Main wohi hun jisay tum apna kaha karte thay

Main wohi hun jisay tum apna kaha karte thay,
Din mein so so bar mera naam liya karte thay

Aaj kya baat hai kion mujh se khafa bethay ho,
Kya kisi aur ko apna bana bethay ho

Faasle itne tou pehle na huwa karte thay,
Main wohi hun jisay tum apna kaha karte thay

Tum agar bhool gaye ho tou koi baat nahi,
Zakham tou pehle bhi is dil par laga karte thay
Lekin
Main wohi hun jisay tum apna kaha karte thay.

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget