'nah ho marna to jeene ka maza kya

kalee ko choo ke aiye he saba kya
muhabbat ka meri woh gul khilla kya

nahin hakim hee jab munsif, gila kya
ke haq mangeN to hotee saza kya

mere dil se uthee he ye sada kya
kisee ne yad mujh ko he kiya kya

hasare zaat men hum hain muqaid
humaree zindagi he maqbara kya

jo shok-e-khud sataish he adab men
na jaane in adeeboN ko hua kya

guzaree umr men ne hijraton men
meri manzil ka he aakhir pata kya

ujaRa he baharon ne chaman ko
khizan se kijiye ga ab gilah kya

andheron men jo suraj chup gaiya he
naiye suraj ke phir he ibtada kya

na kar peecha khialee titlion ka
kehen ge log bachpan aagaya kya

fana ho beej to banta shajar he
'nah ho marna to jeene ka maza kya

No comments:

Post a Comment

Facebook Like Box Widget