Tamanna meri bann jao
Tumhari AAnkhein kehti hain hisaar-e-Zaat se niklo
Tamanna meri bann jao Shab-e-Barbaad se niklo
Kinara tham lo dil ka bhula do her gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do purani yaad se niklo
Khayal-e-Yaar acha hai mager jis ne wafa na ki
Palat ker phir sada na do, dar-e-feryad se niklo
Nahi koi Muhabbat bhi,hijr rutt bhi, raqabat bhi
To Yeh Dharka sa kiya kahiye, Wehem ki Ghaat se niklo
SukhanWar Hum se Kehta hai Saja lo AAnkh mein kuch Khwab
Dharakna dil ko sikhla do, Amawas Raat se niklo
Nahi Tumko Gawara ab Humara Qurb to keh do
Humare Karb ki Choro, Tum is Gardaab se niklo
Sar-e-Maqtal jo jate ho, na ho Darmandgi kuch bhi
Zamana Deikh Tham jaye kuch is Andaaz se niklo

No comments:
Post a Comment