Bara kathin hey rasta jo aasako to sath do

Bara kathin hey rasta jo aasako to sath do
Ya zindagi ka faasla mita sako to saath do

Baray faraib khaao gey barey sitam uthao gey
Ye umer bhar ka sath hey nibha sako to sath do

Jo tum kaho to ye dil to kia main jaan bhi fida karoon
Jo main kahoon bus ik nazar luta sako to sath do

Hazaar imtihaan , hazaar aazmaishain
Hazaar dukh hazaar ghum utha sako to sath do

Ye zindagi yahan khushi ghamoon k sath hey
Rula sako to sath do hansa sako to sath do

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget