Chalo jazba-e-dil aazma k dekhte hain

Chalo jazba-e-dil aazma k dekhte hain
Khawab us ki aankho main saja k dekhte hain


Na jane kion wo humain apna apna sa lagta hai
Dil k aangan main jab usay saja k dekhte hain

Suna hai jo mangain dil se to mil k rehta hai
Chalo ab mojzay apni dua k dekhte hain

Jab bhi likhta hon koi lafz us k naam kabhi
Saray lafz mujy muskura k dekhte hain

Dhool reh jati hai faqat aankho main
apno ko jab aazma k dekhte hain.

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget