Wo kehti hai udaasi tarq kar do ab

wo kehti hai udaasi tark kar do ab,

sitaare jo saja rakhe hain palkon per,
wujood unka mitta daalo,

puraane dard hon saare,
daroon-e-jan jinhe mehsoos karte ho,

tadapte ho, bhula do sab,

wo toote khuwaab saare, jo tumhe har pal satate hain,
jinhe taqdeer kehte ho, jala do ab,

ghumon se tod k nata likho phir geet khushiyon ke,
bahaaron ke, milaao apne kehkahe fizaaon mai,

mai sunta hun sab hi uski kahi baaten,

magar khamosh rehta hun,
kahun bhi to bhala kaise kahun us se


phool-e-dil ke aangan mai saje hain jo gulon mai dhal to sakte hain

ye aansu na-muraadi ke hansi ki orh ke chaadar labon par khil to sakte hain,

badal to sakta hai rung-e-maatam-e-maazi,
magar ye tab hi mumkin hai,

agar haathon mai mere haath ho tera,
muyassar saath ho tera,


wo kehti hai udaasi tark kar do ab,

Udaasi Tark Kardo Ab...!!!!

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget