Aisa karty hain k marr jaty hain...

Habs-e-Duniya sy guzar jaty hain,
Aisa karty hain k marr jaty hain,

Kaisy hoty hain bicharny waly?
Hum ye sochen b to dar jaty hain,

DiL jo tooty to sar-e-mehfil,
Baal be-wajah bikhar jaty hain,

Ab na dekho meri banjar ankhein,
Charhty dariya to utar jaty hain,

Dhoop ka roop rachaany waly,
Shaam ko or nikhar jaty hain,

Khali daman se shikayat kaisi
Ashk ankhon me to bhar jaty hain,

Tum kahan jao gay socho 'DOST"
Log thak haar k ghar jaty hain.,,

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget