Badan mein aag si cheharaa gulaab jaisaaa hai

Badan mein aag si cheharaa gulaab jaisaaa hai

Ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhi sharaab jaisaa hai



Kahaan vo qurb ke ab to ye haal hai jaise

Tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai



Magar kabhii koi dekhe koi parhe to sahii

Dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai



Vo saamane hai magar tishnagii nahin jaatii

Ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai



`Faraz` sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii

Hamain aziz hai Khaanaa-Kharaab jaisaa hai

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget