BEWAFAAI KI MEHEK SE ROOH NA-PAAK KAR GAYA

BEWAFAAI KI MEHEK SE ROOH NA-PAAK KAR GAYA
ek qayamat ki raat wo de gaya
aur ek tarfa baat wo kar gaya
zubaan par kasmon ke taale lagaa gaya
uski har ek baat rooh behis kar gaya
faisla suna diya juda hone ka
har kasmon-waadon ko tod dene ka
har guzre lamhe bhula dene ka
har kahi gai baat ko mita dene ka
dard ke gaon main pohoncha diya
bin bataai waqt main kahin kho gaya
dhoondti hun uska naam-o-nishaan
waqt ke dhundalke main kahin kho gaya
na karna intezaar hukm jaari kar gaya
dil main rahungi sada ye keh gaya
jeene ka akhri sahaara bhi le gaya
intezaar ke lamhe bhi saath le gaya
ik khaalipan ik soonapan ik khala de gaya
zindagi se har rang chura kar le gaya
mujh se mere jeene ka haq bhi le gaya
bejaan jism aur bojhal sansein chhod gaya
khoob meri wafaon ka sila wo de gaya
loot kar mera sabr-o-qaraar wo gaya
umr bhar ko ankhon main nami de gaya
mere dil ke zakhmon ko taaza kar gaya
jee uth gaya hai duniya se ab mera
ab mout ki ahat ka intezaar hai
is beemaar dil ko kabr ka intezar hai
ai ajal tu lele mujhe apni aagosh main
jeene ke haaton itni luti hun
ab to jeene ka armaan bhi mit gaya
sanson ka bojh dil pe azaab kar gaya
mera har lamha zindagi pe bojh ban gaya
phir bhi dua hai meri jaan abaad rahe
mere hayaat ke lamhe bhi tujhe lag jaai
teri udaanon ko naya aasmaan mil jaai
naya sheher khushyon ka gaon mil jaai
mit kar bhi na mitegi mehek pyaar ki
wafa ki khusboo phailegi is bahaar ki
sanson se rishta nibhaungi farz ki khaatir
lekin marne ki dua rahegi lab par har dam
nibhaungi har dard se rishta teri khatir
jaa le jaa tu mera aasmaan aur meri zameen
ab na "aarzoo" hai na tamanna jeene ki ai katil
bewafaai ki mehek se rooh na-paak kar gaya.......

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget