Aisa kyon hay

Aisa kyon hay
Keh ab insan bhi
Samjhte nahin
Ik doojay ki kahi
Aisa kyon hay
Baat Sun kar bhi
Samjhte nahin
Sun kar bhi unsuni
Aisa kyon hay
Dukh dekh kar bhi
Samjhte nahin
Madawa kartay nahi
Aisa kyon hay
Har insan nay
Gird apnay hi
Ik deewar chun li
Aisa kyon hay
Koi awaz sunta nahin
Koi bahir dekhta nahin
Koi sochta nahin
Aisa kyon hay
Kay hamaray dilon mein
Apnay siwa kisi kay liye
Koi dard nahin
Koi aas nahin
Aisa kyon hay
Kay hamari soch ka
Markaz ham hi
Aur koi fikar nahi
Aisa kyon hay
Apni awaz sunta har koi
Apni baat samjhta har koi
Apni fikar karta har koi
Aisa kyon hay
Sab ghalt hein
Dirf mein sahi
Sirf mein khara
Khota har koi
Aisa kyon hay

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget