Tum ne dil ki bat kah di aj ye acha huwa

Tum ne dil ki bat kah di aj ye acha huwa 
hum tumhain apna samjhte the bara dhokha huwa
jab bhi hum ne kuch kaha us ka asar ulTa huwa 
ap shayad bhoolte hain barha aisa huwa
ap ki ankhoo main ye ansoo kahan se aa gaye 
hum to diwane hain lekin aap ko ye kya huwa
ab kisi se kya kahain `Iqbal` apni dastan 
bas Khuda ka shukr hai jo bhi huwa acha huwa



No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget