Tu meri kushion ke falak ka sitaara hai

Tu meri kushion ke falak ka sitaara hai
Tu yaar mujhko jaan se bhi pyaara hai

Tera karz hai mujh per,main bhooli nahin
Tu aaya hai,maine jab bhi pukaara hai

Teri palkon pe ansu dekh main sakti nahin
Zamaane ka mujhko har zulm gawara hai

Kasamh hai tujhko main jhukne nahin doongi
Maana ke mera dil har aik baazi haara hai

Tere daaman mein khushiyon ki kashtiyaan utaaroongi
Main ek dariya hoon,tu mera kinara hai

Main roti hoon,pardon mein moonh chupa ker
Tu jaanta hai mujhko kin ghamon ne maara hai

Mere saare sapne to toot ker bikhar gaye
Bas ab aik tu hi mere jeene ka sahara hai

Tu mere yaar mujhko jaan se bhi pyara hai

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget