mujhe jis se muhabbat hai usse mai paa nahi sakti

mujhe jis se muhabbat hai usse mai paa nahi sakti,
usse pana bohut mushkil, usse mai kho nahi sakti,

ye kaisa jabar hai dil par, ye kaisi meri majboori,
meri aankhen hain nam nam si, magar mai ro nahi sakti,

usse pyar hai mujh se, wo mujhe har roz kehta hai,
mujhe tum se muhabbat hai, usse mai keh nahi sakti,

kabhi milta nahi jo wo, to chain aata nahi mujh ko,
judai ka khayal aaye to phir mai so nahi sakti,

tera israar ik din aik ho jayen ge hum dono,
mera har baar inkaar k mai teri ho nahi sakti...!!!

Kise Khabar thi Tujhe Is Tarah Sajaoonga

Kise Khabar thi Tujhe Is Tarah Sajaoonga
Zamaana Dekhega aur Main na Dekh paoonga

Hayaat-o-Maut,Firaaq-o-Wasaal sab yakja
Main ek Raat mein Kitne Diye Jalaoonga

Pala Barha Hoon abhi tak inhi Andheron mein
Main Tez Dhoop se kaise Nazar Milaaoonga

Mere Mizaaj ki yeh Mardana Fitrat hai
Sawere Sari Aziyat main Bhool Jaoonga

Tum ek Perd se baawasta ho magar main to
hawa ke Saath Bahut Door Door Jaaoonga

Mera ye Ahad hai Aaj Shaam Hone Tak
Jahan Se Rizq Likha hai Wahi se Laaoonga

Is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai

Is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa kii muhabbat nahii.n ehasaan kiyaa hai

sochaa thaa ki tum duusaro.n jaise nahii.n hoge
tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai

mushkil thaa bahuut mere liye tark-e-ta'alluq
ye kaam bhii tum ne meraa aasaa.N kiyaa hai

har roz sajaate hai.n terii hijr me.n Gunche
aa.Nkho.n ko terii yaad me.n gul_daa.N kiyaa hai

Ye aur baat hai ke ko_ii muntazir na ho

Ye aur baat hai ke ko_ii muntazir na ho

ab shaam ho ga_ii hai to ghar jaanaa chaahiye

Tasavvur bhii puraanaa ho gayaa hai

Tasavvur bhii puraanaa ho gayaa hai

use dekhe zamaanaa ho gayaa hai

Ghazals Collection - 2

Shak men saare logon ko mubtila yon kar jaaun
Saamne ho teraa ghar, aur main guzar jaaun!!!

Saath saath chalne kaa zindagi se waadaa hai
Ji magar mera chaahe, is se ab bichhad jaaun

Kho gaye hain raahi, aur raaste salamat hain
Main to aisi na – deeda, manzilon se dar jaaun

Band har taraf ke dar, kar de meri naadaaree
Ab main kiske ghar thahrun, ab main kis nagar jaaun

Ishq me barabar hain hum sabhi to phir kyon na
Too gali men ruk ek din aur main baam per jaaun

Khoyi khoyi woh larki, mere geet ki rangat
Muskuraaye woh lekin, main khushi se bhar jaaun


************************************

Saahil pe akeli shaam hun main
Aur aaj tere naam hun main !!

Ab shahr me kyun na ho chiraghan
Jab aaj zer e daam hun main

Bikhraao mujh men hai numayan
Is mulk ka intezaam hun main

Ab kaun kare mujhe mukammal
Ek naqsh e naa tamaam hun main

Mujh ko sazaa e wasl mat do !!
Seemab sifat nezaam hun main

************************************

Paas aayi thi magar jald hi wo kho bhi gayi
Zindagi tujh se mulaaqaat thi jo ho bhi gayi

Ab talak aas teri dil men liye phirtaa hun
Khush gumaani ko mere teri hansi ro bhi gayi

Ain mumkin hai ke aelaan e sahat yaabi ho
Dard ki tees jo uththi thi abhi, so bhi gayi

Hum to maasoom the bekar dara karte the
Zindagi tujh se juda rahke basar ho bhi gayi

Phir wohi aas ta’aaqub men lagi hai mere
Biti baaton ke sabhi daagh mui dho bhi gayi

************************************

Pahle jab bhi dil dukhta tha
Tujh ko soch liya karta tha

Kal jis jaa baaraat ruki thi
Aaj wahaN par sannata tha

Pahla baal paka dekha jab
Us din to dil doob gaya tha

Uski hatheli par hontoN se
Maine apna naam likha tha

Mere dukh me ro parti thi
Jaane us ka dil kaisa tha!

Mere pairoN me larzish thi
Tera kutta bhoonk raha tha

************************************

Teer mera na kamaan hai meri
Koi pahchaan kahaan hai meri

Dekhta hun main khuli ankh se khab
Aur sheeshe ki dukaan hai meri !!!

Too zara dhyaan barat mere liye
Zindagi tujh men nihaan hai meri

Sue maqtal hi nikalnaa hogaa
Ab wohi jaaye amaan hai meri

Hai mujhe saari haqiqat malum
Is liye band zabaan hai meri

Meri muththi men hai iski ungli
Zindagi se bhali maan hai meri

************************************


Pahle phoolon ka ras titliyaan le gayin
Aur jo kuchh bachaa, bijliyaan le gayin

Usne mujh ko dubokar ye sab se kaha
Mera zarreen badan machhliyaan le gayin

Sher kuchh to phanse daam e khargosh men
Kuchh ko sho’laa sifat harniyaan le gayin

Maan hawas ki pujaaran, samete sadaf
Bachchiyaan naasamajh, sipiyaan le gayin

Tere munh me bhari thin jo chingariyaan
Jab urin kuchh na kuchh bastiyaan le gayin

Aas waale sabhi din basar hogaye
Khab ki rut ko sachchaaiyaan le gayin.

( Published )

************************************


Ab mujhe hai use bhulaa denaa
Ae khudaa tu hi hauslaa denaa

Main nahin, zindagi sawaali thi
Meri ghairat ko ye bata denaa

Sakht jaani to hijr sah legi
Tum mujhe dusri sazaa denaa

Aandhiyaan pahle thamna yaarab
Tab mere haath me diyaa denaa

Jab mujhe tum pukaarna chaaho
Roshni, roshni, sadaa denaa.

( Published )

************************************


Khushbu, titli, phool, phuwaar – us chehre ke naam
Mausam ke saare singaar – us chehre ke naam

Mere liye hain dukh me doobe, registaani geet
Dosheezaaon ki malhaar – us chehre ke naam

Hai pagal maujon se larna hi meri taqdeer
Saahil, kashti aur patwaar – us chehre ke naam

Saare phul sajate hain bas uski komal sej
Bela, juhi, haar singhaar – us chehre ke naam

Meri aankhon me chhayi hai mahroomi ki dhundh
Khushhaali ke sab aasaar – us chehre ke naam

Main awara beghar larkaa, kab tak chhaanun khak
Karde mujh ko palanhaar – us chehre ke naam

************************************

Meri haalat pe meraa ghar roye
Zara baarish ho k chappar roye

Is qadar tut ke chaaha bhi na tha
Jitna hum unse bichhar ke roye

Main to hansne ka maza lun lekin
Kaun hai jo mere ander roye

Door tak saath chali aayi thi
Teri aawaaz ko chhukar roye

Khelti nadyon ko maalum kahan
Un ki takhleeq pe patthar roye

Apne ash’aar pe naqqad hanse
Aur hum unki samajh per roye

( Published )

************************************


Ab khuda se zara nayaa maangen
Bichre logon ka kuchh pata maangen

Ek jhalak phir usi shabaahat ki,
Zindagi tujh se aur kiyaa maangen

Jhulse honton pe pyaas kiya thahre
Phir bhi tafreeh ko ghataa maangen

Phir yahi dil ujaal degaa woh
Hum agar ijz se duaa maangen

Paaon ki laghzishen bajaa lekin
Hausle aur raastaa maangen

Hum to maqsum hogaye hian magar
Hindse aur bhi ghazaa maangen !!!!

( Published )

************************************


Wo humpe mehrbaan the, ab nahin hain
Hum unse khushgumaan the, ab nahin hain

Hamaari aankh jab tak na khuli thi
Nisaar e dostaan the, ab nahin hain

Zeyaadaa din nahi beete ke dil men
Kayi aatish feshaan the, ab nahi hian

Har ek jaanib hamaari puchh gachh thi
Har ek mahfil ki jaan the, ab nahin hain

Teri chaaht se pahle ka bayaan hai !!
Misaal e aasmaan the, ab nahin hain

Chalo hum un ta’alluq pe bhi rolen !!
Jo apne darmiyaan the, ab nahin hain

Abhi zindaa hai har mazdoor lekin
Jo zaalim hukmuraan the, ab nahin hain

************************************


Dukhi saanson pe bandhan dekhnaa hai
Abhi kuchh aur jeevan dekhnaa hai

Khuda yaa maut ko kuchh der roken
Naye khaabon ko saawan dekhnaa hai

Mujhe manzoor hai apnaa zayaan bhi
Teri aankhon ko raushan dekhna hai !

suno! rakht e safar phir janch lun main
zaraa getthri men uljhan dekhnaa hai

Jahaan yekjaayi ke paude uge hon !!!!!
Hamen wo ghar wo aangan dekhna hai

Hamaare haath jab sonaa banaayen
To isteghnaa ka daaman dekhna hai

Badan ki saalmiyyat mushtabah hai
Chalo shishe me ab man dekhnaa hai

( Published )

************************************

Shayad koi ab sakhi nahin hai
Akhon me mere nami nahin hai

Paaon men hamaare aable hain
Aur raastaa shabnami nahin hai

Phir ghir ke aarahe hain baadal
Aur chhat abhi pari nahin hai

Toraa hai usool titliyon ne
Bhonron ka qasur, ji, nahin hai

Pahle bhi yaqin na asakaa tha
Aur ab to aas bhi nahin hai

Kaise mujhe chhor de akelaa
Ye muflisi baaoli nahi hai

************************************


Too nahi to ajab be khyaali rahe!!
Hont saakit rahen, aankh khaali rahe

Bahr e tafrih kuchh thokaren khaayi hain
Taa ke duniya zaraa dekhee bhaali rahe

Bas teri aarzoo se jure hum magar
Teri fehrist me laa ubaali rahe !!

Aise lamhon me jaanaa mujhe chhor kar
Meri aankhon me jab khushk saali rahe

Ab to rishton me bhi payadaari kahaan!!
Ye ta’alluq bhi kab tak misaali rahe !!

Be tarah, be niyaazi, mili hai inhen
Ahl e fan kab kisi ke sawali rahe !!

************************************

Chand me jo pariyaaN rahti hain
Hum ko milte dekh chuki hain

In aankhon me kyon rahti ho ??
Jo har dam roti rahti hain

Lakh nikaaluN dil se lekin
Khab nigore sab ziddi hain

Us malakooti husn ke logo
Jitne dhab hain, aafaaqui hain

Aaj jise sun kar tum roye
Wo baateN mujh per beeti hain

( Published )

************************************

Rasm-e-ummeed khandaan me hai
Hauslaa aakhiri uraan me hai

Tum ko dekha to is tarah socha
Ek sitaraa, jo aasmaan me hai

Koi rota hai dil me pichhle pahar
Kaun mahboos is makaan me hai

Muskurata phira hai mahfil me
Gham mera kitni aan baan me hai

Meri beti ki kaanch ki guriya
Pat_tharon se bani dukaan me hai

Jism to thak thaka k baith gaya
Man ka panchhi magar uraan me hai

************************************

Maikada tha chaandani thi ma na tha


Maikada tha chaandani thi ma na tha
Ik mujassam bekhudi thi ma na tha

Ishq jab dam toRta tha tum na the
Maut jab sar dhun rahi thi ma na tha

Toor par cheRa tha jis ne aap ko
Wo meri deevaangi thi ma na tha

Maikade ke moR par rukti huii
Muddaton ki tashnagi thi ma na tha

Ma aur us guncha'dahan ki aarzuu
Aarzuu ki saadgi thi ma na tha

Gaisuuon ke saaye ma aaraam'kash
Sar barahna zindagi thi ma na tha

Dair-o-kaaba ma Adam hairat farosh
Do jahaan ki bad'zani thi ma na tha
Facebook Like Box Widget