Hui hai sham tou ik shakhs yaad aaya hai

Hui hai sham tou ik shakhs yaad aaya hai,
Mere zehn mein phir wohi sawal aaya hai

Meri chahaton ki qadar na ki usne,
Aaj uski muhabat par zawal aaya hai

Torr k ta'aluq wo bhi sukoon mein na tha,
Apni he zaat par usko malaal aaya hai

Wo laut aaya hai apne mufaad ki khatir,
Main ye samjha k usey mera khayal aaya hai

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget