Tumhara Saath mil jaye to Sab Dukh bhool jaoon gi...

Tumhara Saath mil jaye to Sab Dukh bhool jaoon gi...

Wo kehti thi k har Surat Tumhein Apna banaoon gi...

Nichhaavar khwaab kar doon gi Tumhare har Ishaarey par...

Kabhi Peeple ki Chhaaoun mein kabhi Nadiya kinaarey par...

Tumhein Thandak Ata kar doon gi Ik Barsaat ki Maanind...

Bikhartey Chaand Charnon mein Ujalti Raat ki Maanind...

Mujhe Tum se Mohabbat hai Main Logon ko bataoon gi...

Wo kehti thi k har Surat Tumhein Apna banaoon gi...

Main Chahoon gi Tumhein Jaanaan Umangon se Ujaalon tak...

Khudi k dasht se Le kar Naye Janmon k Saalon tak...

Meri Thandi si Tanhaai Sulagti Raat jaisi ho...

Muja bas sath La jaaon bhalan baraat jasee ho...

Tumhara surkh joray main he dulhan ban kar aaon ge...

Wo kahte the ka har surat tumhan apna banao ge.

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget