Wo Misl-e-Khawab Hi Rehta Tou Kitna Acha Tha

Wo Misl-e-Khawab Hi Rehta Tou Kitna Acha Tha
Wo Mere Saath Hi Rehta Tou Kitna Acha Tha

Subhein Haseen Tou Shamein Bohat Khushgawar Hotein
Wo Mere Shehr Main Hota Tou Kitna Acha Tha

Hawa K Dosh Pe Phaili Hui Thi Uss Ki Mehak
Hawa Ka Rukh Na Badalta Tou Kitna Acha Tha

Main Zindagi K Masayel Se Lar Bhi Sakta Tha
Wo Hosla Mujhe Deta Tou Kitna Acha Tha

Na Ab Milein Ghey, na Baatein, Na Phir Mulaqatein
Wo Yahi Baat Na Kehta Tou Kitna Acha Tha.

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget