Bohut mudat k bad kal shab,

Bohut mudat k bad kal shab,
kitab-e-mazi ko main nay khola,

Bohat say chehray nazar main utray,
Bohat say namon pe dil Paseeja,

Ik aisa safha bhi us main aya,
Likha hua tha jo aansoon say,

k jiska unwan "sirf tum" tha,
kuch or ansu phir us pe tupkay,

phir is say agay main parh na paya,
Kitab-e-mazi ko bund kar k,
Tumhari yadon mein kho gaya main,

Agar tum miltay tu kaisa lagta?
Inhi khayalon main so gaya main ..!

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget