DarD-e-Dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona

DarD-e-Dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona
adamiyat yahi hai aur yahi insan hona

nau-giraftar-e-bala tarz-e-fugan kya janen
koi nashad sikha de inhen nalan hona

rah ke duniya men yun tark-e-havas ki koshish
jis tarah apne hi saye se gurezan hona

zindagi kya hai anasir main zahur-e-tartib
maut kya hai inhin ijza ka pareshan hona

dil asiri main bhi azad hai azadon ka
valvalon ke liye mumkin nahin zinda hona

gul ko pamal na kar lal-o-gauhar k malik
hai ise turah-e-dastar-e-gariban hona

hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se bharkar
nang hai mere liye chak gareban hona

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget