho to ho, muhabbat ho nahi sakti,
wo kehti hai sada aise hi kya tum mujhko chaho ge,
ke mai is mai kami bilkul gawara kar nahi sakti,
mai kehta hun muhabbat kya hai, ye tum ne sikhaya hai,
mujhe tumse muhabbat ke siwa kuch bhi nahi aata,
wo kehti hai judai se bht darta hai mera dil,
ke khud ko tum se hatt kar dekhna mumkin nahi hai ab,
mai kehta hun yehi khad'she bohut mujh ko satate hain, magar sach hai muhabbat mai judai saath chalti hai,
wo kehti hai batao kya mere bin jee sako ge tum,
meri baaten, meri yaaden, meri aankhen bhula do ge,
mai kehta hun kabhi is baat ko socha nahi maine,
agar ek pal ko bhi jo sochun, to saansen rukne lagti hain,
wo kehti hai tumhe mujh se muhabbat is qadar kyun hai, ke mai ek aam si ladki tumhe kyun khaas lagti hun,
mai kehta hun kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho, meri dewaangi kyun hai, ye khud hi jaan jao gi,
wo kehti hai mujhe waraft'gi se dekhte kyun ho,
ke mai khud ko bohut hi keemti mehsoos karti hun,
mai kehta hun mata'ae jaan bht anmol hoti hai,
tumhe jab dekhta hun, zindagi mehsoos karta hun,
wo kehti hai mujhe alfaz ke jugnoo nahi milte, tumhe bat'la sakun dil mai kitni muhabbat hai,
mai kehta hun muhabbat to nigahon se chalakti hai,
tumhari khamoshi mujhse, tumhari baat karti hai,
wo kehti hai ke batao na, kisse khone se darrte ho, batao kon hai wo jis ko ye mausam bulaate hain,
mai kehta hun ye meri shayri hai aaina dil ka,
zara dekho batao kya tumhe is mai nazar aaya,
wo kehti hai ke atif jee, bohut baaten banate ho,
magar sach hai ke ye baaten bohut hi shaad rakhti hain,
mai kehta hun ye sab baaten, fasaane ek bahana hai, ke pal kuch zindagani ke, tumhare sath kat jayen,
phir us ke baad khamoshi ka dil'kash raqs hota hai,
nigaahen bolti hain aur lab khamosh rehte hain.
No comments:
Post a Comment